𝑯𝒂𝒋𝒋 𝒌𝒂𝒓𝒏𝒆 𝒌𝒊 𝒏𝒊𝒚𝒚𝒂𝒕 𝒔𝒆 𝑩𝒂𝒊𝒕𝒖𝒍𝒍𝒂𝒉 𝒌𝒂 𝒑𝒂𝒊𝒅𝒂𝒍 𝒔𝒂𝒇𝒂𝒓 𝒌𝒂𝒓𝒏𝒂


Abdul Adil

Member
Topic :- 𝑯𝒂𝒋𝒋 𝒌𝒂𝒓𝒏𝒆 𝒌𝒊 𝒏𝒊𝒚𝒚𝒂𝒕 𝒔𝒆 𝑩𝒂𝒊𝒕𝒖𝒍𝒍𝒂𝒉 𝒌𝒂 𝒑𝒂𝒊𝒅𝒂𝒍 𝒔𝒂𝒇𝒂𝒓 𝒌𝒂𝒓𝒏𝒂

Tahreer :- 𝙼𝚊𝚚𝚋𝚘𝚘𝚕 𝙰𝚑𝚖𝚎𝚍 𝚂𝚊𝚕𝚊𝚏𝚒 𝙷𝚊𝚏𝚒𝚣𝚊𝚑𝚞𝚕𝚕𝚊𝚑 𝚃𝚊𝚒𝚏

Roman Script :- Irfan Shaikh
_______________________

Inn Dino bahut se log iss sawal ka jawab jaanna chahtey hain ke, kya Hajj ki niyyat se Baitullah ka paidal safar karna Saheeh hai jabke aaj safar ki boht saari sahooliyaat muyassar hain ?

Iss sawal ka jawab Ahadees -E- Rasool (ﷺ) me talaash kartey hain, to iss silsiley me muta'addid Ahadees milti hain jinme mazkoor hai ke Ahd-e-risaalat me baaz Sahaabi aur Sahabiyaa ne Baitullah Shareef tak paidal chal kar hajj karne ki nazar maani thee lekin jab khabar Allah ke Rasool (ﷺ) tak pahunchi tho Aap (ﷺ) ne, inhe paidal safar karne se mana kiya aur sawaari istemaal karne ka hukm diya -

Inn Ahadees me se Do - Teen (2,3) yahan zikr karta hoon -

(1) Pehli Hadees :

Anas Raziallahu Anhu kehtey hain :

نذرَتِ امرأةٌ أن تمشيَ إلى بيتِ اللَّهِ فسُئِلَ نبيُّ اللَّهِ صلَّى اللَّهُ عليهِ وسلَّمَ عن ذلِكَ فقالَ إنَّ اللَّهَ لغَنيٌّ عن مَشيِها ، مُروها فلتَركَبْ

(صحيح الترمذي:1536)

Tarjuma : Ek aurat ne Nazar maani ke woh Baitullah tak (Paidal) chal kar jaayegi, Nabi Akram (ﷺ) se iss silsiley me sawal kiya gaya tho Aap ne farmaya : ALLAH Ta'ala iske (paidal) chalne se be-niyaz hai, isey hukm do ke woh sawar ho kar jaaye -

📚 [ Saheeh AL Tirmizi : 1536 ]

(2) Doosri Hadees :

Anas Raziallahu Anhu kehte hain :

مرَّ النَّبيُّ صلى الله عليه وسلم بشيخٍ كبيرٍ يتَهادى بينَ ابنيْهِ فقالَ: ما بالُ هذا. قالوا: يا رسولَ اللَّهِ نذرَ أن يمشي. قالَ: إنَّ اللَّهَ لغنيٌّ عن تعذيبِ هذا نفسَهُ. قالَ فأمرَهُ أن يرْكب
(صحيح الترمذي:1537)

Tarjuma :

Nabi Akram (ﷺ) ek boodhey ke qareeb se guzrey jo apne do (2) beton ke sahaare (Hajj ke liye) chal raha thaa, Aap (ﷺ) ne poocha : Kya Mu'amla hai inka? Logon ne kaha : ALLAH ke Rasool (ﷺ) Inhone (paidal) chalne ki nazar maani hai, Aapne farmaya : Allah Azzawajal iske apni jaan ko azaab dene se Be-niyaaz hai, phir aapne usko Sawar hone ka Hukm diya -

📚 [ Saheeh AL Tirmizi : 1537, Iss Hadees ko Shaykh Albani Rahimahullah ne aur Hafiz Zubair Rahimahullah ne "Sahih" kaha. ye Hadees Saheeh Bukhari : 1865 me bhi Maujood hai ]

(3) Teesri Hadees : Uqba ibne Aamir AL Juhni Raziallahu Anhu kehte hain :

أنَّهُ قالَ للنَّبيِّ صلَّى اللَّهُ عليْهِ وسلَّمَ إنَّ أختي نذرت أن تمشيَ إلى البيتِ , فقالَ إنَّ اللَّهَ لا يصنعُ بِمَشيِ أختِكَ إلى البيتِ شيئًا
(صحيح أبي داود:3304)

Tarjuma :

Inhone Nabi Akram (ﷺ) se kaha : meri behen ne Baitullah paidal jaane ki nazar maani, tho Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya : tumhari behen ke paidal baitullah jaane ka Allah koi Sawab naa dega -

📚 [ Saheeh Abi Dawood : 3304 ]

Mazkoorah baala Mas'ala ko samajhne ke liye ye Teen (3) Ahadees hi kaafi hain, inn Ahadees ki roushni mein hamen sab se pehli aur ahem tareen baat ye maloom hoti hai ke Sawari aur Sahooliyat hotey huwe kisi ko door daraaz maqamaath se Baitullah ka paidal safar nahi karna chahiye, agar koi aisa karta hai tho woh Rasool ke hukm ki khilaaf warzi karta hai -

doosri baat ye hai ke jo log ye samjhte hain ke Baitullah ka paidal safar karna ibaadat hai aur ispar ziyadah ajar milta hai tho inhe maloom hona chahiye ke ye khayal galat hai aur Allah Ta'ala iss amal se Be-niyaz hai.

Teesri baat ye hai ke Sawari hote huwe Baitullah ka paidal safar karna jism ko takalluf wa mashakkhat me daalna hai jis se islam ne hamen manaa kiya hai Aur Allah aise takalluf waale amal se Be-niyaz hai.

Chauthi baat ye hai ke Baitullah ka Mashakkhat bhara paidal safar khusoosan iss zamaane mein insaan isliye karta hai ke isey hajj ka ziyadah sawab miley (Baaz shohrat ke liye bhi karte hain) jabke hamen Rasoolullah (ﷺ) ne khabar dedi ke aisa karne me koi sawab nahi milega - Maqsad shohrat ho tho Hajj wabaal jaan hai.

Jo Allah aur uske Rasool (ﷺ) se muhabbath karta hai aur apne Hajj ko Hajj-e-mabroor banaana chahta hai woh Aap (ﷺ) ki tarah Hajj ka Fareeza anjaam dega, Balke aapne hame hukm bhi diya hai ke 'tum mujh se hajj ka tareeqa seekho' chunanche Hazrat Jaabir Raziallahu Anhu bayan karte hain :

رأيتُ النبيَّ صلَّى اللهُ عليه وسلَّمَ يرمي على راحلتِه يومَ النَّحرِ، ويقول :لِتأْخذوا مناسكَكم . فإني لا أدري لعلِّي لا أحُجُّ بعدَ حَجَّتي هذه.(صحيح مسلم:1297)

Tarjuma :

Maine Nabi (ﷺ) ko dekha Aap qurbani ke din apni sawari par (sawar hokar) kankariyaan maar rahe thay aur farmaa rahe thay :

"Tumhe chahiye ke tum apne hajj ke tareeqe seekhlo, mein nahi jaanta shayad iss hajj ke baad mein (dobarah) hajj naa kar sakun

📚 [ Saheeh Muslim :1297 ]

Rasoolullah (ﷺ) ne madeena se Makkah, Safar bhi sawari par kiya thaa balke Aapne Hajj ki adayegi bhi Sawari par hi kee thee jaisa ke Mazkoora baala Hadees me bhi zikr hai - yahan ye baath bhi samajh len ke ibaadat ka maqsood hargiz insaani badan ko takleef pahunchaana nahi hai chaahey Namaz ho, roza ho yaa Hajj - haan agar ibaadaat ki anjaam dahi me mashakkhath bardaasth karni padti hai jaise tawaf karte huwe, Sa'yee karte huwe tho insaan ko iss Takleef par ajar milega lekin agar koi khud se takleef mol ley to iss par ajar nahi hai - meri iss baath ko samajhne ke liye Ye Ahadees bhi mulaahza farmaiyen jis me hai ke ek shakhs dhoop me khada hone ki nazar maanta hai -

عنِ ابنِ عبَّاسٍ قالَ : بينما النَّبِيُّ صلَّى اللَّه عليه وسلم يخطبُ إذا هوَ برجلٍ قائمٍ في الشَّمسِ فسألَ عنْهُ قالوا هذا أبو إسرائيلَ نذرَ أن يقومَ ولاَ يقعدَ ولاَ يستظلَّ ولاَ يتَكلَّمَ ويصومَ. قالَ مروهُ فليتَكلَّم وليستظلَّ وليقعد وليتمَّ صومَهُ(صحيح أبي داود:3300)

Tarjuma :

Abdullah ibne Abbas Raziallahu Anhuma kehte hain ke Nabi Akram (ﷺ) Khutba de rahe thay ke isi dauraan Aapki nazar ek aise shakhs par padi jo Dhoop me khadaa thaa Aap (ﷺ) ne iske mutalliq poocha, tho logon ne bataya : ye Abu israail hai isne Nazar maani hai ke woh khadaa rahega, baithega nahi, naa saaye me ayega, Naa baath karega, aur Roza rakhega, Aap (ﷺ) ne farmaya :

isey hukm do ke woh baath karey, saaye me aaye, aur baithey aur apna roza poora karey -

📚 [ Saheeh Abi Dawood :3300]

Anas ibne Malik Raziallahu Anhu bayan karte hain :

عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ , قَالَ : دَخَلَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَإِذَا حَبْلٌ مَمْدُودٌ بَيْنَ السَّارِيَتَيْنِ , فَقَالَ : مَا هَذَا الْحَبْلُ ؟ , قَالُوا : هَذَا حَبْلٌ لِزَيْنَبَ فَإِذَا فَتَرَتْ تَعَلَّقَتْ ، فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : لَا حُلُّوهُ لِيُصَلِّ أَحَدُكُمْ نَشَاطَهُ فَإِذَا فَتَرَ فَلْيَقْعُدْ .

Nabi kareem (ﷺ) masjid me tashreef le gaye, Aap (ﷺ) ki nazar ek rassi par padi jo Do (2) sutoono ke darmiyaan tani huwi thee - Dariyaaft farmaya ke ye rassi kaisi hai?? Logon ne arz kiya ke ye Zainab Raziallahu Anha ne baandhi hai, jab woh (Namaz me khadi khadi) thak jaati hain tho isse latki rehti hain - Nabi (ﷺ) ne farmaya ke nahi ye rassi nahi honi chahiye isey khol daalo, tum mein har shaks ko chahiye jab tak dil lagey namaz padhey, thak jaaye tho baith jaaye -

📚 [ Saheeh AL Bukhari : 1150 ]

Khulasa -E- kalaam ye hai ke sawaari chord kar kisi musalmaan ke liye durust nahi hai ke woh apne mulk se paa pyadah Makkah Mukarrama ka safar karey aur hajj ka fareeza anjaam dey, iss amal se hum sabko pyaare Habeeb Muhammad (ﷺ) ne manaa farmaya hai isliye hum Aap (ﷺ) ki sunnat par amal karte huwe aasani ka raasta ikhtiyaar karen jaisa ke Aap (ﷺ) Ummat ke liye hamesha aasani ka raasta ikhtiyaar farmatey aur ummat ko mashakkhat se bachaatey -

ibne Majah ki Ek Hadees se galat fehmi naa paida ho, ke Rasool aur As'haab -E- Rasool ne madeena se makkah ka pidal safar kiya, dar asal ye hadees ZAEEF hai -

Abu Sa'eed khudri Raziallahu Anhu kehtey hain :

حجَّ النَّبيُّ صلَّى اللَّهُ عليهِ وسلَّمَ وأصحابُهُ مشاةً منَ المدينةِ إلى مَكَّةَ وقالَ اربُطوا أوساطَكم بأزُرِكم ومشى خلطَ الهرولةِ

(ضعيف ابن ماجه:610)

Tarjuma :

Nabi Kareem (ﷺ) aur Aapke Sahaba ne madeena se makkah paidal chal kar hajj kiya, aur Aap (ﷺ) ne farmaya : Apne teh band apni kamar me baandhlo, aur Aap aisi chaal chaley jisme daudh mili huwi thee -

📚 [ Zaeef ibne majah : 610 ]

Haqeeqat ye hai ke Nabi (ﷺ) ne apni sawari qaswa par safar kiya, haan baaz sahaba sawari naa hone ki wajah se paidal bhi hajj me shareek thay, yahi Mafhoom Surah Hajj : ki Sataaisween aayat ka hai

Allah Ta'ala Farmata hai :

وَأَذِّن فِى ٱلنَّاسِ بِٱلْحَجِّ يَأْتُوكَ رِجَالًۭا وَعَلَىٰ كُلِّ ضَامِرٍۢ يَأْتِينَ مِن كُلِّ فَجٍّ عَمِيقٍۢ

Aur logon mein hajj ki munaadi karde, Log tere paas pay paidal bhi ayenge aur duble pathle oonton par bhi door daraaz ki tamaam raahon se ayenge!!

(Surah AL Hajj - 22 : 27)

ke jiske paas sawari hogi woh sawar hokar ayenge aur jiske paas sawaari nahi hogi woh paa pyadah (paidal) ayenge, jabke aaj sawari ka mas'ala nahi hai isiliye jaan jokhim me daalne ki bajaaye sahooliyat ka raasta ikhtiyaar kiya jaaye
 
Top