*”Mahe Moharrum aur uske rozo ki fazilat”*


Abdul Mussavir

New member
ﺑﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

Tehreer :- Shaikh Hafiz Akbar Ali Akhtar Ali Salafi
Romanised :- Abdul Mussawwir

الحمد الله والسلام على رسوله الكريم اما بعد


*”Mahe Moharrum aur uske rozo ki fazilat”*


Mahe Moharrum (Muharrum ka mahina) islami saal ka jise qamriya hijri saal ka sabse pehla mahin kaha jata hai . Qamri mahino ke naam zamane jahiliyat se hi chale arahe hai siwaye muharram ke pehle iska naam safar-awwal tha jise tabdeel karke “Muharram” rakha gya.

(Tafsee Al-Quran Al-Azeez)

Allama ibn Manjur رحمه الله‎ farmate hai :-“arbo ne iska naam muharram isliye rakha kyu ke woh ladayi jhagde ko isme jayz tasawwur nhi karte the”. (leesaan al arab 12/121)

Jabke imam ibn kaseer رحمه الله‎ famrate hai ke:- is mahine ki hurmat me ta’qeed paida karne ke liye iska naammuharram rakha gya kyu ke arab is maah ke sath khilwaad kartethe pas isse kisi saal halal karar de lete to kisi saal hurmat wala qarar de lete ( Tafseer ibn kaseer bit tehqeeq abdurrazzaq almahdi 3/347)



*”Maah e Muharram ke fazail”*

1) Yeh qamri ya hijri saal ka sabse pehla mahina hai


Islami mahino me sabse pehla mahina Maah Muharram hai Aur dusre lafzo me yu keh lijiye ke islami saal ka aghaaz maah muharram se hota hai jese isaayio ke saal ka aghaaz January se hota hai.

2) Yeh hurmat wale mahino me se ek mahina hai

إِنَّ عِدَّةَ الشُّهُورِ عِندَ اللَّهِ اثْنَا عَشَرَ شَهْرًا فِي كِتَابِ اللَّهِ يَوْمَ خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ مِنْهَا أَرْبَعَةٌ حُرُمٌ

Maheenon ki ginti Allah kay nazdeek kitab Allah mein baara(12) ki hai ussi din say jab say aasman-o-zamin ko uss ney peda kiya hai inn mein say char hurmat-o-adab kay hain. (Al-Quran Surah Tawba 36)


In 4 hurmat wale mahinowazahat kartehue Rasulallah ﷺ ne farmaya :-

السَّنَةُ اثْنَا عَشَرَ شَهْرًا، مِنْهَا أَرْبَعَةٌ حُرُمٌ، ثَلاَثَةٌ مُتَوَالِيَاتٌ: ذُو القَعْدَةِ وَذُو الحِجَّةِ وَالمُحَرَّمُ، وَرَجَبُ مُضَرَ، الَّذِي بَيْنَ جُمَادَى وَشَعْبَانَ


“saal me 12 mahine hai un me se 4 hurmat wale hai 3 musعَلَيْهِ السَّلَامal yani lagatarr hai zulqaidah, zill hijjah , muharram aur rajab mazar hai jo jamadil akhir aur shabaan ke darmiyan hai (bukhari 3197)

3) Yeh un mahino me se jinme Allah ﷻ ne bil-khusus apni jaano par zulm karne se mana farmaya hai

“فَلَا تَظْلِمُوا فِيهِنَّ أَنفُسَكُمْ”
tum inn maheenon mein apni janon per zulm na kero
( Al-Quran Surah Tawba 36)

Mumaniyat ki wajah yeh hai ki in mahino me nafarmanio karne ka gunah badh jata hai jesa ki Hazrat Qatadah رحمه الله‎ (surah tawba 36 ) ki babat farmate hai ki :- hurmat wale mahino me zulm ka gunah aur bhoj dusre mahono ki banisbat badh jata hai aur zulm ka gunah garche har waqt badahta hai lekin Allah ﷻ apni shariayt me se jis chij ko chahe azmat bakhs de (tafseer tabri 11/444)



Aur imam ibn kaseer رحمه الله‎ farfmate hai :- yani in hurmat wale mahino me apni jaano par zulm mat karo kyu ki zulm in mahino me banisbat dusre mahino ke gunah ke aitbaar se zyada hai jesa ke Allah ke is qawl “ jo bhi is masjideharam me zulm ke sath ilhaadka irada karega hum usse dardnaak azaab chakahyge“.ki wajah se se balad haram ne gunah badha diya jate haiisi tarah hurmat walemahino mebhi gunah badhadiyejaate hai ( ibn kaseer 3/348)

4) Yeh Allah ka mahina hai

5) Yeh ramzaan ke baad Afzal tareen rozo wala mahinahai


Sayedna abu Huraira رضي الله عنه famrate hai ke Nabi e kareem ﷺ ne farmaya :-

أَفْضَلُ الصِّيَامِ، بَعْدَ رَمَضَانَ، شَهْرُ اللهِ الْمُحَرَّمُ، وَأَفْضَلُ الصَّلَاةِ

ramzaan ke baad sabse Afzal roze maah mohrraam ke roze hai jo ke Allah ka mahinahai ( sahi muslim 1163)


Wajeh rahe ki weseto saare mahine Allah ke hai lekin jabkisi chij ko Allah ki tarf mansub kya jata hai to us se uschijhki tazeem maqsood hoti hai jesa ki Allah ﷻ kafarmaan haiنَاقَةَ اللَّهِ وَسُقْيَاهَا(shams 13)



6) Yeh woh mahina hai jiski 10vi tarikh ki ek tareekhi ehsiyathai aur is dinke roze ki badi fazilat hai

Sayedna Abdullah bin Abbas رضي الله عنه bayan farmate hai ke Jab Rasulallah ﷺ jab Medina Munawwara Tashreeflayeto apne dekha ke yahudi youm e Ashura ka roza rakhteha Aaap ﷺ ne unse pucha tum is din ka roza kyu rakhte ho unhone kaha yeh ek azeem din hai usme Allah ﷻ ne musa عَلَيْهِ السَّلَام aur unki qoum ko nizaat di aur firwan aur uski qaoum ko garq kiya chunanche musa عَلَيْهِ السَّلَام ne is din ka roza shukrane ke taurpar rakha isliye hum bhi isdin ka roza rakhte hai is par aap ne farmayaفَنَحْنُ أَحَقُّ وَأَوْلَى بِمُوسَى مِنْكُمْ tb to hum zyada haq rakhte hai aur tumhari banisbat hum musa عَلَيْهِ السَّلَامse zyada qareeb hai fir Aap ﷺ ne khud bhi us din ka roza rakha aur sahaba kiram ko roza rakhhne ka hukm diya (muslim 1130)

aur youm Ashura 10 muharram ko kehte hai jesa ke sayeda Ayeshaرضي الله عنه

ki hadees se sabit hotahai aap رضي الله عنها farmati hai nabi kareem ﷺ ne 10 muharram ko yaoum Ashura ka roza rakhne ka hukm diya

(musnad bazar 18/153)


Aur iswke roze ki fazilat bayan karte hu rasulallah ﷺ ne farmaya :- وَصِيَامُ يَوْمِ عَاشُورَاءَ، أَحْتَسِبُ عَلَى اللهِ أَنْ يُكَفِّرَ السَّنَةَ الَّتِي قَبْلَهُyoum Ashura ke roze ke mutalliqmujhe Allah se umeed hai ke woh gujishta saal ke tamam sagheeragunah ko muaaf farma dega (myuslim 1162)

faida youm e Ashura aur uske roze ki babat tafseel ke liye dekhiye raaqim ka mazmun youm e Ashura auruska roza ke fazailaur masail

Maah muharram ke rozo ki fazilat sayedna Abu Huraira رضي الله عنه bayan farmate hai ke Rasulallah ﷺ se daryaft kiya gaya keramzan Mubarak ke baad konse roze Afzal hai ?to Aap ﷺ ne farmaya :- أَفْضَلُ الصِّيَامِ، بَعْدَ رَمَضَانَ، شَهْرُ اللهِ الْمُحَرَّمُsabse afzal roze maah muharram ke roze hai jo ke Allah ka mahina ha ( sahi muslim 1163)



Malum hua ke maah muharram ke roze nihayat fazilat wale hai lekin afsos sada afsos aaj musalmaanoka ek giroh us ba barqat maah me bakasrat roze rakhne aur degair ibadat ko aanjaam deneke bajaye ghayro ki ijaad karda bidat me malus rehta hai aur apne un amaal ko mustehsan aur Afzal amal samjh kar baja lata hai halake deen se unka zarra barabar bhi talluq nhi

Allah hum sabko in bureamaal woh hurafat se bachaye

Aur maah muhraam me zyada se zyada nekamaal karne aur muasiyat se koso dur rehnekitoufeeq bakhshe aur bator e khaas is maah me bakasrat rozerakhne ki toufeq bakshe ameen.



*Chand zaeef aur mawzu rivayatein*

1) Rasulallah ﷺne farmaya :-“سيد الأشهر المحرم”..tamammahino ka sardaar muharram hai.. (musnad firdaus 2/204 Shaikh Albani ne isse Silsila ahadees zaeef me zaeef kaha hai dekhe 8/206 )



2) Hazrat Naumaan bin Sa’d se ririvayat karte hue farmate hai ek aadmi nesayedna Alise sawaal kara ke aap mujhe ramzaan Mubarak ke baad kisi mahine meroza rakhne ka hukm dete hai ??to unhone us aadmi se kaha me fakat us shaqsko uschijke baare me sawal karte suna hai jisne rasulallah se meri mojudgi me sawal kiya ke EY Allah ek rasul App mujhe ramzaan ul Mubarak ke baad kis mahine me roza rakhne ka hukm dete hai to aapnekaha​



كُنْتَ صَائِمًا بَعْدَ شَهْرِ رَمَضَانَ فَصُمُ الْمُحَرَّمَ، فَإِنَّهُ شَهْرُ اللهِ، فِيهِ يَوْمٌ تَابَ فِيهِ عَلَى قَوْمٍ، وَيَتُوبُ فِيهِ عَلَى قَوْمٍ آخَرِينَ.”


agar tum ramzaan ke baad roza rakhna chahte ho to maah muharram me roza rakho kyu ke woh
Allah ka mahina hai ismeek esa din hai jism Allah ﷻ ne ek qoum kitauba qubul farmayi thi aur isi me ek dusri qoum ki bhi tawba farmayga( tirmizi 741 wazaeef albani )

3) Raulallah ﷺ ne farmaya jisne maah muharram ka ek din bhi roza rakh to usko har din ke badle 30 din ke roze ka sawaab milega ( moazzam sagheer 2/164 mawzu albani )



4) Rasulallah ﷺ ne farmaya:-مَنْ صَامَ يَوْمَانِ مِنَ الْمُحَرَّمِ فَلَهُ بِكُلِّ يَوْمٍ ثَلَاثِينَ حَسَنَةً“ jisne ma muharram me ek din roza rakha to uskohar din ke badle 30 nekiya milegi” ( Al moajjam al kabeer hadees 11082 mawzu albanisilsila zaeef 1/598)



5) Rasulallah ﷺ ne farmaya jisne maah zill hajj ke akhri din aur maah muharram ke pehle din ka rozarakha to usne guzishta saalka ikhtetaam aur aainda saalki shuruwaat roze seki to Allah ﷻ uske liye is amaal ko (50 saal ka kaffara bana deta hai )



6) Rasulallah ﷺ ne farmayajisne maah muharram ke ibtedayi 9 din ke roze rakhe to Allah uske liyefiza me ek esa qubba banatahai joek meelchoda aur ek meel lamba hai aur uske 4 darwaze hai ( Al Mawzuaat bit tehqeeq Abdur Rahmaan Muhammad usmaan رحمه الله‎2/199)
 
Top