“Maah Safar aur Nahusat wa Bad-shaguni ki Haqeeqat”


Abdul Mussavir

New member
ﺑﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ


“Maah Safar aur Nahusat waBad-shaguni ki Haqeeqat”

Tehreer :- Shaikh Hafiz Akbar Ali Akhtar Ali Salafi
Romanised :- Abdul Mussawwir

الحمد الله والسلام على رسوله الكريم اما بعد

Maah Safar islaami saal ka dusra mahina hai is maah ki fazilat ki babat mere ilm ke mutabiq koi hadees marvi nahi hai aur na hi koi aisi baat marvi hai jiss ki wajah se is mahine ko be-barqat aur bura samjha jaaye aur koi halal wa par-masrat kaam ko anjaam dene se ruka jaaye ya roka jaaye.



Wajah Tasmee’ah :-

Imam Ibn Kaseer رحمه الله farmate hai :-

سُمِّيَ بِذَلِكَ لِخُلُوِّ بُيُوتِهِمْ مِنْهُ، حِينَ يَخْرُجُونَ لِلْقِتَالِ وَالْأَسْفَارِ، يُقَالُ: "صَفِرَ الْمَكَانُ": إِذَا خَلَا
“ Ahle arab(is maah me) apne gharo se jung wa jidaal aur safari ke liye nikal jaate the aur un ke ghar khali ho jate the is liye is mahine ko safar ke naam se mosum kiya gya.Jab koi jagah khali ho jate to kaha jata “Safar-almakaan”. (Tafseer al Quran-alazeem 4/146)



Maah safar se mutalliq arab jahiliyat ka aqeedah :-

Iss maah ke talluq se arab jahiliyat ke yaha 2 galat baate payi jati thi.

1) iss maah safar ko woh aage peeche kardiya karte the aur elaan karwaya karte the ke iss saal safar ka mahine pehle aur muharram ka mahina iss ke baad hoga. In ke is amal ki tardeed krte hue aur isse kufr karar dete hue Allah ﷻ ne farmaya:- إِنَّمَا النَّسِيءُ زِيَادَةٌ فِي الْكُفْرِ
“Meheenon ka aagey peechay ker dena kufr ki ziyadti” (surah Tawba 37)

2) Iss maah se Bad-shaguni lete the aur isse manhoos qarar dete the jiss ki tardeed karte hue Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya :- وَلاَ طِيَرَةَ، وَلاَ هَامَةَ وَلاَ صَفَرَ
“koi badshaguni nhi hai na hi safar ka mahina manhoos hai “ ( Sahi Bukhari 5757)

Mallum hua ke maah safar se badshaguni lena aur isse manhoos samjhna daur jahiliyat ke arab ka aqeeda tha.

Kya Kisi Musalmaan ke liye maah safar wagerah se badshaguni lena aur isse manhoos samjhna jayz hai ?

Bade afsos ke sath kehna padh rha hai ke mojudah daur kebohut musalmaan maah safar se badshaguni lete hai aur isse manhoos samjhte hai aur is ski wajh yeh bayaan karte hai ke yeh mahina rehmato aur barqato se khali hota hai .

Raaqim kehta hai ke yeh qawl fasid hai kyu ke maah safar hi woh mahina hai jis me Allah ﷻ ne apni rehmat ke darwazo ko khol kar Allah ke Rasool ﷺ aur tamam Musalmaano ko “Fateh Khaibar” se nawaza tha dekhe ( Tajliyat nabuwat 279)

Iss par mazeed yeh hai ke in ke damaan me apne qawl ko sabit karne ke liye koi sahi aur ma’qool daleel nhi hai .

Dusri wajh yeh bayan karte hai ke iss maah ke akhir me rehmat kainaat Rasulallah ﷺ bimaar huye the. To isski babat arz hai ke yeh maah safar ke manhoos hone ki daleel nhi hai kyu ki Aap ﷺ ka mizaj maah safar ki wajah se nhi bigda tha balqe woh Allah ki marji thi aur aap agar iss maah me bimaar hona maah safar ki nahusat ki daleel ho sakti hai to maah rabbilawwal bhi badarja awwal manhoos qarar payega kyu ke aap ﷺ ki wafaat isi maah me waqiya hua aur yeh kisi musalmaan ka bhi aqeedah nhi hai ke maah rabbiawwakl manhoos mahina hai aur jab maah rabbilawwal rasulallah ﷺ ki wafat ki wajh se manhoos nhi to phir maah safar rasulallah ﷺ ki bimaar hone ki wajah se kyu manhoos qarar payega?

Baaz hazrat is maah me shadiya ya koi khushi ka kaam nhi karte hai aur wajh yeh batlate hai ke iss maah me hazrat Hassan bin ali رضي الله عنه ka inteqaal hua tha . iski babat arz hai ke yeh fiqr bhi baatil hai aur islaam me isski koi ehsiyat nhi hai kyu ke rasulallahﷺ ne hazrat safiya رضي الله عنه se maah safar 7 hijri me shaadi ki thi aur yeh wahi mahina hai jis me 15 ya 16 ya 18 sahaba kiraam jam shahadat nosh kiya tha dekhe ( tajliiyat nabuwat 284)


Kya fail Rasulﷺ in ke liye namuna nahi ? yah itne diler ho gye hai ke fail Rasul ﷺ ko pas-past daal kar apni ek nayi cheej ijaad karte hai. Allah Hidayat de.

Aur baaz hazrat maah safar se nahi balqe insaan ya billi wagerah se badshaguni lete haiaur isse manhoos samjhte hai . Maslann: agar billi kisi badshaguni lene wale ke samne se guzar jaaye to woh samjhta hai ke bas jiss kaam ke liye jar ha tha ab woh kaam nhi hoga kyu ke billi ne rasta kaat diya hai .is wajah se woh kaam ko anjaam dene ke se ruk jata hai. Isi tarah ek insaan jab is ka koi kaam kharab ho jata hai to kehta hai ke iss kaam ka hath me lene se pehle falaa ka chehra dekha tha woh manhoos hai yeh isi ki wajah se hua hai .

Raaqim kehta haike mazkurah dono amal ke irtikaab se insaan shirk ke murtakib ban jata hai dekhe ( amal al-yaum wal-lail 1/344 hadees 293 Sahi Albani)

Mohtram qaireen !! kisi bhi musalmaan ke liye jayz nhi hai ke kisi bhi mahine ya insaan ya janwar wagerah se badshaguni le aur use manhoos samjhe kyu ke insaan ka kisi cheej se badshaguni lenagoya is cheej ko nafa tasawwur karna hai.jabke nafa aur zaar faqat Allah ﷻ hai jesa ke Rasulallah ﷺ ne farmaya :-

وَاعْلَمْ أَنَّ الأُمَّةَ لَوْ اجْتَمَعَتْ عَلَى أَنْ يَنْفَعُوكَ بِشَيْءٍ لَمْ يَنْفَعُوكَ إِلاَّ بِشَيْءٍ قَدْ كَتَبَهُ اللَّهُ لَكَ، وَلَوْ اجْتَمَعُوا عَلَى أَنْ يَضُرُّوكَ بِشَيْءٍ لَمْ يَضُرُّوكَ إِلاَّ بِشَيْءٍ قَدْ كَتَبَهُ اللَّهُ عَلَيْكَ

jaan lo ! agar puri ummat jama ho kar tumhe kuch nafa pohchana chahe to nhi pohcha sakti siwaye iss ke jo Allah ne tumhare haqq me likh diya hai aur agar puri ummat jama hokar tumhe kuch nuqsaan pohchana chahe to nhi pohcha sakti siwayeiss ke jo Allah ne tumhare haqq me likh diya hai ( Sunan Tirmizi 2516 Sahi Albani )

Aur yeh bhi yaad rakhe ke koi bhi musibat insaan ko Allah ki ijazat ke bagair nhi choo sakti hai jesa ke Allah ﷻ ne farmaya hai dekhe (Surah Taghabun ayah 11 )

Iss par mazeed yeh ke kisi musalmaan ke liye aisa aqeedah ko apna na jayz ho sakta hai jiss ki tardeed Nabi ﷺ ne ki ho? Hargiz nahi .

Badshaguni lene ka anjaam :-

ek Musalmaan ke shaayaan shaan yeh hai ke woh acha shagunle kyu ke Allah ke Rasool ﷺ acha shagun lete the aur isse pasand farmatethe dekhe ( Sahi Al Bukhari 5756) Lekin agar koi badshaguni leta hai to woh shirkka murtakib hoga jesaki Rasulallah ﷺ ne farmaya :- الطِّيَرَةُ شِرْكٌ “badshaguni shirk hai “ ( Abu dawood 3910 Sahi albani )

Badshaguni na lene ka azeem faida :-

ek Taweel hadeees me haike rasulallah ﷺne sahaba kiraam se kaha mujhekahagaya hai keaap dusre afaq ki janib dekhe mene dekha to ek sawad e azam nazar aya mujhe bataya gaya ke yeh aap ki ummat aur in me se sattarhazar afraad aise hai jobagair hisaab wa kitaab ke jannat me dakhil honge phir sahaba kiraam ke puchnepar ke woh kon log honge ? Aap ﷺ ne farmaya “هُمُ الَّذِينَ لاَ يَتَطَيَّرُونَ، وَلاَ يَسْتَرْقُونَ، وَلاَ يَكْتَوُونَ، وَعَلَى رَبِّهِمْيَتَوَكَّلُونَ” yeh woh log honge jo na dum karte hai na karwate hai na badshaguni lete hai aur na hi daag kar ilaaj karte hai balqe sirf apne rabb par hi bharosa karte hai( Sahi bukhari 5752 )

Malum hua ke badshaguni na lene wale hazraat in khush naseeb logo me se hai jo bagair hisab wa kitaabke jannat me dakhilhonge subhan Allah .

Agar kisi cheej ki wajah se dil me badshaguni paida ho to .. ??

ek insaan badshaguni nhi lena chahta hai lekin kisi cheej ki wajah seiss ke dil me badshaguni paida ho jati hai to ese shaqs ko chahiye ke woh iss badshaguni ki taraf dhyaan na de aur is ski wajah se apne kaam ko amal jama pehnane se na ruke jesa ke Rasulallahﷺ ne farmaya ..

ذَاكَ شَيْءٌ يَجِدُونَهُ فِي صُدُورِهِمْ، فَلَا يَصُدَّنَّهُمْ

badshaguni aisi cheej hai jissse baaz log apne nafs me mehsus karte hai lekin yeh (badshaguni ) ko ( ksi kaam ko anjaam dene se ) na roke ( Sahi Muslim 537)

Balqe bila jhijhakk Allah par bharosa karte hueapne kaamko kar guzre aur jo kuch uske dil me hoga woh Allah par tawakkul ki wajah se Allah is ko khatam kardega . Rasulallah ﷺ ne farmaya وَمَا مِنَّا إِلَّا وَلَكِنَّ اللَّهَ يُذْهِبُهُ بِالتَّوَكُّلِ Aur hum me se harkisi kokoi na koiwahm ho hi jata hai lekin Allah par tawakkal ki wajah se use khatam kardeta hai ( Abu sawood 3910 Sahi Albani )

Lekin yaad raheke agar badshaguni ki wajah se apne kaam koanjaam na de to shirk ka murtakib hoga aur isskakaffara yeh dua padhe

jis shaqs ko badshaguni us ski hajat ( ko pura karne ) se rok de to uss ne shirk kiya. Sahaba kiram ne arz kiya :- Ya rasulallah ﷺ !! is ka kaffara kiya hai ? to Aap ﷺ ne farmaya :- yeh Dua padh le :-
اللَّهُمَّ لَا طَيْرَ إِلَّا طَيْرُكَ، وَلَا خَيْرَ إِلَّا خَيْرُكَ، وَلَا إِلَهَ غَيْرُكَ
Aey Allah ! terri badshaguni(joke tere hi hukm se hoti hai ) uss ke elawa koi badshaguni nhi haiaur teri bhalayi ke elawa koi bhalayi nhi hai aur tere elawa koi bhi saccha mabud nhi hai ( Amal al-youm wal-lail 1/344 hadees 293 )

Akhir me Allah ﷻse dua hai ke hum sab kobadshaguni se kogodoor rakhe aur ache faal ki toufeeeq ata farmayte Ameen,
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Mu’aasharat (Rahen Sahen) 0

Similar threads


Top