MOZON(Socks) PAR MASAH KARNA


Shona shaikh

Active member
MOZON(Socks) PAR MASAH KARNA
Mozon par masah karna Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ki sunnat hai, jis shaks ne pairo me moze pahen rakhe ho uske liye afzal yahi hai ke wo pairo ko dhone ke liye unhe nikalne ke bajaye unpar masah karle. Kyunki Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne do chizo me se hamesha asaan chiz hi ikhteyaar ki. Jaise ke Hadees me hai ke :

☘Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se jab bhi do chizo me se kisi ek ke ikhteyaar karne ke liye kaha gaya to Aap sallallaho alaihi wasallam ne hamesha usi ko ikhteyaar farmaya jis me Aap sallallaho alaihi wasallam ko zyada aasani maalum hui basharte ke usme koi gunah na ho. Kyunki agar usme gunah ka koi shubha bhi hota to Aap sallallaho alaihi wasallam usse sab se zyada door rahte.
(Sahih Bukhari, 3560)
(Sahih Muslim, 2327)


Sheikhul islam ibn Taymiyah aur unke shagird ibn Qayyim Rahimahullah ne bhi yahi ikhteyaar kiya hai ke :

Har ek ke liye afzal yahi hai ke wo us par amal kare jo uski halat ke mafiq ho, to isliye agar to usne moze pahen rakhe ho to uske liye masah karna afzal hai, aur agar uske paaon nange hain to dhona afzal hai, aur fir moze to pahene hi isliye jate hai ke un par masah kiya jaaye.

Iski daleel

☘Mughira bin Sho'ba Radiallahu anhu ki hadees hai ke jab unhone wuzu me paaon dhone ke liye Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ke moze utarna chaha to Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne unhe farmaya tha :
"Rahne do! Kyunki maine ye moze taharat(wuzu/paaki) ke baad pahne the, chunache Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne uspar masah kiya. "
(Sahih Bukhari, 206)
(Sahih Muslim, 274)


Tirmizi me bhi iski daleel maujood hai

☘Saffwan bin Asaal Radiallahu anhu bayan karte hai ke : Jab ham safar me hote to Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam hame hukm dete ke ham teen din tak apne moze na utare illa ye ke halat e janabat ho jaaye, lekin qazaye hazat(answering the call of nature) aur neend ki wajah se utarne ki zarurat nahi."
(Sunan Tirmizi, 96)hasan

Lehaza in daleelo se ye malum chalta hai ke jisne moze pahen rakhe hai uske liye mozon par masah karna hi afzal hai.
Al-Insaaf (1/378)

🔴Mozon par masah ki muddat

☘Shareeh bin Haani farmate hain: Main ne Ali Radiallahu anhu se mazon par masah karne ke muddat ke muta’alliq poocha to Ali Radiallahu anhu ne farmaya: Rasool Allah ne musafir(traveller) ke liye (masah ki muddat) teen din- raat aur muqeem(resident) ke liye ek din-raat muqarrar farmai hai."
(Muslim: al Tahaara, 276)

🔴Mozon ke upari hisse pe masah karna

☘Ali Radiallahu anhu bayan karte hai ke maine khud Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ko pair(feets) ke baalaai hisse( upari hisse) pe masah karte dekha hai.
(Abu Dawud, 162)
(Darqutni 1/199)
(Baihaqi, 1/296)


Yaad rakhe wali baatein

1. Mozon ko taharat aur wuzu ki halat me hi panna hai.

2. Mozon paak hona chhaiye unpe najasat na lagi ho
 
Top