Umar Asari

Administrator
Staff member
“Ali! Sone se pehle paanch kaam zaroor karo” ki Tehqeeq

Prepared By: Umar Asari

✵Sawaal:✵
Mere ek dost ne mujhe ek kaaghaz diya, jis mein likha huwa tha ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Imam Ali Radhiallahu Anhu ko yeh wasiyyat farmaayi ke Ali! Sone se pehle paanch kaam zaroor karo:
➊ Poore Quran e Majeed ki tilawat karo
➋ Chaar hazaar (4000) dirham sadqa karo
➌ Ka’ba ki ziyarat karo
➍ Jannat mein apni jagah mehfooz kar lo
➎ Jhagadne walon ki aapas mein sulah kara do.

Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ne arz kiya, Ya RasoolAllah! Yeh kaise mumkin hai? To Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:
① Kya aap ko ma’loom nahi ke «قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ» ko teen baar padhna goya saare Quran ko padhne ke barabar hai.
② Agar aap chaar baar Surah Fatiha padhen to goya chaar hazaar (4000) dirham ka sadqa kiya.
③ Agar aap dus baar yeh padh len «لَا اِلٰهَ اِلاَّ اللّٰهُ وَحْدَهُ لَا شَرِیْكَ لَهُ لَهُ الْمُلْکُ وَلَهُ الْحَمْدُ یُحْیِی وَیُمِیْتُ وَهُوَ عَلٰی کُلِّ شَیْئٍ قَدِیْرٌ» to goya Ka’ba ki ziyarat kar li.
④ Agar aap dus baar yeh padhen «لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ اِلاَّ بِاللّٰهِ الْعَلِیِّ الْعَظِیْم» to aap ne jannat mein apni jagah ko mehfooz kar liya.
⑤ Agar aap dus (10) baar yeh padhen «اَسْتَغْفِرُ اللّٰهَ الْعَظِیْمَ الَّذِیْ لَا اِلٰهَ اِلَّا هُوَ الْحَیُّ الْقَیُّوْمُ وَاَتُوْبُ اِلَیْهِ» to aap ne goya jhagadne walon mein sulah kara di.
Kya yeh aqwaal sahih hain? Mujhe to sirf yeh ma’loom hai ke Surah Ikhlaas ka padhna sulus e Quran ke barabar hai to sawaal yeh hai ke in mazkoorah baala (upar zikr kiye gaye) aqwaal ke baare mein Shari’at ki kya raaye hai?

✪Jawaab:✪
Yeh Hadees jis mein yeh zikr kiya gaya hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Ali bin Abi Talib Radhiallahu Anhu ko (upar zikr ki gayi) paanch (5) kaamon ki wasiyyatein farmaaein, yeh jhooti aur Mauzoo’ Hadees hai. Ise Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob karna ya Aap ke hawaale se bayan karna jaaiz nahi hai kiunki jo shakhs Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke hawaale se koi aisi baat bayan kere jo Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne nahi kahi hai to use apna thikaana jahannam mein bana lena chahiye. Beharhaal yeh Hadees jhooti hai. Ise Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam aur Hazrat Ali bin Abi Talib Radhiallahu Anhu ki taraf mansoob karna sahih nahi hai.
Yahan ek aur baat ki taraf tawajjo dilaana bhi zaroori hai aur woh yeh ke saayel ne apne sawaal mein Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ke liye Imam ka lafz istemaal kiya hai. Is mein koi shak nahi ke Hazrat Ali Radhiallahu Anhu bhi deegar Khulafa e Rashideen ki tarah ek Imam hain. Hazrat Abu Bakr Siddiq bhi Imam hain, Hazrat Umar bhi Imam hain, Hazrat Uthman bhi Imam hain aur Hazrat Ali (Radhiallahu Anhum) bhi Imam hain kiunki yeh chaaron khulafaa e Rashideen hain aur un ke baare mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tha:
فَعَلَيْكُمْ بِسُنَّتِي وَسُنَّةِ الْخُلَفَاءِ الْمَهْدِيِّينَ الرَّاشِدِينَ​
Tarjumah: Meri sunnat aur Khulafaa e Raashideen ki sunnat ko laazim pakadna.
(Abu Dawood: 4607, Tirmidhi: 2676)
Allama Albani Rahimahullah ne Sahih kaha hai.

To yeh wasf Hazrat Abu Bakr, Umar, Uthman aur Ali (Radhiallahu Anhum) sab par muntabiq hota hai.
Imamat sirf Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ka khaassa (khusoosiyat) nahi hai balke yeh har us shakhs ke liye hai jis ki iqtidaa ki jaaye, yahi wajah hai ke jo Namaz mein Imamat ke faraaiz anjaam de use Imam e jama’at kaha jaata hai, isi tarah jo shakhs musalmanon ke umoor o mu’aamlaat mein Imamat ke faraaiz anjaam de use bhi Imam kaha jaata hai kiunke woh rehnuma aur peshwa hota hai aur us ki bhi iqtidaa ki jaati hai. Kuch logon ka lafz “Imam” se maqsood yeh hota hai ke woh ma’soom an-il-khata (ghalatiyon se paak) hai, to yeh ek ghalat tasawwur hai kiunki makhlooq mein se koi bhi masoom ma’soom an-il-khata (ghalatiyon se paak) nahi, siwaaye us ke jise Allah Ta’ala bacha le. Auliya Allah se bhi doosre insaanon ki tarah ghalatiyan hoti hain aur woh bhi tauba karte hain kiunke har Ibn e Adam khatakaar hai aur behtareen khatakaar woh hain jo tauba kar len.
⁌Shaikh Ibn e Uathaimeen Rahimahullah ke ek fatwe se makhooz⁍
Shaikh ke fatwe ka link
 

Similar threads


Top