“Daur-e-Hazir ke chand makhsus Fitne aur hamari Zimmerdariya”


Abdul Mussavir

New member
“Daur-e-Hazir ke chand makhsus Fitne aur hamari Zimmerdariya”

Tehreer(urdu) :- Abu Muawiya Sharib bin Shakir Salafi
Source :- Magazine Nawa-e-Islam January 2018
Romanised :- Er. Abdul Musawwir



الحمد الله والسلام على رسوله الكريم اما بعد

Yeh ikkiswi sadi ke fitno ka daur hai aur yeh fitne pehle daur ki nisbat bohut khatarnaak hai abhi ek fitna khatm hota hi nhi dusra ajata hai goya ke aaj kal duniya )(دار الفتن darul-fitanban chukIhai, Nabi-e-kareem ﷺ ne pehle hi is ummat ko itn fitno se agaah karDiya tha aur batlya diya tha ke ek daur aisa ayga ki duniya me bas fitne hI fitne baqi reh jayge jesa ki sayedna muawiya ؓ se rivayat hai ke aap ﷺ ne farmaya" لم يبق من الدنيا إلا بلاء وفتنة " ke duniya me srf aur srf fitne aur azmaish hi baqi reh jaygi( ibn majah 4035) isi wajh se nabi saw ne hume 1400 saal pehle agah kardiya aur hum de diya ke Aey musalmano “بَادِرُوا بِالأَعْمَالِ فِتَنًا كَقِطَعِ اللَّيْلِ الْمُظْلِمِ يُصْبِحُ الرَّجُلُ مُؤْمِنًا وَيُمْسِي كَافِرًا أَوْ يُمْسِي مُؤْمِنًا وَيُصْبِحُ كَافِرًا يَبِيعُ دِينَهُ بِعَرَضٍ مِنَ الدُّنْيَا ‏"‏
fitne tariq raat ke hisso ki trh chaa jane wale hai inse pehle nek amaal karne me jaldi karo aur in fitno me admi subh ko momin hoga aur sham ko kaafir ya sham ko kafir hoga ya subh ko kafir ho jayga who dunyawi shaaz wa shaan ke badle apna deen bech dega ( sahi muslim 118).

Farmaan nabwiﷺ par gaur karne se yeh baat ke aaj who din aahi gya hai har tarf fitno aur azmaish ka daur hai har chij me har kaam me fitna paya jata hai koi aisi jagah nahi jaha fitna na ho ghar ho ya bazaar masjid ho ya madarsa har jagah fitne!!!.. farmaan e nabiﷺ hai har chaar jaanibfitna ka zahurr hoga utna hi nahi balqe har ghar me fitna hoga jesa ke farmaan nabiﷺ haiعَنْ أُسَامَةَ بْنِ زَيْد ٍ ـ رضى الله عنهما ـ قَالَ أَشْرَفَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم عَلَى أُطُمٍ مِنْ آطَامِ الْمَدِينَةِ فَقَالَ ‏"‏ هَلْ تَرَوْنَ مَا أَرَى ‏"‏‏.‏ قَالُوا لاَ‏.‏ قَالَ ‏"‏ فَإِنِّي لأَرَى الْفِتَنَ تَقَعُ خِلاَلَ بُيُوتِكُمْ كَوَقْعِ الْقَطْرِ usama bin zaydؓ bayan karte hai ki nabi ﷺ medina ke mahallat me se ek mahal par chade aur sahaba kiram se pucha kya tum who dekh rhe ho jo me rekh rha hu sahaba ne farmaya kenhi to aap ﷺ ne farmaya me fitno ko tumhare gharo me barish ke qatrein ki trh girta dekh rha hu ( bukhari 7060) utna hi nahi balqeqayamat tk musalmaan ke liya har ghar me fitne mojud hoga jesa ke farmaan e nabwiﷺ hai فِتْنَةُ الرَّجُلِ فِي أَهْلِهِ وَمَالِهِ وَجَارِهِ insan ke uske ahl o ayaal me uske maall me uske padosi me fitna aur azmaaish hai( bukhari 1895)

“Fitna ka ma’aina wa mafhum”

Fitna ka lughvi ma’aina imithaan aur azmaaish hai aur istilaahi mafhum imam jarzaani ؒ bayan karte hai ke woh cheej jiss ke zariye insan ki achi ya buri halat wajeh ho ( al muftrad atlilraghab 371)

imam manawi ؒ farmate hai ke fitne se murad woh muamla hai jo insaan ke batini amoor ko zahir kar de ( At-tawqeef ala mahmaat-alta’areef 251)


Fitno ka maqsa ( Fitno ke maqasid)

Allah Ta’ala kay yeh Dastoor raha hai ke woh kabhi Musibat se do-chaar karke kabhi duniya ke masail se kabhi sakhti pareshani se aur kabhi tangi ke zariye kabhi fuqhra se kabhi aulaad ki kami se azmata hai jesa ke quran me hukm hai

كُلُّ نَفْسٍ ذَائِقَةُ الْمَوْتِ ۗ وَنَبْلُوكُم بِالشَّرِّ وَالْخَيْرِ فِتْنَةً ۖ وَإِلَيْنَا تُرْجَعُونَ

Her jaandaar mot ka maza chakhney wala hai. Hum ba-tareeq imtehan tum say her aik ko buraee bhalaee mein mubtila kertay hain aur tum sab humari hi taraf lotaye jaogay.


(Ambiya 35)

Sache aur jhute khare aur khote momin wa munafiq musalmaan wa kafir ke darmiya farq karne ke liye jesa quraan me hai

أَحَسِبَ النَّاسُ أَن يُتْرَكُوا أَن يَقُولُوا آمَنَّا وَهُمْ لَا يُفْتَنُونَ
Kiya logon ney yeh guman ker rakha hai kay unn kay sirf iss daway per kay
hum eman laye hain hum unhen baghair aazmaye huyey hi chor den gay?
وَلَقَدْ فَتَنَّا الَّذِينَ مِن قَبْلِهِمْ ۖ فَلَيَعْلَمَنَّ اللَّهُ الَّذِينَ صَدَقُوا وَلَيَعْلَمَنَّ الْكَاذِبِينَ
Inn say aglon ko bhi hum ney khoob jancha. Yeqeenan Allah Taalaa unhen bhi jan ley ga jo sach kehtay hain aur unhen bhi maloom ker ley ga jo jhootay hain

(Ankabut 2-3)



“Quran mazeed me fitne ke ma’aine wa mafhum

a) Fitne ba-mana azmaish

أَحَسِبَ النَّاسُ أَن يُتْرَكُوا أَن يَقُولُوا آمَنَّا وَهُمْ لَا يُفْتَنُونَ

kya logo ne yeh ghuman kar rakha hai ke unke srf is dawe par ke hum eemaan laaye hai hum unhe bagair azmaye hue chor denge( ankabut 2 )

b) fitne ba-mana logo ki aizar saani

ثُمَّ إِنَّ رَبَّكَ لِلَّذِينَ هَاجَرُوا مِن بَعْدِ مَا فُتِنُوا ثُمَّ جَاهَدُوا وَصَبَرُوا إِنَّ رَبَّكَ مِن بَعْدِهَا لَغَفُورٌ رَّحِيمٌ

jin logo ne fitno me dale jaane ke baad hizrat ki phir jihad kiya aur sabr ka sabot diya beshaq tera parwadigar inki baato ke baad inhe bakhsne walaaur meharbaaniya karne wala hai (nahl 110)

وَمِنَ النَّاسِ مَن يَقُولُ آمَنَّا بِاللَّهِ فَإِذَا أُوذِيَ فِي اللَّهِ جَعَلَ فِتْنَةَ النَّاسِ كَعَذَابِ اللَّهِ

Aur baaz log aisay bhi hain jo zabani kehtay hain kay hum eman laye hain lekin jab Allah ki raah mein koi mushkil aan parti hai to logon ko ezza dahi ko Allah Taalaa kay azab ki tarah bana letay hain ( ankabut 10)

c) fitne ba-mana gumrahi

فَإِنَّكُمْ وَمَا تَعْبُدُونَ مَا أَنتُمْ عَلَيْهِ بِفَاتِنِينَ
yaqeen mano ke tum sab aur tumhare mabudaan batil kisi aik ko bhi behka kar gumrah nhi kar sakte ( saffat 161-162)


وَمَن يُرِدِ اللَّهُ فِتْنَتَهُ فَلَن تَمْلِكَ لَهُ مِنَ اللَّهِ شَيْئًا


Aur jisse Allah chahe gumrah karde to aap us ke liye allah ki hidayat me se kisi chiij ke mukhtaar nhi(maida 41(

d) fitna ba-mana duniyave azaab

قَدْ يَعْلَمُ اللَّهُ الَّذِينَ يَتَسَلَّلُونَ مِنكُمْ لِوَاذًا ۚ فَلْيَحْذَرِ الَّذِينَ يُخَالِفُونَ عَنْ أَمْرِهِ أَن تُصِيبَهُمْ فِتْنَةٌ أَوْ يُصِيبَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ

suno jo log rasool ki mukhalifat karte hai unhe darte rehna chahiye ke kahi un par koi zabardast aafat na aa parhe ya unhe dardnaak azaab na pohche ( nur 63)



E) Fitna ba-mana kufr wa shirk

وَقَاتِلُوهُمْ حَتَّىٰ لَا تَكُونَ فِتْنَةٌ وَيَكُونَ الدِّينُ كُلُّهُ لِلَّهِ ٌ
Aur tum inn say iss hadd tak laro kay inn mein fasad aqeedah na rahey. Aur deen Allah hi ka hojaye (baqra 139) yaha fasaad aqeedah se muraad shirk hai (ibn kaseer (

F) fitna ba mana sirat e mustaqeem se rokna

وَلَا تَتَّبِعْ أَهْوَاءَهُمْ وَاحْذَرْهُمْ أَن يَفْتِنُوكَ عَن بَعْضِ مَا أَنزَلَ اللَّهُ إِلَيْكَ ۖ
ae nabi aap unki khusiyo ki ta’abdari na kaijiye aur un se hoshiyar rahe kahi yeh aap ko Allah ke utare hue kisi hukm se idhar udhar na karde ( maida 49)

g) fitna ba-mana haq ka batil ke sath istibah paida hona

وَالَّذِينَ كَفَرُوا بَعْضُهُمْ أَوْلِيَاءُ بَعْضٍ ۚ إِلَّا تَفْعَلُوهُ تَكُن فِتْنَةٌ فِي الْأَرْضِ وَفَسَادٌ كَبِيرٌ

kafir apas me ek dusre kle rafeeq hai agr tum ne aisa na kiya to mulq me fitna hoga aur zabardast fasad hpga (anfaal 73)

yaani tumhe bhi apas me ek dusre ka rafeeq dost banna hoga apasi ikhtelaaf dur karne honge

i) fitna ba-mana aqaid me fasaad wa-alhaad

هُوَ الَّذِي أَنزَلَ عَلَيْكَ الْكِتَابَ مِنْهُ آيَاتٌ مُّحْكَمَاتٌ هُنَّ أُمُّ الْكِتَابِ وَأُخَرُ مُتَشَابِهَاتٌ ۖ فَأَمَّا الَّذِينَ فِي قُلُوبِهِمْ زَيْغٌ فَيَتَّبِعُونَ مَا تَشَابَهَ مِنْهُ ابْتِغَاءَ الْفِتْنَةِ وَابْتِغَاءَ تَأْوِيلِهِ ۗ وَمَا يَعْلَمُ تَأْوِيلَهُ إِلَّا اللَّهُ ۗ وَالرَّاسِخُونَ فِي الْعِلْمِ يَقُولُونَ آمَنَّا بِهِ كُلٌّ مِّنْ عِندِ رَبِّنَا ۗ وَمَا يَذَّكَّرُ إِلَّا أُولُو الْأَلْبَابِ

Wohi Allah Taalaa hai jiss ney tujh per kitab utari jiss mein wazeh mazboot aayaten hain jo asal kitab hain aur baaz mutashabeh aayaten hain. Pus jin kay dilon mein kuji hai woh to iss ki mutashabeh aayaton kay peechay lag jatay hain fitney ki talab aur inn kay murad ki justujoo kay liye halankay inn ki haqeeqi murad ko siwaye Allah Taalaa kay koi nahi janta aur pukhta aur mazboor ilm walay yehi kehtay hain kay hum to inn per eman laa chukay yeh humaray rab ki taraf say hain aur naseehat to sirf aqal mand hi hasil kertay hain

( surah al imraan 7)


j) fitne ba-mana aag se jalana

يَوْمَ هُمْ عَلَى النَّارِ يُفْتَنُونَ)
ذُوقُوا فِتْنَتَكُمْ هَٰذَا الَّذِي كُنتُم بِهِ تَسْتَعْجِلُونَ
han yeh woh din hai kay yeh aag per tapaye jayen gey, Apni fitna-perdazi ka maza chakho yehi hai jiss ki tum jaldi macha rahey thay

إِنَّ الَّذِينَ فَتَنُوا الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ ثُمَّ لَمْ يَتُوبُوا فَلَهُمْ عَذَابُ جَهَنَّمَ وَلَهُمْ عَذَابُ الْحَرِيقِ
Be-shak jin logon na musalman mardon aur auraton ko sataya phir tooba (bhi)na ki to unkay liey jahanum ka azab hay aur jalney ka azab hay

(az dhariyat 13-14) al buruj (10)

k) fitna ba-mana logo ke darmiya ikhtillaf nafrat adawat paida karna

لَوْ خَرَجُوا فِيكُم مَّا زَادُوكُمْ إِلَّا خَبَالًا وَلَأَوْضَعُوا خِلَالَكُمْ يَبْغُونَكُمُ الْفِتْنَةَ وَفِيكُمْ سَمَّاعُونَ لَهُمْ ۗ وَاللَّهُ عَلِيمٌ بِالظَّالِمِينَ. Agar yeh tum mein mill ker nikaltay bhi to tumharay liye siwaye fasad kay aur koi cheez na barhatay bulkay tumharay darmiyan khoob ghoray dora detay aur tum mein fitney dalney ki talash mein rehtay inn kay mannay walay khud tum mein mojood hain aur Allah inn zalimon ko khoob janta hai.

( tauba 47)

l ) fitna ba mana qatl wa qaid

وَإِذَا ضَرَبْتُمْ فِي الْأَرْضِ فَلَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ أَن تَقْصُرُوا مِنَ الصَّلَاةِ إِنْ خِفْتُمْ أَن يَفْتِنَكُمُ الَّذِينَ كَفَرُوا ۚ إِنَّ الْكَافِرِينَ كَانُوا لَكُمْ عَدُوًّا مُّبِينًا
Jab tum safar mein jaa rahey ho to tum per namazon kay qasar kerney mein koi gunah nahi agar tumhen darr ho kay kafir tumhen satayen gay yaqeenan kafir tumharay khulay dushman hain.
( nissa 101)

M) fitna ba-mana musalat karna

فَقَالُوا عَلَى اللَّهِ تَوَكَّلْنَا رَبَّنَا لَا تَجْعَلْنَا فِتْنَةً لِّلْقَوْمِ الظَّالِمِينَ
Unhon ney arz kiya kay hum ney Allah hi per tawakkal kiya. Aey humaray perwerdigar! Hum ko inn zalimon kay liye fitna na bana.

(yunus 85)

N) fitna ba mana nifaaq

وَلَٰكِنَّكُمْ فَتَنتُمْ أَنفُسَكُمْ وَتَرَبَّصْتُمْ وَارْتَبْتُمْ وَغَرَّتْكُمُ الْأَمَانِيُّ حَتَّىٰ جَاءَ أَمْرُ اللَّهِ وَغَرَّكُم بِاللَّهِ الْغَرُورُ
Yeh chilla chilla ker unn say kahen gey kay kiya hum tumharay sath na thay woh kahengay kay haan thay to sahi lekin tum ney apney app ko fitnay mein phansa rakha tha our intizar mein hi rahey our shak-o-shuba kertay raheyour tumhen tumhari fazool tamannao ney dhokay mein hi rakha yahan tak kay Allah ka hukum aa phoncha our tumhen Allah kay baray mein dhoka denay walay ney dhokay mein hi rakha

(hadeed 14)

Daur-e-hazir ke chand fitne

1) Social Media aur Mobile ka fitna

Daur-e-hazir ka bohut bada fitna media ka hai chahe electronic media ho ya print media ho ya social media ho is media ne esa inquilab barpa kardia hai ke ab puri duniya aapke hath me hai aap ki aankho ke samne agyi hai aap jo chahe jab chahe aur jaha chahe har chijee sun sakte hai aur dekh sakte hai chunanche jab se 3g aur 4g ka daur shuru hua hai is media ke zariye fahashi,beghairtii behayayi ka aisa tufaan agya hai ke Allah ki panah ! ab kisi baat ka pardda nhi raha chije har shaqs ke liye jab chahe jaha chahe jhuta ho ya bura baligh ho ya nabaligh larka ho ya larki mard ho ya aurat sabke liye khuli hai aur har koi isse judna chahta hai aur juda hua bhi hai bil khusus social media se ki isske bagair to zindagi daqiyanusi samjhi jati hai jo isse juda hua hai woh aqalmand hai hai jo na juda hua hai woh bewkuf samjha jata hai yahi wo hathiyar hai jisne nojawan larko aur larkiyo ko tabah kardiya diya hai .

face book isteimaal karne wale nojawan zara aqal se socho kahi aisa na ho ke kal qayamat ke din aap ka face yani chehra is ayah ka misdaaq na ban jaye

Quran :- surah abasa (80;40-42)



وَوُجُوهٌ يَوْمَئِذٍ عَلَيْهَا غَبَرَةٌ تَرْهَقُهَا قَتَرَة أُولَٰئِكَ هُمُ الْكَفَرَةُ الْفَجَرَةُ
Aur baht say chehry usdin ghubar alod hon gay. Jis per siyahi charhi hoi hogiwo yehi kafir badkirdar log hon gay.

kahi aisa na ho ke usu facebook/whatsaap ki wajh se aapka face bhi kal udaas ho jaye


Al quran ( qiyamat 24:25)

وَوُجُوهٌ يَوْمَئِذٍ بَاسِرَةٌ
Aur kitnay chehry us din (bad ronaq aur) udas honga




تَظُنُّ أَن يُفْعَلَ بِهَا فَاقِرَةٌ
Samjhtay hongay kay in kay sath kamar toor dynay wala mamla ki jaey ga

Aye Nojawan kahi aisa na ho key eh book aapke gale padh jaye

Al quran ( al isra 13-14)

وَكُلَّ إِنسَانٍ أَلْزَمْنَاهُ طَائِرَهُ فِي عُنُقِهِ ۖ وَنُخْرِجُ لَهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ كِتَابًا يَلْقَاهُ مَنشُورًا
Hum ney her insan ki buraee bhalaee ko uss kay galay laga diya hai aur baroz qayamat hum uss kay samney uss ka naam-e-aemaal nikalen gay jissay woh apney upper khulla hua paa ley ga.

اقْرَأْ كِتَابَكَ كَفَىٰ بِنَفْسِكَ الْيَوْمَ عَلَيْكَ حَسِيبًا
Ley! Khud hi apni kitab aap parh ley. Aaj to tu aap hi apna khud hisab lenay ko kafi hai


social media par har insaan apni galti par difayo waqeel aur dusro ki galti ka judge bana betha hai sab ko dusro ki fiqr hai magar apne aap ki fiqr nhi hai namaz kabhi padhte nhi lekin namaz ke post share karte hai masjid ke bagal me ghar hai magar fazr namaz ke liye hazir nhi hote.

2) Mobile ka fitna

Namaz wa masjid ke tamam hado ko todne wala yhi woh sabse bada fitna hai mobile aaj ke mashruf zindagi ki aik aisa lazmi chij ban chuka hai ke namaz ke 10 ya 15 min ke liye bhi isse alag karna mumkin nhi hai har namaz me ek martaba zaruri hai ke mobile ki ghanti ki awaz logo ki namaz me khalal dalti hai.

iqbaal ke shayr me lafzi tarmim ke sath

“ me jo sir sajde hua kabhi to jaib se aane lagi sada
tera dil to hai mobile aasnaa tujhe kiya milega namaz me”

3) Ulema ki sohbat wa nigrani ke bagair google/whatsapp se ilm hasil karne ka fitna

imam shafee kehte hai ki wo shaqs jo quran wa hadees ki daleel bagair ilm hasil karta hai to uski misaal raat ke waqt jungle se sukhi lakdiya jama karne wale ke barabar hai wo apni lakdiyo ka ghitta jab utha ta hai to bas awqaat sanp bhi lapeta hu ajata hai to use dass leta hai aur us shaqs ko sanp kai ilm bhi nhi hota .

4) jahil ko apna rahnuma bana lena/ brother celebrity duaat ka fitna

Aaj ke daur me dekha jata hai ke koi masle masail ke baare me ulemao se sawal puche bagair unse sawal karte hai jinhe deen kai ilm nhi hota isi ki peshangoyi ne kit hiﷺNabi

اتَّخَذَ النَّاسُ رُءُوسًا جُهَّالاً فَسُئِلُوا، فَأَفْتَوْا بِغَيْرِ عِلْمٍ، فَضَلُّوا وَأَضَلُّوا

log jahilo ko apna rahnuma bana lenge aur inse masle dariyaft kiye jayge aur bagair ilm ke fatwe de kar khud bhi ghumrah honge aur dusro ko bhi gumrah karenge ( bukhari 100)

nez in logo ki adat taur tareeqe ka zikr

ki zubani sune kiﷺ habeeb


قال حذيفة بن اليمان رضي الله عنه: كان الناس يسألون رسول الله صلى الله

عليه وسلم عن الخير، وكنت أسأله عن الشر مخافة أن يدركني، فقلت: يا رسول

الله! إنا كنا في جاهلية وشر، فجاءنا الله بهذا الخير [فنحن فيه] ، [

وجاء بك] ، فهل بعد هذا الخير من شر [كما كان قبله؟] . [قال: " يا حذيفة

تعلم كتاب الله واتبع ما فيه، (ثلاث مرات) ". قال: قلت: يا رسول الله!

أبعد هذا الشر من خير؟] . قال: " نعم. [قلت: فما العصمة منه؟ قال: "

السيف "] . قلت: وهل بعد ذلك الشر من خير؟ (وفي طريق: قلت: وهل بعد

السيف بقية؟) قال: " نعم، وفيه (وفي طريق: تكون إمارة (وفي لفظ:

جماعة) على أقذاء، وهدنة على) دخن



قلت: وما دخنه؟ قال: " قوم (

وفي طريق أخرى: يكون بعدي أئمة [يستنون بغير سنتي و] ، يهدون بغير هديي،

تعرف منهم وتنكر، [وسيقوم فيهم رجال قلوبهم قلوب الشياطين، في جثمان إنس]

". (وفي أخرى: الهدنة على دخن ما هي؟ قال: " لا ترجع قلوب أقوام على الذي

كانت عليه ") . قلت: فهل بعد ذلك الخير من شر؟ قال: " نعم، [فتنة عمياء

صماء، عليها] دعاة على أبواب جهنم، من أجابهم إليها قذفوه فيها ". قلت: يا

رسول الله! صفهم لنا. قال: " هم من جلدتنا، ويتكلمون بألسنتنا ". قلت: [

يا رسول الله!] فما تأمرني إن أدركني ذلك؟ قال: " تلتزم جماعة المسلمين

وإمامهم، [تسمع وتطيع الأمير وإن ضرب ظهرك وأخذ مالك، فاسمع وأطع









mere baad ek qaum hogi jo mere tareeqe se hatt kar koi aur tareeqe apnnayge aur mere elawah kisi aur ki rahnuma lenge tu un ki kuch chijo ko pehchaan lega aur kuch ka inkar karega aur un me aise logo bhi ayge jo insano ke qalb me hoge magar unke dil shaiytaan honge

ravi hadees kehte hai ke mene kaha ki kya is khair ke baad bhi sharr hoga to nabi ﷺ ne farmaya ha andha-dundh fitna hoga aur us me aise logo honge ki goya ki wo jahannum kar darwaze pakde hai jo admi inki baat manega wo jahannum me dhakel diya jayga sahabi e rasoolﷺ ne kaha Allah ke nabi ﷺ aap esi logo ki sifaat bayan kare to nabi ﷺne farmaya wo hamari nasl ke honge aur hamari tarh bate karnege sahabi e rasool ne kaha ke agr me esa zamana pa lu to mere liye kya hukm hai nabi ﷺne farmaya musalmano ki jamat aur unke hukmarano ki lazim pakdana ameer ki baat sunna aur manna agarche teri pitayikari jaye aur tera maal lut liya jaye phir bhi inki baat sunna aur manna

sahi albani 2739

nichod yeh nikalta hai ke in celebrity duaat aur brothers ka jo fitna ha
wo is tarh hai

a) hum jo keh rhe hai wohi sahi baqi sab galat
b) koi deeni ya ilmi kaam kiya jaaye aarzu yeh rehti hai ke jyada se jyada daad tehseen ke naare buland ho
c) quran wa hadees ko chor kar ghairo ki kitabo se dawat wa tabligh karna awaam ko ulemao se nafrat dilana aur unki beijjati karna

nabi ﷺ ne farmaya

لَيْسَ مِنْ أُمَّتِي مَنْ لَمْ يُجِلَّ كَبِيرَنَا، وَيَرْحَمْ صَغِيرَنَا، وَيَعْرِفْ لِعَالِمِنَا حقه

wo shaqs meri ummat me se nhi jo bade ka ehtraaم na kare aur chote pe reham na kare aur hamare aalimo ke haq ko na jaane (musnad ahmed)

d) tanzeem saazi ka fitna chand iskhaas kisi baat par kya mutttafiq ho gye ya kisi jamaat se zara ikhtelaaf raaye ho gya ak neyi jamat ki tashkeel ho gyi madarsa wa masjid hi alag bana lete hai,


Fitno ke daur me hamari zimmedariya

1) ilm hasil karein :- bilkhusus fitno ki mutalliq kyu ke huzaifaؓ bin yaman ra kehte hai ke log aap ﷺ ke khair ke baare me puchte hai aur log aapse shaarr ke baare me puchte hai(saheeha 2739)

dekhiye yaha sahaba ikram kis tarh rasulallah saw se khair aur ssharr ke baare me ilm hasil kar rhe hai


2) Aqal ka shahee istemaal karte hue apni zuaan ,hath paao wagerh ki hifazat karna



ibn Masoodؓ bayan karte hai aap ﷺ ne farmaya fitno ka aisa zamana shuru hoga ki uss me sone wale letne wale se behtar hoga letne wala bethne wale se behtar hoga bethne wala khara hone wale se behtar hoga khara hone wala chalne wale se behtar hoga chalne wala sawaar se behtar hogasawar dodne wale se behtar hoga ravi hadees ne kaha ke agar hum esa zamana pa le to aap hamare haq me kya dua karte hai nabiﷺ ne farmaya apne aap ko apne hath ko qabu me rakhna aur apne ghar ke andar rehna mene kaha ke aey Allah ke rasoool ﷺ agar koi fitne baaz mere ghar ke andar bhi ghus aya tp muje kya karna chahiye ? to aap ﷺ ne farmaya ke to apne kamre me dakhil ho jana mene kaha ke aey Allah ke rasool saw agr wo mere kamre me ghus aye to aap ﷺ ne farmaya ke apne sajda gha me dakhil ho jana aur is tarh karlena fir aap ﷺne daye hth se kalayi ko pakd kliya aur farmaya ke tum yeh marte dum tk kehte rehna ke mera rabb Allah hai(saheeha 3254)

nez ek dusri hadees me aap saw ne farmaya ke anqareb fitno ka daur hoga unme bethne wala khara hone se behtar hoga khara hone wala chalne wale se aur chalne wala dodne wale se behtar hoga jo us fitne me jhakega fitna uss bhi uchak lega isliye ese halat me jo koi jaha jaghe ya panah paye waha chala jaye (bukhari 3601 1063 )




3) fitno ke daur me apne gharo mein lazim rahe


اكسروا قسيكم ـ يعني في الفتنة ـ واقطعوا أوتاركم، والزموا أجواف البيوت، وكونوا فيها كالخير من ابني آدم

Abu musa ؓ se rivayat hai ke aap ﷺ ne farmaya fitno ke daur me apne kamane tod dena aur unki tantein kaat dena aur apne gharo ke andr hi rehna auradam ؑ ke beto me se nek bete ki trh jung wa jidaal se dast kash ho jana ( as saheeha 4251 1524)

4) fitnoke daur me logo ko chor kar apni izzat ki fiqr karna


كيف بك يا عبد الله بن عمرو إذا بقيت في حثالة من الناس مرجت عهودهم وأماناتهم، واختلفوا فصاروا هكذا: وشبك بين أصابعه قال: قلت: يا رسول الله ما تأمرني؟ قال: عليك بخاصتك، ودع عنك عوامهم

abu Hurairaؓ bayan karte hai ke rasulallah ﷺ ne ne famrya aey Abdullah bin amru is waqt tera kya banega jb tu ghatiya aur adni darje ke logo me baqi reh jayga un ke ahad wa bayan aur amanat me khot paida ho jyaga who ikhtelaaf me badh jayge aur wo Is tarh khallat wa massallat ho jayge to aap ﷺ ne irshaad farmate hue apne hatho ki ungliya ko aek dusre me dakhil kardiya mene kaha ki aey Allah ke rasoolﷺ aap mujhe ese halat me kya hum denge to aap ﷺ ne farmaya ki apne akhirat ki fiqr karna aur logo ke muamlat me na parhna


(sahehha 206)



5) fitno se bachne ki maksus dua ka ehtamaan karein



Har musalmaan ke liye zaruri hai ke wo har waqt fitno se Allah ki panah talab karte rahe jesa ke zaid bin sabitؓ bayan karte hai ke ek martaba aap ﷺ ne tamam sahaba kiramؓ se kaha ke tum sab har zahir wa batin fitnio se allah ki panah talab karo to sahaba kiram ra ne kaha ke hum sab tamam zahir wa batin fitno se ALlhah ki panah talab karte hai

aur khud Allah ne apne habiib ﷺ ko yeh talim di ke

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ فِعْلَ الخَيْرَاتِ، وَتَرْكَ الْمُنْكَرَاتِ، وَحُبَّ الْمَسَاكِينِ، وَأَنْ تَغْفِرَ لِي وَتَرْحَمَنِي، وَإِذَا أَرَدْتَ فِتْنَةً فِي قَوْمٍ فَتَوَفَّنِي غَيْرَ مَفْتُونٍ

Aye Muhammad ﷺ jb aap namaz padhle to yeh dua padha kare Aye Allah tu mujse nekiya aur burayi ko chorne aur miskeeno se muhabbat ka sawal karta hu aur zab tu apne bando kio fitno me mubtala karne ka irada kare to muje us me mubtala kiye bagair meri ruh ko qabz kar lena
( tirmizi 3335 )


Amru bihn maimun bayan karte hai ki sad ؓ apne bacho ko darz zail kalimat ese hi sikhate jis tarh se ek muallim bacho ko likhna sikhata hai aur kehte hai beshaq aap ﷺ salam pherte hi un chijo se panah manga karte the

إِنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يَتَعَوَّذُ مِنْهُنَّ دُبُرَ الصَّلاَةِ: «اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الجُبْنِ، وَأَعُوذُ بِكَ أَنْ أُرَدَّ إِلَى أَرْذَلِ العُمُرِ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الدُّنْيَا، وَأَعُوذُ بِكَ

( bukhari 2812 )



6) ibadaton ka ehtemam kare aur zyada se zyada nek amaal baza laye


Aap ﷺ ka farfmaan hai ke لْعِبَادَةُ فِي الْهَرْجِ كَهِجْرَةٍ إِلَيَّ fitno ke daur me ibadat karne ese hi jese ke meri tarf hizrat karna (muslim 2948)

kyuki jab fitno ka daur ho haq wa batil ki kashmaksh ho log intehai muztarab wa pareshaan ho to ese halat me kam hi log Allah ki ibadat ki tarf muttawaza hote hai chunanche un gaflat ke dauran jo shaqs ibadat me mashgul hoga wo fitno ke sharr se mehfuz rahega jesa ke Ap ﷺ ka farmaan hai ke insaan ke liye usske ahl wa ayaal me uske maal me aur uske parosio me fitna wa azmaish aur un fitno se bachav ka zariya namaz roza sadqa khairat hai

فِتْنَةُ الرَّجُلِ فِي أَهْلِهِ وَمَالِهِ وَجَارِهِ، تُكَفِّرُهَا الصَّلاَةُ وَالصِّيَامُ وَالصَّدَقَةُ

(bukhari 1895 5981)


nez aap ﷺ ne farmaya

بادروا بالأعمال خصالا ستا: إمرة السفهاء وكثرة الشرط وقطيعة الرحم وبيع الحكم واستخفافا بالدم ونشوا يتخذون القرآن مزامير يقدمون الرجل ليس بأفقههم ولا أعلمهم ما يقدمونه إلا ليغنيهم

ke tum 6 chijo ke aane se pehle jaldi jaldi nek aamaal karlo ahmaq logo ki hukmarani police (sipahio ) ki qasrat qatah rehmi fesle ko rishwat ke badle me bechna khun bahane ko halqa samjhna aur ese nokhair bacho ka ana jo quran mazeed ko raag gana bana lenge log unme se ek ko isliye imam nhi banayge wo sabse jyada samjhdaar aur sabse bada aalim hoga balqe isiliye ke who unke samne quran ko gaakar padhega
( al sahehha 979/2581)

7) deen par sakhti se amal karte hue uski nashro wa isha’at kareimn




Kyu ke aap ﷺ ka farmaan hai
أتي على الناس زمان الصابر فيهم على دينه كالقابض على الجمر

ke fitno ke daur me deen par amal karna mushkil ho jayga logo par aisa zamana bhi ayga ki apne deen par sabr karne wala dehakte angare mitti me band karne wale ke mutradaf hoga (saheeh albani 957






isi trh aap ﷺ ne farmaya

إن من ورائكم أيام الصبر، للمتمسك فيهن يومئذ بما أنتم عليه أجر خمسين منكم قالوا: يا نبي الله أو منهم؟ قال: بل منكم


ke tumhare baad sabr karne ke ayaam aane wale hai unme jo shaqs us deen ko mazbuti se thame rahega jispar tum qayim ho to use tum me se 50 afraad ke barabar azr milega ( saheeha 494)

8) kitab Allah wa sunnat rasulallah ﷺ ki itteba

يَاأَهْلَ الْكِتَابِ قَدْ جَاءَكُمْ رَسُولُنَا يُبَيِّنُ لَكُمْ كَثِيرًا مِمَّا كُنْتُمْ تُخْفُونَ مِنَ الْكِتَابِ وَيَعْفُو عَنْ كَثِيرٍ قَدْ جَاءَكُمْ مِنَ اللَّهِ نُورٌ وَكِتَابٌ مُبِينٌ يَهْدِي بِهِ اللَّهُ مَنِ اتَّبَعَ رِضْوَانَهُ سُبُلَ السَّلَ

tumhare pass Allah ki trf se nuur aur wajeh kitab achuki hai jiske zariye se Allah tala unhe jo razaye rabb ke dar pe ho salamati ki raahein batlata hai aur apni toufeeq se andhero se nikaal kar nur ki trf lata hai aur raah e raast ki trf unki rehbari karta hai ( al maida 15-16 )

isi trh aap ﷺ ka farmaan hai

وصِيكُمْ بِتَقْوَى اللَّهِ وَالسَّمْعِ وَالطَّاعَةِ، وَإِنْ عَبْدًا حَبَشِيًّا، فَإِنَّهُ مَنْ يَعِشْ مِنْكُمْ بَعْدِي فَسَيَرَى اخْتِلَافًا كَثِيرًا، فَعَلَيْكُمْ بِسُنَّتِي وَسُنَّةِ الْخُلَفَاءِ الْمَهْدِيِّينَ الرَّاشِدِينَ، تَمَسَّكُوا بِهَا وَعَضُّوا

ke yani yaqen jano ke tum me se jo koi shaqs mere baad zinda rahega who bohut jyada ikhtellaf ko dekhega pas tum essurat me meri sunnat aur khulfa e rashedeen ki tareeqe ko mazbuti ke sath nawaziz wale dato se lazim pakd lena( abu Dawood 4607)




Nez farmaya ke Aey logo meri bato ko achi tarh samjh lo mene yaqeen Allah ka deen aap tak pohcha diya aur me tum me esi chij chor ke ja rha hu ke agar tumne use mazbuti se tham liya to kabhi gumrah nhi honge aur woh kitab Allah aur sunnat e rasulallah ﷺ( al sunna marwazi 86 68)





9) tauba wa istigfaar ko lazim pakde

yaani fitno ke daur me sache dil se Allah ki trf ruju hona aur apne tamam gunaho par uske samne nidamat wa sharmindgi izhaar karte hue use astagfar talab karna jesa ke Allah ka farmaan hai

وَمَا كَانَ اللَّهُ لِيُعَذِّبَهُمْ وَأَنْتَ فِيهِمْ وَمَا كَانَ اللَّهُ مُعَذِّبَهُمْ وَهُمْ يَسْتَغْفِرُونَ

aur Allah ese logo ko azaab dene wala nhi jo astagfaar kar rhe ho

(anfaal 33)



Dusri jagaha farmaya

فَلَوْلَا إِذْ جَاءَهُمْ بَأْسُنَا تَضَرَّعُوا وَلَكِنْ قَسَتْ قُلُوبُهُمْ وَزَيَّنَ لَهُمُ الشَّيْطَانُ مَا كَانُوا يَعْمَلُونَ
fir jab un par hamara azaab aya to who kyu na gidgidaye magar unke dil to aur sakht ho gye aur shaytaan ne unke amaal khubsurat bana kar dikhla diye ( anaam 34 43 (


10) sabr kare

mukhtalif azmaish aur fitno ko bardasht karte hue sabit qadmi aur istiqamat ka muzaihra kare kyu ke nabi ﷺ ka farmaan hai

إِنَّ السَّعِيدَ لَمَنْ جُنِّبَ الْفِتَنَ، إِنَّ السَّعِيدَ لَمَنْ جُنِّبَ الْفِتَنِ، إِنَّ السَّعِيدَ لَمَنْ جُنِّبَ الْفِتَنُ، وَلَمَنْ ابْتُلِيَ فَصَبَرَ فَوَاهًا

ke khus naseeb hai who shaqs jisse fitno se bacha liya jaye khus nasseeb hai wo shaqs jisse fitno se bacha liya jaye khus naseeb hai who shaqs jise fitno se bacha liya jaye lekin jo unme mubtala kardiya gaya aur usne sabr ka muzahira to uske kiya kehna ( abu Dawood 3624 4263)

akhir me Allah se dua kare ya Allah is fitne bhare daur me hum musalmaan ki jaan wa maal ki hifazat farma aur har zahir wa batin fitno se mehfuz rakh

Ameen

wa akhirud dawana wal hamdulillahi rabbil alameen
Jazakallaho khaira
18-05-2018




 
Top