“Jis ne mere kisi wali se dushmani ki use meri taraf se elaan-e-jung hai” Hadees ki tashreeh


Umar Asari

Administrator
Staff member
“Jis ne mere kisi wali se dushmani ki use meri taraf se elaan-e-jung hai” Hadees ki tashreeh

✵Sawaal:✵
Assalamualaikum Warehmatullahi wabarkatahu

Bhai Quran ki ayat hai jo Mere Wali se Bugz rakhega Mai ussey Elan e Jung karunga.
Toh Bhai Wali Se Muraad kaun hai ? Jis ki darga hoti hai kya woh Wali hai ?
aur
Allah Elan e Jung kaise karega..?
Maine yeh sawal isliye pucha hai mere dost ne darga k bare mey kaha tha woh Allah k Wali hai unse jo bugz karega Allah Jung karega..

Wazahat kare bhai..

✯Jawaab:✯
Walaikum Assalam Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu
Quran mein aisi koi ayat mujhe nahi maloom. Albatta yeh Sahih Bukhari ki ek lambi Hadees ka tukda hai. Pehle Hadees dekhen:
عن ابي هريرة ، قال : قال رسول الله صلى الله عليه وسلم إن الله قال : " من عادى لي وليا فقد آذنته بالحرب ، وما تقرب إلي عبدي بشيء احب إلي مما افترضت عليه ، وما يزال عبدي يتقرب إلي بالنوافل حتى احبه ، فإذا احببته كنت سمعه الذي يسمع به ، وبصره الذي يبصر به ، ويده التي يبطش بها ، ورجله التي يمشي بها ، وإن سالني لاعطينه ، ولئن استعاذني لاعيذنه ، وما ترددت عن شيء انا فاعله ترددي عن نفس المؤمن يكره الموت ، وانا اكره مساءته​
Tarjumah: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu ne bayan kiya ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya “Allah Ta’ala farmaata hai ke jis ne mere kisi wali se dushmani ki use meri taraf se elaan-e-jung hai aur mera bandah jin jin ibadaton se mera qurb haasil karta hai aur koi ibadat mujh ko us se ziyada pasand nahi hai jo main ne us par farz ki hai (yani faraaiz mujh ko bahut pasand hain jaise Namaz, Roza, Hajj, Zakat) aur mera bandah farz ada karne ke baad Nafl ibadatein kar ke mujh se itna nazdeek ho jaata hai ke main us se mohabbat karne lag jaata hun. Phir jab main us se mohabbat karne lag jaata hun to main us ka kaan ban jaata hun jis se woh sunta hai, us ki aankh ban jaata hun jis se woh dekhta hai, us ka haath ban jaata hun jis se woh pakadta hai, us ka paaon ban jaata hun jis se woh chalta hai aur agar woh mujh se maangta hai to main use deta hun agar woh kisi dushman ya shaitaan se meri panaah maangta hai to main use mehfooz rakhta hun aur main jo kaam karna chaahta hun us mein mujhe itna taraddud nahi hota jitna ke mujhe apne momin bande ki jaan nikaalne main hota hai. Woh to maut ko bawajah-e-takleef-e-jismaani ke pasand nahi karta aur mujh ko bhi use takleef dena bura lagta hai.
(Sahih Bukhari: 6502)

Hadees ki Tashreeh: Allah ke waliyon ki fazeelat aur un ki sifaat se mutalliq yeh ek azeem Hadees e Qudsi hai jis par ghaur karne ke baad Allah ke sachche aur jhoote waliyon ke darmiyan badi aasaani se farq kiya jaa sakta hai.
Chunanche is Hadees e Qudsi mein Allah Taala farmata hai ke jo shakhs hamaare kisi wali se dushmani rakhta hai aur us se ladaayi ki koshish karta hai to use maloom hona chahiye ke yeh momin banda akela nahi hai balki us ki madad karne waala, us ki taraf se difa karne waala aur us ki hifazat karne waala khud Allah Qadir e Mutlaq hai yeh woh ooncha maqam hai jo Allah ke waliyon ko haasil hai lehaza har Allah ka wali is baat ka haqdaar hai ke is fazl par fakhr mehsoos kare.

Phir is ke baad sawal yeh paida hota hai ke Allah ke woh wali kon hain jinhein yeh maqam haasil hai to Allah Taala ne un ki do sifaat ka zikr farmaya:
Woh sab se pehle apne upar wajibi huqooq ki adaigi ka ihtimaam karte hain, chaahe woh huqooq Allah ke hon jaise: Namaz, Roza, Hajj o Zakat, bhalaayi ka hukm dena, buraayi se rokna aur Allah ke raaste mein jihaad karna waghera ya bandon ke huqooq hon, yahan tak ke haiwanon aur deegar makhloqaat ke huqooq mein bhi kotaahi se kaam nahi lete, kiunki faraiz ki adaigi woh sab se ahem cheez hai jis ke zariye Allah Taala ki wilayat haasil ki jaa sakti hai.
Allah ke waliyon ki doosri sifat yeh hai ke woh sirf faraaiz ki adaigi par iktifa nahi karte balki faraaiz ke saath saath faraaiz hi ki jins se jo Nawafil hain un ka bhi ihtimaam karte hain kiunki unhein yeh ehsaas hota hai ke hum chaahe kitni hi koshish karen kama haqqahu faraaiz ko ada nahi kar sakte (yani us mein kuch kami ho jaati hai) lehaza hamaare paas kuch nawafil bhi hone chahiye jin ke zariye Allah Taala hum se khush ho aur faraaiz mein hamaari kotahi se darguzar farmaye.
والله أعلم بالصواب​
 
Top