100 Shaheedon Ke Sawab Wali Hadees Ki Tahqeeq


Abdul Adil

Member
Tableegi Jamat ke Log Jahan Jate hai bahut si jayeef hadees bayan karte hai , unme se ek hadees ye bhi bayan karte hai ki jo Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki ek sunnat par amal karega use 100 shaheedon ka sawab milega .

Is tarah ki hadees muje Mishqat me mili hadees is tarah se hai ๐Ÿ‘‡



ูˆูŽุนูŽู†ู’ ุฃูŽุจููŠ ู‡ูุฑูŽูŠู’ุฑูŽุฉูŽ ุฑูŽุถููŠูŽ ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุนูŽู†ู’ู‡ู ู‚ูŽุงู„ูŽ: ู‚ูŽุงู„ูŽ ุฑูŽุณููˆู„ู ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุตูŽู„ู‘ูŽู‰ ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ูˆูŽุณูŽู„ู‘ูŽู…ูŽ: ยซู…ูŽู†ู’ ุชูŽู…ูŽุณู‘ูŽูƒูŽ ุจูุณูู†ู‘ูŽุชููŠ ุนูู†ู’ุฏูŽ ููŽุณูŽุงุฏู ุฃูู…ู‘ูŽุชููŠ ููŽู„ูŽู‡ู ุฃุฌุฑ ู…ุงุฆูŽุฉ ุดูŽู‡ููŠุฏยป

Tarjuma :- Hazrat Abu Huraira Raji Allahu Anho bayan karte hain ki , Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne faramaaya ki , jis shaksh me meri ummat ke fashad ke waqt meri sunnat par amal kiya to uske liye 100 saheed ka sawab hai .

Mishqat Kitab Ul Iman Jild - 1 Hadees Number 176


Tahqeeq :- Ye Hadees Shakt Jayeef hai , Shaikh Nashiruddin Albani Rh ne Apni Kitab " SILSILAT AL AHADEES AL ZAโ€™EEFA " Jild - 3 Safa Number 33 Hadees Number 326 par nakal kiya

ye hadees Gaayet Darzah jayeef hai .

isi tarah se Ibne Adi Rh ne ise Al Qaamil 2/90 me jikr kiya hai . Ibne Busairin Rh ne Al-Amali 1/93 , 2/141 me hasan bin qutaibah se usne bataya hame abdul khalik bin manzar ne ibne abi nazeey se riwayat kiya , usne mujahid se aur usne Sayyedna Ibne Abbas Raji Allahu Anho se marfua Riwayat Kiya hai .

Shaikh Nasiruddin Albani Rh kahte hai ki ye hadees Gaayet Darzah jayeef hai , jabki jayeef ka sabab hasan bin qutaiba raawi hai . Imam Zahabi Rahimahullah ne al_mizaan me isko ( halaak ) kaha hai ki wo tabah wa barbaad ho gya hai . Jabki Daraqutni Rahimahullah ne isko matrook Ul Hadees karar diya hai , aur abu Haatim ne jayeef kaha hai , jabki Al-Azdi ne isko Kamjor Hadees bayan karne wala kaha hai . Aqili Rahimahullah Ne kaha ki wo shaksh jyada waham wala hai .


Mashhoor Muhaddis Hafiz Jubair Ali Zai Rahimahullah Ne is hadees ko jayeef kaha hai dekhiye Mishqat Ki sarah Hafiz Jubair Ali Zai Rahimahullah ki Darussalam Publication se


Khulaasha :- Ye Hadees Bahut Hi Jyada jayeef hai lihaza is par amal nahi kiya ja sakta

Wallahu Alam
 
Top