20 Rakat Taraweeh Me Mutalliq Hazrat Ubayi Bin Ka'ab Razi Allahu Anhu Ke Riwayat Ka Tahqeeqi Jayeza


Abdul Adil

Member
20 Rakat Taraweeh Me Mutalliq Hazrat Ubayi Bin Ka'ab Razi Allahu Anhu Ke Riwayat Ka Tahqeeqi Jayeza

Tahreer :- Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Imam Ibne Abi Shaiba Rahimahullah (Died 235 Hijj) Kahte hai

حَدَّثَنَا حُمَیْدُ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ ، عَنْ حَسَنٍ ، عَنْ عَبْدِ الْعَزِیزِ بْنِ رُفَیْعٍ ، قَالَ : کَانَ أُبَیّ بْنُ کَعْبٍ یُصَلِّی بِالنَّاسِ فِی رَمَضَانَ بِالْمَدِینَۃِ عِشْرِینَ رَکْعَۃً وَیُوتِرُ بِثَلاَثٍ۔

Hazrat Abdul Azeez Bin Rufey Rahimahullah farmate hai ki Hazrat Ubayi Bin Ka'ab Razi Allahu Anhu Madeena mein hame 20 rakat Taraweeh aur 3 witr padhaya karte the

[Musannaf Ibne Abi Shaibah Jild-2 Safa Number, Safa-163]

Ye Riwayat munqate hai , Abdul Azeez ne Ubayi Bin Ka'ab Razi Allahu Anhu ko nahi paya , Abdul Azeez Bin Rufey ki wafat 130 Hijj me huyi hai (Tahzeeb) Ya 130 Hijj ke baad huyi hai.

Imam Ibne Hibban Rahimahullah (Died 354 Hijj) Farmate hai

مات بعد الثلاثين ومائة“

Unki Wafat 130 Hijj ke bad huyi hai

[As-Shiqa'at Ibne Hibban Jild- 5 , Safa - 123]

Aur Mausoof Ne 90 Saal se jaayed ki umar payi hai.

Imam Bukhari Rahimahullah (Died 256 Hijj) ne faramaya

"قال محمد بن حميد، عن جرير: أتى عليه نيف وتسعون سنة،

Zareer ne kaha unhone 90 saal se bhi jyada ki umar payi .

[At-Tareekh ul Kabeer Lil Bukhari Jild - 6 , Safa - 11]

is hisab se mausoof ki paidaish 30 Hijj ke baad huyi hai aur Ubayi Bin Ka'ab Razi Allahu Anhu ki tareekh e wafat me ikhtelaaf hai.

baaz kahte hai ki unki wafat Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ke daur me huyi Jabki Baaz Kahte hai Ki Hazrat Usman Razi Allahu Anhu ke daur me huyi hai aur yahi razeh hai

Imam Abu Naeem Rahimahullah farmate hai

اختلف في وفاته، فقيل: سنة ثنتين وعشرين في خلافة عمر ، وقيل: سنة ثلاثين في خلافة عثمان ، وهو الصحيح لأن زر بن حبيش لقيه في خلافة عثمان،

Hazrat Ubayi Bin Ka'ab Razi Allahu Anhu ki tareekh e wafat mein ikhtelaaf hai baaz kahte hai ki Umar Razi Allahu Anhu ki khilafat mein 22 Hijj mein unki wafat huyi hai aur baaz kahte hai ki Usman Razi Allahu Anhu ki khilafat mein unki wafat huyi hai aur yahi sach hai Kyunki Jir Bin Hubaish ne Usman Razi Allahu Anhu ki khilafat mein unse mulakat ki hai.

[معرفة الصحابة لأبي نعيم (٢١٤/١)]

Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah farmate hai

"صحح أبو نعيم أنه مات في خلافة عثمان بخبر ذكره عن زر بن حبيش أنه لقيه في خلافة عثمان،

Abu Naeem ne us baat ko Sahih karar diya hai ki Ubayi Bin Ka'ab Razi Allahu Anhu ki wafat Hazrat Usman Razi Allahu Anhu ki khilafat mein huyi hai. Apni Jikr kardah is daleel ki buniyad par ki Jir Bin Hubaish ne Usman Razi Allahu Anhu ki khilafat me unse mulaqat ki hai .

[Tahzeeb ut Tahzeeb Ibne Hajar Jild-3 , Safa - 180]

Maloom Hua Ki Abdul Azeez Bin Rufey Ne Ubayi Bin Ka'ab Razi Allahu Anhu ka daur nahi paya hai

Mashoor Hanafi Alim Nemwi Rahimahullah farmate hai

"عبد العزيز بن رفيع لم يدرك أبي بن كعب،

Abdul Azeez Bin Rufey Ne Ubayi Bin Ka'ab Razi Allahu Anhu ka jamana. nhi paya.

[Asar us Sunan Safa - 397]

Lihaza ye Riwayat munqate hai
, nez ye Riwayat Munqate hone ke sath sath Hazrat Ubayi Bin Ka'ab Razi Allahu Anhu se Manqool Sahih Riwayat ke khilaaf bhi hai kyunki Sahih Riwayat se sabit hai ki Ubayi Bin Ka'ab Razi Allahu Anhu ne Umar Razi Allahu Anhu ke huqm se 11 rakat Taraweeh padhate the ye raha us Riwayat ka link 👇


Isi Tarah ye Riwayat Ahad E Nabwi ﷺ mein Ubayi bin Ka'ab Razi Allahu Anhu ke is amal ke khilaaf bhi hai Jis Par Allah Ke Nabi ﷺ ne 8+3=11 Rakat par raza mandi zahir ki thi , ye raha us Riwayat ka link 👇

 

Top