Durood Shareef Ke Fazail Quran aur Hadees Ki Roshni Me

Abdul Mussavir

New member
بسْــــــــــــــمِﷲِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم

اٙلْحٙمْدُلِلّٰہِ رٙبِّ الْعٰلٙمِیْن وٙالصّٙلٰوة وٙالسّٙـلٙامُ عٙلٰی سٙـیِّدِ الْمُرْسٙـلِیْن وبعد:

Durood Shareef Ke Fazail Quran aur Hadees Ki Roshni Me

1) Ek martaba Durod Shareef padhne par Allah ﷻ us par 10 rehmatein naazil farmayga aur 10 gunah muaf hote hai :-

مَنْ صَلّٰی عَلَیَّ وَاحِدَۃً ، صَلَّی اﷲُ عَلَیْہِ عَشْرَصَلَوَاتٍ ، وَحَطَّ عَنْہُ عَشْرَ خَطِیْئَاتٍ ، وَرَفَعَ عَشْرَ دَرَجَاتٍ

Hazrat Anas رضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulallah ﷺ ne farmaya ki:-

jo Shaqs mujh par ek martaba Durood bhejta hai Allah ﷻ us par 10 rehmatein Nazil fermata hai aur uske 10 gunah Mita diye jaate hai aur uske 10 darjaat buland hote hai (Sahi Al Jami 6359)

2) Durood Shareef kasrat se padhi jaaye to pareshanio se nijaat milti hai :-

Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se rivayat hai ke woh bayan karte ha ke unhone kaha :- Aey Allah ke Rasool ﷺ !! me aap par jyada durood padhta hu to Aap ﷺ ka kya khayal hai ke me aap par kitna durood padhu ? Aap ﷺ ne farmaya “JItna Chaho “ mein ne kaha chotha (1/4) hissa ? Aap ﷺ ne farmaya مَا شِئْتَ ، فَإِنْ زِدْتَّ فَہُوَ خَیْرٌ لَّکَ “JItna chahe padho balqe isse jyada padhoge ke to tumhare liye khair hai . Me ne kaha : Adha(1/2) hissa ? Aap ﷺ ne farmaya مَا شِئْتَ ، فَإِنْ زِدْتَّ فَہُوَ خَیْرٌ لَّکJitna chahe padho balqe isse jyada padhoge to tumhare liye Khair hai . Me ne kaha ke do tihayi(2/3) ? aap ﷺ ne farmaya :- : مَا شِئْتَ ، فَإِنْ زِدْتَّ فَہُوَ خَیْرٌ لَّکَ “Jitna chaho balqe isse jyada padhoge to tumhare liye khair hai fir mene kaha ke me aap par durood padhta hi rahu to ? Aap ﷺ ne farmaya إِذًا تُکْفٰی ہَمَّکَ ، وَیُغْفَرُ لَکَ ذَنْبُکَ
“tab tumhe tumhari pareshani se bacha liya jayga aur tumhare gunah muaaf kardiye jayge ek rivayat me hai ke إِذَنْ یَکْفِیْکَ اﷲُ ہَمَّ الدُّنْیَا وَالآخِرَۃِ “Tab tumhe Allah ﷻ Duniya Aur akhirat ki pareshanio se bacha lega. (Tirmizi 2457 Sahi Albani)

3) Qayamat ke din Nabi ﷺ ke sabse qareeb honge :-

Hazrat Ibn Masood رضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulallah ﷺ ne farmaya :- وْلَی النَّاسِ بِیْ یَوْمَ الْقِیَامَۃِ أَکْثَرُہُمْ عَلَیَّ صَلاَۃً “Qayamat ke din logo me sabse jyada Mere qareeb woh hoga jo sabse zyada mujh par durood bhejega.(Tirmizi wa Ibn Hibban)

Woh mauqe jaha Durood Shareef jarur padha jaye

Wese to Durood shareef kisi waqt ya mauqe ke qaid ke bagair kasrat ke sath padhna chahiye lekin ba’az mauqe ese hai jaha is ke padhne ki khususiyat jyada hai. In me se kuch to mashur hai jese Namaz ke akhri tashahud me,qunoot e witr ke akhir me,Namaz Janaza ke dusre takbir ke baad aur khutbe Juma wagerah me. In ke elawamazeed kuch mauqe hai :-

1) Dua se Pehle :-

Hazrat fuzala bin Ubaid رضي الله عنه bayan karte hai ke Nabi ﷺ ne ek shaqs ko namaz me dua karte hue sun us ne Aap ﷺ par durood na bheja chunanche aap ﷺ ne farmaya :- Iss ne jald bazi ki hai. Fir aapne use bulaya aur farmaya :-

إِذَا صَلّٰی أَحَدُکُمْ فَلْیَبْدَأْ بِتَحْمِیْدِ اﷲِ وَالثَّنَائِ عَلَیْہِ ، ثُمَّ یُصَلِّیْ عَلَی النَّبِیِّ ثُمَّ لْیَدْعُ بِمَا شَائَ

tum me se koi shaqs jab namaz padh le to sab se pehle Allah ki tareef wasana bayan kare fir mujh par (Nabi ﷺ) par durood bheje uss ke baad jo chahe Allah se mange.(Abu Dawood 1481 Sahi Albani )

Aur Hazrat Umar bin Khattab رضي الله عنه se rivayat hai ke :-

إِنَّ الدُّعَائَ مَوْقُوْفٌ بَیْنَ السَّمَائِ وَالْأرْضِ لَا یَصْعَدُ مِنْہُ شَیْئٌ حَتّٰی تُصَلِّیَ عَلٰی نَبِیِّکَ ﷺ

Beshaq dua Asmaan aur zameen ke darmiya ruki rehti hai aur koi dua upar nhi jaati yaha tak ki Aap ﷺpar durood bheje (Jami Tirmizi 486 Hassan Albani )

2) Nabi ﷺ ka zikr ya unka naam aaye tb :-
Nabi e Kareem ﷺ ne irshad farmaya :- رَغِمَ أَنْفُ رَجُلٍ ذُکِرْتُ عِنْدَہُ فَلَمْ یُصَلِّ عَلَیَّ

Us admi ki Naak Khaak me mile jis ke pass mera zikr kiya gaya ho aur uss ne mujh par durood na bheja. ( Tirmizi 3548 Sahi Albani )

Aur mazeed farmaya :- اَلْبَخِیْلُ الَّذِیْ مَنْ ذُکِرْتُ عِنْدَہُ فَلَمْ یُصَلِّ عَلَیَّ

Bakheel(Kanjus) woh hai jiske pass mera zikr kiya jaye aur woh mujh par durood na bheje
( Tirmizi 3546 Sahi Albani )

3) Azaan ke Baad :-

Nabi kareem ﷺ ne farmaya :-
إِذَا سَمِعْتُمُ الْمُؤَذِّنَ فَقُوْلُوْا مِثْلَ مَا یَقُوْلُ ، ثُمَّ صَلُّوْا عَلَیَّ فَإِنَّہُ مَنْ صَلّٰی عَلَیَّ صَلاَۃً صَلَّی اﷲُ عَلَیْہِ بِہٖ عَشْرًا

Jab tum Moazzin ko suno to tum bhi usi tarah kaho jese woh kahe fir mujh par durod bhejo kyu ki jo shaqs mujh par ek martaba durood bhejta hai Allah ﷻ us par 10 martaba rehmatein bhejta hai ( Sahi Muslim 386)

3) Masjid me Dakhil hote waqt aur use nikalte hue :-

Masjid me dakhil hone se pehle aur nikalte hue Masnun dua se pehle Durood shareef padhe
( Sunan al Kubra lil Nasai wa Ibn Hibban)

4) Jume Ke Din

Hazrat Owais Bin Aws رضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulallah ne Jume ke ba’az khususiyat zikr karne ke baad irshaad farmaya :-
فَأَکْثِرُوْا عَلَیَّ مِنَ الصَّلاَۃِ فِیْہِ ، فَإِنَّ صَلاَتَکُمْ مَعْرُوْضَۃٌ عَلَیَّ قَالَ : قَالُوْا : یَا رَسُوْلَ اﷲﷺِ ! وَکَیْفَ تُعْرَضُ صَلاَتُنَا عَلَیْکَ وَقَدْ أَرِمْتَ ؟ قَالَ : یَقُوْلُوْنَ : بَلَیْتَ ، فَقَالَ : إِنَّ اﷲَ عَزَّ وَجَلَّ حَرَّمَ عَلَی الْأرْضِ أَجْسَادَ الْأنْبِیَائِ

Lehaza tum is din mujh par jyada durood bheja karo kyu ke Tumhara durood mujh par pesh kiya jata hai Sahaba ne kaha : Aey Allah ke Rasool ﷺ ! Hamara durood aap par kese pesh kiya jayga jab ke Qabr me Posheeda hojayge ? Rasulallah ﷺ ne jawab diya ke behsaq Allah ﷻ ne Zameen par yeh baat haram kardi hai ke woh ambiya ke jism ko khaye. (Abu dawood 1047 Sahi Albani)

5) Subah wa Shaam

Hazrat Abu Darda رضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulallah ﷺ ne farmaya :-

نْصَلّٰی عَلَیَّ حِیْنَ یُصْبِحُ عَشْرًا ، وَحِیْنَ یُمْسِیْ عَشْرًا ، أَدْرَکَتْہُ شَفَاعَتِیْ یَوْمَ الْقِیَامَۃِ

Jo Admi subah ke waqt 10 martaba aur sham ke waqt 10 martaba mujh par durood bhejta hai use qayamat ke din meri shafa’at naseeb hogi. (Sahi Al Jame 6357)

Durood Shareef na padhne wala bad-naseeb

Jo shaqs Nabi Kareem ﷺ par Durood nhi bhejta woh yaqeenan bad-naseeb aur bohut saari barqat se mehroom hai .

Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se rivayat hai woh bayan karte hai k eek martaba Nabi Kareem ﷺ mimbar par chade aap ﷺ ne 3 teen martaba Ameen kaha. Aap ﷺ se kaha gaya ki aap ﷺ pehle to aisa nhi karte the? Aap ﷺ ne farmaya :-

Mere pass abhi JIbrael علیہ السلام aaye the unhone kaha :- Allah ﷻ uss shaqs ki naak ko khaak me milaye (ek rivayat me hai ke usko apni rehmat se dur kare) jo maahe Ramzaan ka mahina paaye aur us ski magfirat na ki jaye to mene kaha Ameen.

Fir unhone kaha :- Allah ﷻ uss shaqs ki naak ko khaak me milaye (ek rivayat me hai ke usko apni rehmat se dur kare) Jo walidayn ko paaye ya un me se kisi ek ko budhape ki halat me paaye aur unki khidmat karke jannat me dakhil na ho(ya’ni unki khidmat na kare ) to mene kaha Ameen .

Fir unhone kaha :- Allah ﷻ uss shaqs ki naak ko khaak me milaye (ek rivayat me hai ke usko apni rehmat se dur kare) jiske pass aap ﷺ ka zikr kiya jaye aur woh aap ﷺ par durood na bheje to mene kaha Ameen.( Sahi Ibn Khuzaima wa Sahi ibn Hibban)

Aur Hazrat Abbas رضي الله عنه se rivayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaya :-

مَنْ نَسِیَ الصَّلاَۃَ عَلَیَّ خَطِیَٔ طَرِیْقَ الْجَنَّۃِ
Jo shaqs mujh par durood bhejna bhool jaaye woh jannat ke raaste se bhatak gaya. (Sahi al Jam’e 6568)

Wohmajlis jis me durood shareef na padha jaaye :-

Jis majlis me Allah ﷻ ka zikr na kiya jaaye aur Rasulallah ﷺ par durood na bheja jaye woh yaqeenan be-barkat majlis hai aur ek sahi hades ke mutabiq woh Allah ﷻ ke azaab ka samna kar sakte hai .

Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se rivayat hai woh bayan karte hai ke Rasulallah ﷺ ne irshaad farmaya :-

أَیُّمَا قَوْمٍ جَلَسُوْا مَجْلِسًا ثُمَّ تَفَرَّقُوْا قَبْلَ أَنْ یَّذْکُرُوا اﷲَ وَیُصَلُّوا عَلَی النَّبِیِّﷺکَانَ عَلَیْہِمْ مِنَ اﷲِ تِرَۃً ، إِنْ شَائَ عَذَّبَہُمْ وَإِنْ شَائَ غَفَرَ لَہُمْ

Jo Log kisi majlis me ikhatte ho fir woh Allah ka Zikr aur Rasulallah ﷺ par Durood bheje Bagair Juda ho jaye( Ya’ni uth jaye) to yeh majlis uske liye Aib hai aur nuqs ka ba’ees hogi. Agar Allah ﷻ chahe to unhe azaab dega aur agar chahe to unhe muaaf kardega. (Abu Dawood wa sahi Albani )

Akhir me Allah ﷻ se dua hai ke woh hum sab ko Rasulallah ﷺ ke tamam huqooq ada karne Aap ﷺ ki ita’at karne aur aap ﷺ se sachi muhabbat karne ki toufeeq de. Aur roze qayamat hume aap ﷺ ki shafat aur apke hatho hauz e kausar ka pani naseeb farmaye

Ameen

صلی اللہ علیہ وسلم

٭٭٭٭٭

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ .إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ،
 
Mahmad mustafa

Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Duayen aur Zikr o Azkaar 0

Similar threads

Top