Amaat ullah
New member

Lekin IKHTELAAF ko baaki rakhna aur usko hal karne koshish Na karna ye tajjub ki baat hai.
Aaye dekhte hai Allah ne kya karne ko kaha jab ikhtelaaf paida ho jaye :


Aye imaan waalo farma- bardaari karo Allah ki aur farma-bardaari karo Rasool (sallallahualaihiwasallam) ki aur tum mein se ikhtiyaar waalo ki, phir agar kisi cheez mein ikhtelaaf karo to use lautaao Allah ki taraf aur Rasool ki taraf agar tumhe Allah par aur qayaamat ke din par imaan hai, ye bahuth behtar hai aur ba-etebaar anjaam ke bahuth accha hai.



✔IKHTELAAF ko Allah ki taraf yani Quran ki taraf lautaye.
✔IKHTELAAF ko Rasool SallallahuA’laihiWaSallam ki taraf yani Rasool ki sahih Hadees ki taraf lautaye.
✔Yahi tariqa Anjam (result) ke hisaab se behtar hai.



Kyunke ham QURAN aur Sahih Hadees ke Roshni me ham apni islaah nahi karna chahte.
