FARISHTON KI MOUT KA BAYAAN


FARISHTON KI MOUT KA BAYAAN
Tahreer : GHULAM MUSTAFA ZAHEER AMAN PORI hafizahullah
Romanised: Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAAL:
Kya Farishton ko mout aayegi?

JAWAB :
Farishte ALLAH TA'ALA ki woh lateef aur masoom makhlooq hain jinhein ALLAH ne baqi rakhnay ke liye paida farmaya hai. Un ki mout par aisi koi wazeh Daleel nahi, jaisi jin o ins ki mout par mojood hai.

Hafiz Ibn Hazam Andlosi rahimahullah(384-456 Hijri) farmaate hain:

ولا نص ولا إجماع على أن الملائكة تموت، ولو جاء بذلك نص لقلنا به، بل البرهان موجب أن لا يموتوا، لأن الجنة دار لا موت فيها، والملائكة سكان الجنان فيها خلقوا، وفيها يخلدون أبدا .
"Farishton ki mout par nah koi nass hai nah ijma. Agar aisi koi nass hoti, to hum is ke mawafiq muaqqaf ikhtiyar karte. is ke bar'aks Daleel is baat ki mutaqazi hai ke firshton ko mout nah aaye, kyunke jannat isi jagah hai, jahan mout nahi aur farishte jannat ke baasi hain, isi mein woh peda howe aur is mein hamesha ray hain ge.(Al-Fasl Fi Al-Milal Wa-Al-Ahwa' Wa-Al-Nihal:4/21)

Allama Ibn Qayim rahimahullah(691-751 Hijri)

ولهٰذا الملائكة لا تتناسل، فإنهم لا يموتون كما تموت الإنس والجن .
"Isee liye firshton ki nasal ka silsila nahi hota, kyunkay woh jinon aur insanon ki terhan marte nahi hain.(Hadi al-Arwah ila Bilad al-Afrah:247)

TANBIYAAH:
Hafiz Siyooti rahimahullah(849-911 Hijri) likhte hain:

وأما الملائكة، فيموتون بالنضوص والإجماع .
"Rahe Farishte to inhe mout aayegi jaisa ke nusoos aur ijmaa ne bataaya hai."(Al-Hawi lil-Fatawa:1/379)

Yeh intehai ta'ajjub khaiz baat hai. Is silsile mein jitni bhi ahadees hain, woh sab "ZAYEEF" hain. Un mein se aksar ka daar o madaar Ismael Bin Raafi Madani Zyeef par hai. Isi terhan un ko Yazid Raqqash, Abu Baker Hazli aur Hafs Bin Umar Adni jaisay Zyeef Raweion ne bayan kya hai. Yeh riwayaat is laiq nahi ke un ko nusoos qarar de kar apne dalaayil mein shumaar kya jaye.

Rahi baat Ijmaa ki to ye ALLAH bahtar jaanta hai ke Ijmaa kis ne kab aur kahan kya?
 
Top