15 Shaban ko "Roza" Rakhne or Deegar Ebadat karne me kya Dikkat hai?


15 Shaban ko "Roza" Rakhne or Deegar Ebadat karne me kya Dikkat hai?

بسم اللہ الرحمن الرحیم
Kuch log Aisa kahte hain ki Roza rakhne me kya Dikkt hai Ebadat hi to hai,?

Sabse pahli baat ye hai ki, Jab Nabi ﷺ ye Sahaba (r) ne Es Maheene me khaas din ko Roza Nahi Rakha to ham kyu Rakhe?, Kya Ham unse Achaa Deen ko Jante or Samjhte hain, Bikul nhi.

Hame ye Samjhne ki Zaroort hai ki Rasoolullah ﷺ or Sahaba (r) se ye Suboot milta hai ki wo har mahine me 13, 14, 15 ka Roza Rakhte the.

Unhone "Shaban" ke maheene me hi khaas krke 13 ,14 ,15 ko Roza nhi rakha (Kyuki Har maheene Rakhte the esi liye Es Maheene me bhi Rakha)*
[Nasai: 2424, Tirmizi:-761]

Jab unhone Es Din ya Rat ko khas nhi kiya to hame bhi nhi krna Chahiye, Agr Aapko Maheene ke Hisab se Roza Rakhna h to es maheene me 13,14,15 ka Roza rakh Sakte Hain.

Lekin Rasoolullah ﷺ ne es maheene me baaki maheene se zayada Roza Rakha, taki Ramzan ki Practice ho jaye, To Aap Agr Pichle maheene 13,14,15 ka Roza rakha h to es maheene bhi Rakhe, Agar nahi to Aap "Shaban" ko khas bna kar na Rakhe,

Ramzan ki Practice ke liye "Shaaban" ke maheene Rasoolullah ﷺ Or Roza Rakhte the, Lekin logo ko Taqeed ki ke Sahaban ke Half maheene ke baad Roza na rakho (Agr pahle se nhi rakhe ho har maheene ke Aakhri me to) Kyuki Ramzan ke Waqat "Kamzori" mahsoos na ho agr pahle hi kyi Roze Rakh loge to.
[Sahi Bukhari:1970]
[Tirmizi : 738]
[Ebne maja:1651]

Wazahat : Esse ye pta chala ki Agr koi "Shaban" ke maheene me Roza Rakhna chahe Ramzan ki Practice ke liye to, Wo Shaban ke Shuru ke maheeno me hi Rakh le, Practice ke liye Aakhir (15 ke bad) me na Rakhe Taaki Kamzori na ho

Jo log kahte hain ki Rakh hi le to kya Dikkt hai, Roza hi to hai, Ebadat hi to hai.

kisi Ebadat ko Qubool hone ke liye ye Shart hai
(1) shariyet me is Amal Ko karne ka Hukum ho....

(2) wo Amal khalis Niyat yani sirf Allaah ke liye kiya gya ho

(3) wo Amal Rasool ﷺ ke btaye hue triqe par ho
(Us Amal ka karna Rasoolullah ﷺ ya Salafe Saleheen se sabit ho)

Koi bhi Amal agar sunnat ke mutabiq na ho to wo Allaah ke yaha qabil e qubool nahi chahe wo kitne Achee se na kiya jaye.

Agar ham 4 Rika'at Farz Namaz ki Jagah 5 Rika'at padhte hai, Namaz me 2 sajde ki jagah 3 Sajde karte hain ye sooch kar ke zyada karne se zyada sawab hoga to kya hmari Namaz ho jayegi?
Bilkul Nahi kyu ki ye shariyet ke treeqe par nahi hai, thik isitrah har Amal se pahle hamara ye farz hai ke hum ilm hasil kare ke hamara ye Amal Quraan aur Hadith ke Mutabiq hai ya nahi es baat ko jane.

Es Maheene me kisi din ya rat ko khaas ibadat krna islam me 1 nyi ijad krna hai jiske bare me ye kaha gya hai ki islam me har nyi cheez bidaat hai, or bidati ka thekana Jahannam hai

Deen me koi bhi nayi cheez Shamil krna bidat hai

Rasool Allah ﷺ ne farmaya:-
Har bidat(deen me nyi cheez) gumrahi hai or har gumrahi ka thekana jahnnam hai.
[Sahi Muslim : 2005 islam360]

Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nahi hai to wo Amal mardud hai.

[Sahih al bukhari:2697]
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Bid’aat 0

Similar threads


Top