Kabeera Gunah Aur Unka Anjaam | Part 1 | Major Sins In Islam |


Ahmad

New member
Kabeerah Gunah
.....By Imam Shamshuddin Zahabi

1. Shirk Billah: Iski do qismein hain.
a)Shirk-e-akbar:
Allah Taala ke sath kisi dusre ki ibadat karna, Ya kisi
tarah ki ibadat gairullah ke liye karna shirk-e-akbar kehlata hai, Maslan Gairullah ke liye zubah karna, pukarna, waghaira jaisi ibadat shaamil hain,
Mushrikeen Allah Taala ki ibadat ke sath baaz dusri cheezon ki bhi ibadat kiya karte the, Uski gunah-e-kabeera hone ki daleel mandarja-e-zail aayat-e-kareema hai:
Allah usko to beshak na bakshega ke uske sath shirk kiya jaaye lekin uske alawa gunah jis kisi ke chaahega
baksh dega.
( Surah-e-Nisa : 48)
b)Shirk-e-Asgar:
Aamaal-e-saaliha me Riyakaari aur dhikhawe ko kehte hain, Iski daleel irshaad-e-baani hai: So badi kharabi hai aise namaziyon ke liye jo apni namaz ko bhula baithe hain, aur jo aise hain ke Riyakaari karte hain aur baratne ki cheezon ko bhi roke rehte hain,
( Surah-e-Maoon : 4-7)
Isi silsile me Nabi s.a.w. hadees-e-qudsi me irshaad farmate hain:
Shirk ke maamle me shurakaa me sabse zyaada be niyaaz hon agar kisi ne neki karte waqt mere sath kisi aur ko bhi shareek kardiya to main use aur uske shirk
ko chod deta hun, Yaani mujhe uski koi zarurat nahi hai,
( Muslim aur Ibn Maaja ne riwayat kiya hai).
2. Qatal karna:
Allah Taala ka irshaad hai: Aur jo Allah Taala ke sath kisi aur mabood ko nahi pukarte aur jis ( Insaan ki ) jaan ko Allah ne haraam qarar de diya hai, use qatal nahi karte magar haan haq par , Aur na zina karte hain, aur jo koi aisa karega usko saza se saabiqa padega, Qayamat ke din uska azaab badhta jaayega aur usme hamesha zaleel hokar pada rahega, Magar jo tauba karle aur emaan le aaye aur neik kaam karta rahe.

3. Jaadu tona karna:
Allah Taala ka irshaad hai:
Albatta shaitan (hi) Kufr kiya karte the, wo logon ko seher ( Jaadugari ki ) taleem dete the.
( Surah-e-baqra : 102)
Nabi Kareem s.a.w. ne farmaya: Sath mohlik umoor se ijtanaab karo:
1. Allah Taala ke sath shirk karna.
2.Jaadu tona karna.
3.Bila jurm kisi ko qatal karna.
4. Sood khana.
5. Yateem ka maal hadap kar jaana.
6.Maidan-e-jang se peet pher kar bhaag jaana.
7. Paak daman mimon auraton par tohmat lagana.(
Bukhari-o-muslim ne riwayat kiya hai, sahih aljaamih
hadees number : 144)
4. Namaz na padhna:
Allah Taala ka irshaad hai:
Phir unke baad aise na khalf ja nasheen hue jinhon ne namaz ko barbad kiya aur khuwaishaat ki perwi ki, so wo anqareeb qarabi se do chaar honge, Albatta jisne tauba karli aur emaan le aaya aur neik kaam karne laga.
( Surah-e-maryam : 59,60).
Nabi kareem s.a.w. ka irshaad girami hai:
“ Aadmi aur kufr ke darmiyaan bas namaz chod dene ka farq hai”. ( Muslim ne riwayat kiya hai)
Dusri jagah irshaad-e-giraami hai:
“ Hamare aur un kaafiron ke darmiyaan namaz ka
muaahida hai, to jisne namaz chodi usne kufr kiya”.
( Imaam Ahmed ne riwayat kiya hai).
5. Zakaat na dena:
Allah Taala ka irshad hai: Aur jo log isme baql karte hain
jo kuch Allah ne unhein apne fazal se de rakha hai wo
hargiz ye na samjhe ke ye unke haq me kuch acha hai,
Nahi, balke unke haq me bahut bura hai, Han qareeb unhein qayamat ke din tauq pehnaya jaayega, us ( maal) ka jisme unhon ne baql kiya.
6. Bila uzar Ramzan ke roze na rakhna :
Nabi s.a.w. ka irshaad hai:
Islaam ki bunyaad paanch cheezon par rakhi gayi hai : Is baat ki gawaahi dena ke Allah ke siwa koi mabood barhaq
nahi aur (Muhammad s.a.w.) Allah ke Rasool hain, Namaz
qaaim karna, Zakaat ada karna, Baitullah ka hajj karna aur
Ramzan ke roze rakhna”.
( Imaam bukhari ne riwayat kiya, Fatahul Baari 549/1)
7. Istitaat ke ba wajood Hajj na karna:
Iski Daleel mazkoora baala hadees hai jise Imaam Bukhari
ne riwayat kiya hai, Kyunke Hajj bhi islam ke paanch
arkaan me se ek ahem rukn hai aur istitaa’t rakhte hue usko
ada na karna gunah-e-kabeera hai.
8. Waalidain ki na farmaani:
Allah Taala ka irshaad hai:
Agar wo tere saamne budhape ko pahunch jaayein un dono me se ek ya wo dono, to unse uff bhi na kehna aur na unko jhidakna aur unse adab ke sath baat cheet karna aur unke
saamne muhabbat se inkasaari ke sath jhuke rehna aur kehte rehna ke Aye Mere parwardigaar! Un par rehem farma jaisa ke unhon ne mujhe bachpan me paala.
( Surah-e-al isra : 23,24).
Nabi s.a.w. ne farmaya:
“ Kiya main tumko gunah-e-kabeera me se sabse bade gunah ko na batadun? Sahaba r.a. ne arz kiya zaroor bata dein aye Allah ke Rasool , Aap s.a.w. ne farmaya: Allah ke sath karna aur waalidain ki na farmaani karna aur jhooti gawaahi dena”.
(Imaam bukhari ne riwayat kiya hai, Fatahal baari 405/10).
9. Ahal-o-iqarib se qata taaluqi:
Allah Taala ka irshaad hai:
Kiya Tum logon se uske siwa kuch tauqa ki jasakti hai ke agar tum ulte muh phir gaye to zameen me fasaad barpa karoge aur aapas me qata rehmi karloge, Yahi log tauheen jin par Allah ne laanat ki hai, So unhein behra aur unki aankhon ko andha kardiya hai.
Nabi s.a.w. ka irshaad hai:
“ Jannat me rishton ko qatam karne waala shaks nahi jaayega”.
( Imaam Bukhari ne riwayat kiya hai, Fatahul Baari 415/10).
Mazeed Irshaad Farmaya: Rishton ko jodhne waala wo shaks nahi jo badle me rishte istwaar karta hai balke haqeeqi maanon ko jodhne waala wo hai jo toote hue rishte istawaar kare”
( Imaam Ahmedne riwayat kiya hai, Sahih Aljaamih
hadees number 5385).
Isliye bhai! Sila rehmi ki taraf aage badho, baahami
muhabbat-o-muaddat, ziyarat-o-mulaqaat aur nusrat-o-
madadke zariye use furoq do aur qadre aeza risaani par
sabar-o-tajammal se kaam lo, aur yahi haqeeqi maanon me
sila rehmi hai, Allah Taala hum sab ko un taleemat par
amal pera hone ki taufeeq de.
10. Zina kaari:
Allah Taala ka irshad hai:
Aur zina ke qareeb bhi mat jao yaqeenan ye badi be hayaayi hai aur buri raah hai. ( Surah-e-isra : 32)
Nabi kareem s.a.w. ka irshaad hai:
“Jab koi banda zina karta hai to emaan usse nikal kar sar
ke upar saayiban ki maanind hojata hai aur jab wo usse
baaz ajata hai to laut aata hai”.
( Imaam Abu Dawood ne riwayat kiya hai, Mulahiza
ho, sahih aljaamih hadees 586).
Mazeed ek hadees me irshaad hai:
“ Aankh ka zina dekhna aur zuban ka zina fahash kalami hai aur hath ka zina pakadna hai aur pair ka zina chalna hai aur kaan ka zina sunna hai, Nafs to khuwaish-o-shohwat ka izhaar karta hai aur sharmgaah uski tasdeeq aur takzeeb karti hai”.( Is hadees ko Imaam bkhari ne riwayat kiya hai)
Aur is daur me aankhon ki zinakaari television par auraton
ki arbaan taswerein dekhne se bhi hoti hai aur us waja se aise mushahid ka t.v. par bhi dekhna haraam qaraar diya gaya hai.
Har jagah ke aksar-o-beshtar t.v. programme aise hi mushahid par mushtamal hote hain, Allah Taala us se mehfooz rakhe.

To be Continued..... In 2nd Part In sha Allah
 
Last edited by a moderator:
Top