❍ BAGHAIR SHARA'YI 'UZR KE MUSALMAAN KA TEEN DIN SE ZIYADAH QATA' TA'LLUQ KARNA


Ibnatu Ali

Member
❍ BAGHAIR SHARA'YI 'UZUR KE MUSALMAAN KA TEEN DIN SE ZIYADAH QATA' TA'LLUQ KARNA

بسم الله الرحمن الرحيم​

Musalmaanon mein qata' ta'lluq paida karna shaitaan ki chaalon mein se hai, Aur bahut se aisey log hain Jo shaitaan ki tabe'daari kartey huwe baghair kisi shara'yi 'uzur ke apney musalman bhaiyon se qata' ta'lluq kar letey hain. yaa ye kisi maadi ikhtelaaf ki binaa Par hota hai, yaa koi doosri ma'mooli wa naa ma'qool wajaa hoti hai jiss se woh lambey 'arsey tak qata' ta'lluq jaari rakhta hai, balke iss se bhi badh kar kisi se baat naa karney ki qasam, aur uskey ghar daaqil naa hone ki nazar maan leta hai, aur agar woh usey rastey mein dekhley toh i'raaz wa ro gardaani karta hai, aur agar usey kisi majlis mein dekhley toh uss se pehle aur ba'd waaley aadmi se salaam karkey usey nazar andaaz kar deyta hai, ye cheez islaami mu'ashrey ki kamzori ke asbaab mein se hai, isi liye iska shara'yi hukum atal hai aur islaam ne do tok andaaz se sakht 'azaab ki wa'eed sunaayi hai, Hazrat Abu Hurairah(Razi Allau 'Anhu) se ek marfoo' hadees mein irshaad-e-Nabawiﷺ hai:
لا يحل لمسلم ان يهجر اخاه فوق سلاس فمن هجر فوق سلاس فمات دخل النار​
"Kisi musalmaan ke liye ye jaayez nahin ke woh apney bhai se teen din se ziyadah qata' ta'lluqi karey, jis shakhs ne teen din se ziyadah qata' ta'lluq kiya aur woh aur woh usi haalat mein mar jaaye toh woh jahannam mein daakhil hoga".
❲Abu Dawood 5/215, Sahih ul jaame' mein 7635❳

Hazrat Abu Kharash Aslami (Razi Allahu 'Anhu) se ek marfoo' hadees mein irshaad-e-Nabawiﷺ hai:
مَنْ هَجَرَ أَخَاهُ سَنَةً فَهُوَ كَسَفْكِ دَمِه​
Jis shakhs ne ek saal tak apney musalmaan bhai se qata' ta'lluq kiya toh woh uskey qatal ke baraabar hoga".
❲Hawala: كَسَفْكِ kitaab mein kisi wajaa se بِسَفْكِ tha shaikh Ibne Baaz(Rahimahullah) ne tashih farmaayi❳ ❨Abu Adnan❩

Musalmaanon mein qata' ta'lluqi ke nuqsaanat mein se yahi kya kam hai ke woh shakhs Allah ﷻ ki rehmat wa maghfirat se mehroom ho jaata hai, Hazrat Abu Hurairah(Razi Allahu 'Anhu) se ek marfoo' hadees mein irshaad-e-Nabawiﷺ hai:
تُعْرَضُ أَعْمَالُ النَّاسِ فِي كُلِّ جُمُعَةٍ مَرَّتَيْنِ : يَوْمَ الاثْنَيْنِ وَيَوْمَ الْخَمِيسِ ، فَيُغْفَرُ لِكُلِّ عَبْدٍ مُؤْمِنٍ إِلا عَبْدٌ كَانَتْ بَيْنَهُ وَبَيْنَ أَخِيهِ شَحْنَاءُ . فَيُقَالُ : اتْرُكُوا هَذَيْنِ حَتَّى يَفِيئَا​
"Har haftey mein do baar logon ke 'aamaal[Allah ke huzoor] pesh kiye jaatey hain, peer[Monday] aur jumeraat[Thursday] ko, har momin bandey ki maghfirat hojaati hai siwaaye uss bandey ke jiss ka kisi ke saath bughz wa keena yaa dushmani wa jhagda ho, Allah ﷻ apney farishton se farmaata hai: un dono ko chor do (yaa unhein mu'akhar kardo) jab tak ke ye apni baa hami naaraazgi khatam naa karlein".
❲Sahih Muslim 4/1988❳

Jin dono ka jhagda huwa ho un mein se koi tauba karley toh usey chahiye ke woh apney bhai ki taraf ruju' karey aur uss ko salaam karey, agar ye salaam karey aur doosra inkaar karey toh uska zimma bari ho jaayega aur jisne inkaar kiya ho usey hi nuqsaan hoga, Hazrat Abu Ayyub(Razi Allahu 'Anhu) se ek marfoo' hadees mein irshaad-e-Nabawiﷺ hai:
لا يحل لرجل أن يهجر أخاه فوق ثلاث ليال ، يلتقيان : فيُعرض هذا ، ويُعرض هذا ، وخيرهما الذي يبدأ بالسلام​
"Kisi aadmi ke liye ye jaayez nahin ke woh apney kisi musalmaan bhai se teen raaton tak qata' ta'lluq karey, dono milein toh ye udhar moun pherley aur woh udhar ko, aur un dono mein se Jo pehle salaam karega woh behtar hai".
❲Sahih Bukhari, fath ul baari 10/492❳

Haan albatta agar shara'yi sabab paaya jaaye jaisa ke tark e namaaz, yaa kisi buraayi Par israar ho, toh agar qata' ta'lluq karney se qataa' kaar ko faidah ho aur ye usey acchayi ki taraf lautaa de yaa usey uski ghalti ka ehsaas dilaadey toh aisey mein Qata' ta'lluq naa sirf jaayez balke waajib hai taa ke woh gunaahon se baaz aajaaye.
❲Jaisa ke Nabi ﷺ ka'b bin Maalik aur unkey Ashaab(Razi Allahu 'Anhum) se qata' ta'lluq kiya tha jab dekha ke usmein masleehat hai jabke Abdullah bin Abi bin Salul aur munafiqeen se qata' ta'lluq nahin kiya tha kyunke qata' ta'lluq naa karna hi unkey haq mein behtar tha❳

Aur agar iss qata' ta'lluqi ki wajaa se gunahgaar ziyadah i'raaz karey, mazeed zid karey aur ziyadah sarkashi wa inheraaf aur ghuroor wa gunah karey toh uss waqt qata' ta'lluq nahin karna chahiye kyunke ismein koi shari'yi maslihat nazar nahin aati balke ye fasaado ko ziyada karta hai lehaaza ziyadah sahih yahi hoga ke usey musalsil husn-e-sulook wa naseehat wa khair khawaahi wa yaad dihaani karaaty rahein taa ke woh gunah mein mazeed aagey naa badhey.
❲ye mauzoo' bahut hi taweel hai aur main ne dekha hai ke faidey ki takmeel karney ke liye kitaab wa sunnat mein mazkoor manhiyaat wa mamnu'aat ke liye ek fasl alag se khaas kardi jaaye jin sab ka majmu'a ek mustaqil risaaley mein hoga. IN SHAA ALLAH❳

━━━━━━━━━━━
┃Kitaab: Muharramaat ❨Haraam Ashya wa Umoor❩
Taleef: Fazilat Al Shaykh Mohammad Saalih Al-Munajjid [Hafidahullah]┃
 
Top