3 chizo me Nahu-sat (Bad-shuguni)


Abdul Mussavir

New member
بسم الله الرحمن الرحيم

3 chizo me Nahu-sat (Bad-shuguni)

-Shaykh Ghulam Musatafa Zaheer.

1) Sayedna Abdullah bin Amr رضي الله عنه Bayan karte hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaya :-

أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ : " الشُّؤْمُ فِي الدَّارِ، وَالْمَرْأَةِ، وَالْفَرَسِ ".

Nahu-sat 3 chizo me hai : Ghode, Aurat, aur ghar me

(Bukhari 2858, Muslim 2235)

Ek Aur rivayat me farmaya hai :-

قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : " إِنْ كَانَ فَفِي الْمَرْأَةِ، وَالْفَرَسِ، وَالْمَسْكَنِ ". يَعْنِي الشُّؤْمَ.

Agar kisi cheej me Nahu-sat hoti to : Ghode, Aurat , aur ghar me hoti

(Bukhari 5094, Muslim 2226)

Sahi Muslim ki dusri rivayat me hai ke :

إِنْ كَانَ فِي شَيْءٍ ؛ فَفِي الرَّبْعِ ، وَالْخَادِمِ، وَالْفَرَسِ

Agar Nahu-sat hoti to khadim(ghulam), ghode, aur ghar me hoti

(Muslim 2227)

Syedna Sa'ad bin Malik رضي الله عنه bayan karte hain ke Rasulullah ﷺ ne farmaya :-

أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يَقُولُ : " لَا هَامَةَ ، وَلَا عَدْوَى ، وَلَا طِيَرَةَ ، وَإِنْ تَكُنِ الطِّيَرَةُ فِي شَيْءٍ فَفِي الْفَرَسِ وَالْمَرْأَةِ وَالدَّارِ ".

Na choot (چھوت, untouchability) , na bad-fali, aur na murdah ki khopdi se parindah niklta hai agar (Jahili Aiteqaad ke mutabik) Bad-shuguni hoti to Aurat, Ghode, aur Ghar me hoti agar inme nhi to kisi cheej me nhi ho sakti

(Musnad Ahmed 1/173, Abu Dawood 3921 Sahi Ibn Hibban)

NOTE:-

Yaad rahe in Hadeeso me Nahu-sat se muraad jahili aqaid wali Nahu-sat nhi hai balqi yeh Nahu-sat be-barqati, uktahat , ke Maine hai.

Pehli Hadees ke umoom se yeh malum hota hai ke Nahu-sat , ghar, ghode aur aurat me hai , jabqe dusri hadees ne pehli Hadees ko muqeed kardiya hai ke agar kisi cheej me Nahu-sat hoti to inme hoti. Isse yeh lajim nhi ata ke in cheejo me Nahu-sat mojud hai. Iska hargiz yeh matlub nhi ke har aurat , har ghar aur har ghode me Nahu-sat hai. Balqe inme nahusat ho bhi sakti hai aur nhi bhi ho sakti hai.

Aurat me Nahu-sat is soorat me hai ke woh Bad-akhlaaq, na-shukri aur na-farmaan ho.

Ghar me Nahu-sat iss soorat me ho ke woh tang ho ya padosi bure ho

Ghode me Nahu-sat is soorat me hoke woh maidan-e-jung me kaam na aaye ya Malik ki jarurat puri na kare.

Hafiz Zubair Ali Zai رحمه الله kehte hai :-

Jin ahadees me aurat wagerah ke baare me Nahu-sat ka zikr aya hai unse yeh istilahi Nahu-sat muraad nhi hai balqe matlub yeh hai ke Duniya ne aam qatl, fasaad Aurat, Jaidaad(property) aur gudsawaro se hoti hai ,ki wajah se hoti hai

Note :- From Asim Bhai.

Bad-shuguni shirk hai

Rasulullah ﷺ ne farmaya :-

عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ الطِّيَرَةُ شِرْكٌ الطِّيَرَةُ شِرْكٌ ثَلَاثًا، ‏‏‏‏‏‏وَمَا مِنَّا إِلَّا وَلَكِنَّ اللَّهَ يُذْهِبُهُ بِالتَّوَكُّلِ

Bad-shuguni shirk hai aur ham me se har ek ko waham ho hi jata hai , lekin Allah isko tawakkal se dur farmata deta hai.

(Sunan Abu Dawood 3910 Sahi Albani. )

Imam At - Tahawi ek rivayat naqal karte hue farmate hai :-

Bhalayi aur barqat hai 3 chijo me

Rasulullah ﷺ ne farmaya :-

قال : سمعت النبي عليه السلام يقول : « لا شؤم ، وقد يكون اليمن في المرأة ، والفرس ، والدابة

Bad-shuguni par yaqeen mat karo aur khayr , bhalayi aur barqat 3 chijo me hai Aurat, Ghoda, aur Ghar

( Sharah Mushkil al athar 2/253)

Wajeh hua ke hame kisi cheej ko manhus nhi samjhna chahiye ya kisi cheej me Bad-shuguni nhi karni chahiye.

Jin rivayat me Nahu-sat ka talluq aurat ghar aur ghode aya hai usse murad barqat wa ukhtahat hai jesa dusri jagah me Rasulullah ﷺ ne barqat ki cheej unhi 3 chijo me btayi hai.
 
Top