15th Shabaan ke bare mai "Jhoothi" aur "Be-bunyaadi" baateine


15th Shabaan ke bare mai "Jhoothi" aur "Be-bunyaadi" baateine

BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM

(1) Is Raat mai murdo ki roohen apni family se mulaqat kerne aati hai

Correction : Inteqaal ke baad sabhi roohen ya to illeyeen ya Sijjen mai hoti hai aur qayamat tak waha se bahar nahi aa sakti.

[Surah Muminoon Ayah 99-100]

(2) is Raat mai Allah SWT pehle aasman per aate hai aur duaa qubool kerte hai

Correction : Allah SWT saal ki har raat mai pehle aasman per aate hai aur duaa qubool kerte hai,

[Bukhari and Muslim]

(3) Is raat mai insaan ka Rizk, umr, maut ka waqt likha jata hai.

Correction : ye sare kaam laylatul qadr mai hote hai jo ramzaan mai aati hai,

[Surah Dukhan Ayah 4-5]

(4) is Raat mai Qur'an nazil hua.

Correction : Quran Laylatul Qadr mai Nazil hua jo Ramzaan mai aati hai,

[Surah Dukhan Ayah 3 and Surah Qadr Ayah 1]

(5) Is raat ki khaas namaze hai

Correction : Ye jhoot hai is raat ki koi bhi khas namaz ya zikr kis bhi sahih hadees se sabit nahi hai aisa kerna Bidaat mai shumar hoga

(6) Is din ka roza rakhne mai bahut sawab hai

ye bhi kisi sahih hadees se sabit nahi hai, 15 Shaban ko khas kerke roza rakhna bidaat hai

(7) Is raat khaasker Qabristan jana chaye

Correction- Ye bhi kisi sahih hadees se sabit nahi, 15 Shaban ki raat mai khasker kabristan jana bidaat hai)

(8). Maafi naama messages forward karna.

( Ye tareeqa ghalat hai. Khusoosan Is din ko mafi mangne ki na koi afzaliyat hai na ye tareeqa sunat se saabit hai. Humse jab b ghalati hui tab hi maafi mangna chahye, milke aur poore dil se. Lekin dekha ja raha hai k maafi ko khel jaisa bana lia gaya hai aur har kisi ku, kayi aise logo ko bhi bheja ja raha hai jinse na kabhi mulaakaat hui na jaan pehchaan. Ye bilkul hi ghalat tareeqa hai)

Deen me koi bhi nayi cheez Shamil krna bidat hai

Rasool Allah ﷺ ne farmaya :
Har bidat(deen me nyi cheez) gumrahi hai or har gumrahi ka thekana jahnnam hai.

Sunan Nasaii 1579
[Sahi Muslim : 2005 islam360]

Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nahi hai to wo Amal mardud hai.

[Sahih al bukhari:2697]
 
Last edited:
Top