Staff Member

Member
Staff member
Sawal : Allah Ki woh Surat Kaun si hai jiss par Adam Aalahissalam ki takhliq ki gayi??

Jawab : Allah Ta'ala ka chehra bhi hai, Aankhe, haath aur paaon bhi hain. Lekin iss se yeh lazim nahi aata ke yeh chizen Insaan ke sath mumasilat rakhti hai, kisi qadar mushabhat zarur hai Magar yeh mumasalat ke andar mein hargiz nahi, jiss Tarah jannat mein dakhil hone wale pehle giroh ki chaand ke sath mushabhat hogi Magar yeh mumasilat ke bagair hogi. Isi se Ahle sunnat ke is Aqeedah ki tasdeeq hoti hai ke Allah Subhanahu Ta'ala ki tamam sifaat makhlukat ke sifaat ke sath mumasilat nahi rakhti. Woh in par tahreef o ta'ateel ke bagair aur takyeef o tamseel ke bagair Imaan rakhte hain.

Source : Sharah Aqeedah Waastiyah by Shaykh Muhammad Bin Saleh AL Uthaymeen Rahimahullah
 

Similar threads


Top