ILM KAISE UTTH'TA HAI?

ILM KAISE UTTH'TA HAI?
Tahreer : Fazilat-us-Shaikh HAFIZ NADEEM ZAHEER hafizahullah
(Maah naamah AL-HADIS:112/15-16)

Roman Script : Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Ahal ilm ka khitta-e-arz par mojood hona logon ke liye baayis-e-rehmat o sa'adat hai aur un ka yahan se chale jana hasrat o yaas ke ilawa buraiyan aam hone ka zareya hai.

RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya:

إِنَّ مِنْ أَشْرَاطِ السَّاعَةِ أَنْ يُرْفَعَ الْعِلْمُ، وَيَثْبُتَ الْجَهْلُ، وَيُشْرَبَ الْخَمْرُ، وَيَظْهَرَ الزِّنَا ‏
"Bilaa shuba yeh alaamaat-e-qayamat mein se hai ke ilm utha liya jaaye ga aur jahalat phail jayegi, (khullam khula) sharaab pi jaye gi aur zina phail jaye ga."(Sahih Bukhari:80. /wa Sahih Muslim:6785)

يَتَقَارَبُ الزَّمَانُ، وَيَنْقُصُ الْعَمَلُ، وَيُلْقَى الشُّحُّ، وَتَظْهَرُ الْفِتَنُ، وَيَكْثُرُ الْهَرْجُ ‏"‏‏.‏
"(qayamat ke qareeb )Waqt mukhtasar ho jaye ga, ilm utha liya jaye ga, logon mein bukhal(kanjoosi) aam hoga, fitne ronuma honge aur harj bakasrat hoga.

قَالُوا يَا رَسُولَ اللَّهِ أَيُّمَ هُوَ‏.‏ قَالَ ‏"‏ الْقَتْلُ الْقَتْلُ
"sahaba kiraam raziallahu-anhum ne arz kya: ae ALLAH ke RASOOL sallallahu alaihi wasallam! harj se kya moraad hai?
AAP sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: qatal o ghaarat."(Sahih Bukhari:7061. /wa Sahih Muslim:2682[6794])

Syidina Abdullah Bin Amro Bin al-Aas raziallahu-anhu se riwaayat hai ke maine RASOOL sallallahu alaihi wasallam ko farmate sona:

إِنَّ اللَّهَ لاَ يَقْبِضُ الْعِلْمَ انْتِزَاعًا، يَنْتَزِعُهُ مِنَ الْعِبَادِ، وَلَكِنْ يَقْبِضُ الْعِلْمَ بِقَبْضِ الْعُلَمَاءِ، حَتَّى إِذَا لَمْ يُبْقِ عَالِمًا، اتَّخَذَ النَّاسُ رُءُوسًا جُهَّالاً فَسُئِلُوا، فَأَفْتَوْا بِغَيْرِ عِلْمٍ، فَضَلُّوا وَأَضَلُّوا
"ALLAH TA'ALA ilm ko is tarha nahi uthaye ga ke usay logon (ke seenon) se khech le lekin woh ilm ko ahal-e-ilm ki wafaat ke zariye se uthaye ga hatta ke jab koi aalim baaqi nahi rahay ga to log jahilon ko sardar bana lenge, jab un se sawal kya jaye ga to woh baghair ilm ke fatwa denge, lehaza woh khud bhi gumraah hon ge aur doosron ko bhi gumraah karenge."(Sahih Bukhari:100 /wa Sahih Muslim:6800)

Ammar Bin Abi Ammar bayaan karte hain ke jab Syidina Zaid Bin Saabit razillahu-anhu fot howe to Syidina Abdullah Bin Abbas raziallahu-anhuma ne farmaaya:

"Ilm ka uthna is tarha hai, aaj (Zaid razillahu-anhu ke sath ) bohat ziyada ilm dafan kar diya gaya."(Al-Ma'rifah wa Al-Tarikh lil-Faswi:1/261, aur is ki sanad HASAN hai)

Maloom howa ke ilm uthnay se moraad ulama ka faut hona hai. Jon jon ahal-e-ilm is duniya se jaar rahay hain to muashray mein bad-amni, fitnah o fasaad, ma'asiat o naafarmani aur qatal o ghaarat ki bhi kasrat ho rahi hai jis se yeh baat wazeh ho jati hai ke ulmaye-haq muhallay, ilaqay, shehr aur mulik o millat ke liye baayis-e-rehmat o barket hotay hain.

Abul Alaa Hilaal Bin Khabbab bayaan karte hain:
"Mein ne Sayeed Bin Jubair rahimahullah se daryaaft kya: ae Abbu Abdullah! logon ki halakat o barbadi ki nishani kya hai?
Unho ne farmaaya: Jab in ke ulama fot hojaayen."(Musannaf Ibn Abi Sheybah:14/38 aur is ki sanad SAHIH hai)

TANBIYAAH:
Musannaf ke aksar nuskhon mein "SABIT BIN ZAID" hai jo ke khata hai. Sahih "SABIT BIN YAZEED" hai aur ye siqqah raawi hai. Dekhiye Jami Bayaan-ul-Ilm wa-Fazlihi lil-Ibn Abdul Barr:1/483, aur kotb ASMA O RIJAAL waghairah, neez ABU USAMAH HAMMAD BIN ABI USAMAH 'Tadlees' se baree han.

Is mein koi shak nahi ke ahadees-e-mazkoorah mein un umoor ki ittila di ja rahi hai jo qurb-e-qayamat waqay honge lekin yeh bhi haqeeqat hai ke ilm o Ulama ki adam(ghair) mojoodgi mein jahalat ka daur dora hota hai jis bina par duniya mein be raah-rawi aur gunaah aam ho jatay hain, lehaza awaam o khawaas aur arbab-e-hal o aqd ko chahiye ke ulma-e-keraam ke saamnay mushkilaat o rakawaten khadi karne ke bajaye un ki qader karte hue deeni mamlaat mein un se ta'awun karen aur jo is duniya se chalay gaye hain unhein hamesha apni duaon mein yaad rakhen. AYE ALLAH ULAMA KI MAGHFIRAT FARMA AUR UN PAR RAHAM FARMAA aameen

Saath hi ahal-e-ilm ke liye bhi lamha fikr hai ke woh deegar masrofiyaat mehdood kar ke tehreer, taqreer aur tadrees ke zariye se doosron tak apna ilm khoob pohanchayen taakay jab is duniya se rukhsat hon to kitabon aur shagirdon ki soorat mein sadqah Jaria rahay.

Qeht al-Rijaal ke is daur mein Muhaddis Hafiz Zubair Ali-zayi rahimahullah ki wafaat bohat bada saneha hai aur yeh silsilah jaari hai kabhi Asaatizat-ul-ustaaz Hafiz Abdul Mannaan Noorpoori rahimahullah ki judai to kabhi Dr. Abdul Rsheed Azhar rahimahullah ka hum se bichadna, lehaza tulba se guzarish hai ke husool-e-ilm ke liye sanjeedgi se laaiha-amal tayyar karen.

Syidina Abdullah Bin Masood razillahu-anhu ne farmaya:
"Ilm uth jane se pehlay haasil kar lo aur is ka uthna ulama ka faut hona hai."(Jami Bayaan-ul-Ilm wa Fazlihi li-Ibn Abdul Barr:1/480, Hadis No. 1017 aur is ki sanad SAHIH hai)

Yeh mazmoon maine apne ustaad mohtaram Muhaddis-ul-Asr Hafiz Zubair Alizai rahmahullah ki wafaat ke mauqa par likha tha, haliya ayyaam mein ahal-e-ilm ki ek badi tadaad maslan : Ustaaz-ul-Ulama Sheikh al-Hadith Molana Abdul Hameed hazaarowi, Ulama Sheikh al-Hadith Molana Abdul Rasheed hazaarowi, Tajveed o Qira'at ke maahir Molana Qaari Yahya Rasoolnagri, Sheikh al-Hadith Molana Rehmatullah Rabbani aur Sheikh al-Hadith Molana Mohammad Younis Butt rahmahumullah achanak aur bohat jaldi hamein chood kar chal diye. QADDARALLAHU MASHA'A FA'AL

ALLAH TA'ALA un tamam buzurgon ki mughfirat farmaiye aur hamein un ke liye sadqa Jaria banaye aur is mission ko mazeed badhaane ki tofeq ataa farmaiye. AMEEEN YA RAB ALAMEEN
 
Umar Asari

Administrator
Staff member

Koshish karen ki us post par kaam na karen jis par kaam ho chuka hai. Aur iske liye pata kiya karen. Is post par kaam ho chuka hai.
 
السلام علیکم ورحمةالله وبرکاته
Shaikh Muhtaram baat dar'asl ye hai ke main pahle check karta hon phir typing karta hon likin mujhe is par mazmoon na mil saka to chunancheh meine type karliya phir baad mein Syed Ibrahim Salafi se braah raast baat hone par maloom howa ke ye mazmoon pahle hi se maujood hai bahar haal koshish karonga ke jo pahle se maujood hai us par kaam na karon.....

Shaikh Muhtaram se adaban guzarish hai ke kayi ek OPTION kaam nahi kar rahe hain aap usko zara check karlein maine is ki ittila pahle bhi di thi......

جزاک الله خیرا
والسلام علیکم ورحمة الله وبرکاته
 
Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatoho
woh OPTION jo kaam nahi kar rahe hai:
LIBAAS AUR PAHNAWA
ISLAMIC GRAPHICS
abhi ye do OPTION kaam nahi kar rahe hain ek aur bhi
jazakallahu khair
wassalamu alaikum
 
SHAIKH MUHTARAM ek aur baat ye poochni thi
jo PDF main upload kar raha hon kiya un ko sidhe PDF ke FOLDER mein daal diya karon?
yaa ye bahtar hoga ke jo topic hai us ke niche hi PDF bhi upload kardon ?
is mein kya bahtar hai raahnumai farmadein.......
jazakallahu khair
 
Umar Asari

Administrator
Staff member
Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatoho
woh OPTION jo kaam nahi kar rahe hai:
LIBAAS AUR PAHNAWA
ISLAMIC GRAPHICS
abhi ye do OPTION kaam nahi kar rahe hain ek aur bhi
jazakallahu khair
wassalamu alaikum
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu
Yeh sections open nahi ho rahe hain?
Kya screen par aa raha hai?
 
Umar Asari

Administrator
Staff member
SHAIKH MUHTARAM ek aur baat ye poochni thi
jo PDF main upload kar raha hon kiya un ko sidhe PDF ke FOLDER mein daal diya karon?
yaa ye bahtar hoga ke jo topic hai us ke niche hi PDF bhi upload kardon ?
is mein kya bahtar hai raahnumai farmadein.......
jazakallahu khair
Jaisa aapko munasib lage. Bus photos etc pdf ke liye na daalen to achcha rahega. Website par already bahut load hai. Koi mila nahi warna website ko theek karwa leta
 
Top