3 Rak'at Witr ka wo Tariqa jo Sahih hadees se Sabit he


3 Rak'at Witr ka wo Tariqa jo Sahih hadees se Sabit he

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

عَنْ أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ، ‏‏‏‏‏‏أَنّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يُوتِرُ بِثَلَاثِ رَكَعَاتٍ، ‏‏‏‏‏‏كَانَ يَقْرَأُ فِي الْأُولَى بِ سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الْأَعْلَى وَفِي الثَّانِيَةِ بِ قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ وَفِي الثَّالِثَةِ بِ قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ وَيَقْنُتُ قَبْلَ الرُّكُوعِ،‏‏‏‏ فَإِذَا فَرَغَ قَالَ عِنْدَ فَرَاغِهِ:‏‏‏‏ سُبْحَانَ الْمَلِكِ الْقُدُّوسِ ثَلَاثَ مَرَّاتٍ يُطِيلُ فِي آخِرِهِن

Ubay bin Ka'ab R.A. bayan karte he : "Rasool Allah (ﷺ) 3 rakat witr ada farmate the, Pehli rakat me surah Aala, Dusri rakat me surah Kafiroon Or Tisri rakat me surah Ikhlas ki tilawat farmate the, aap Ruku se pehle Qunut karte, jab farig hote to 3 martaba 'Subhan Al Malikul Quddus' Padhte , aakhri martaba apni aawaz ko lamba farmate the"

[Sunan Nasai : 1700, Sunan Ibn Majah: 1182]


Is Hadith se Malum hua ki - 3 rakat witar me pehli rakat me surah Aala, dusri rakat me surah Kafiroon or tisri rakat me surah Ikhlas padhni he or Dua e Qunoot Ruku se pehle padhni he Yaani Surah Ikhlas ke baad,

Dua ke Qunoot

:‏‏‏‏ قَالَ الْحَسَنُ بْنُ عَلِيٍّ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا:‏‏‏‏ عَلَّمَنِي رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَلِمَاتٍ أَقُولُهُنَّ فِي الْوِتْرِ

Sayydna Hussain bin Ali R.A. bayan karte he ki Rasool Allah ﷺ ne Mujhe witr me padhne ke liye ye dua sikhayi :

اللَّهُمَّ اهْدِنِي فِيمَنْ هَدَيْتَ، ‏‏‏‏‏‏وَعَافِنِي فِيمَنْ عَافَيْتَ، ‏‏‏‏‏‏وَتَوَلَّنِي فِيمَنْ تَوَلَّيْتَ، ‏‏‏‏‏‏وَبَارِكْ لِي فِيمَا أَعْطَيْتَ، ‏‏‏‏‏‏وَقِنِي شَرَّ مَا قَضَيْتَ إِنَّكَ تَقْضِي وَلَا يُقْضَى عَلَيْكَ، ‏‏‏‏‏‏وَإِنَّهُ لَا يَذِلُّ مَنْ وَالَيْتَ، ‏‏‏‏‏‏وَلَا يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ، ‏‏‏‏‏‏تَبَارَكْتَ رَبَّنَا وَتَعَالَيْتَ

"Allahumma Ihdeni Fiman Hadayt, Wa A’feni Fiman A’fayt, Watawallani Fiman Tawallayt, Wabarek li Fima A’atayt, Waqeni Sharra Ma Qadayt, Fainaka Taqdi WalaYuqda 'Alayk, Wainnahu La Yadhilu Man Walayt, Tabarakta Rabbana Wat’alayt.”

(Ae Allah mujhe hidayat de un logo me shamil kar ke jinko tune hidayat di he , mujhe aafiyat de un logo me shamil kar ke jinko tune aafiyat di he, mujhe dost banale un logo me shamil kar ke jinko tune dost banaya he, jo cheez mujhe ata ki he usme barkat de, har us cheez ke shar se mujhe bacha jo tune muqarar kar di he, yaqeenan tuhi faisla karta he, tere khilaf faisla nahi kiya ja sakta, jiska tu dost ban jaye wo zaleel o ruswa nahi hota, tu bohot buland he Ae Hamare rabb! tu bohot Ba Barkat he)

[Sunan Abu Dawood: 1425, Sunan Tirmizi: 464, Sunan Nasai: 1746, Sunan Ibn majah: 1778, Musnad Imam Ahmad: 1/199, Sunan Darmi: 1663, Al Dua Lit Tabrani: 748]


Ab witr ki 3 rakat kis tarah padhi jaye usme 2 tarike Mashoor he

Pehla ye ki Dusri Rakat ke baad betha Na jaye balki Dusri rakat ke baad Sidhe Tisri Rakat ke Liye khade ho Jaye. Ye Tarika Nabi ﷺ se sabit nahi he

Iske Mutalliq Sunan Nasai ki ek Riwayat pesh ki jati he jo Ubay bin Ka'ab R.A. se riwayat he ki

كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقْرَأُ فِي الْوِتْرِ بِ سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الْأَعْلَى وَفِي الرَّكْعَةِ الثَّانِيَةِ بِ قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ وَفِي الثَّالِثَةِ بِ قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ وَلَا يُسَلِّمُ إِلَّا فِي آخِرِهِنَّ،‏‏‏‏ وَيَقُولُ:‏‏‏‏ يَعْنِي بَعْدَ التَّسْلِيمِ سُبْحَانَ الْمَلِكِ الْقُدُّوسِ ثَلَاثًا

"Rasool Allah ﷺ ne Rasool Allah ﷺ Witr ki Pehli rakat me surah Aala, Dusri rakat me surah Kafiroon Or Tisri rakat me surah Ikhlas ki tilawat farmate the, Sirf Aakhri Rakat me Salam ferte the Or Salam ke baad 3 martaba 'Subhan Al Malikul Quddus' Padhte , aakhri martaba apni aawaz ko lamba farmate the"

[Sunan Nasai: 1702]

-Ye Riwayat Daeef he Iski Sanad me Qatadah (قَتَادَةَ) Mudallis Rawi he or Unki Muanan Riwayat hone ki Bina par Ye Daeef he.


Dusri Riwayat jo pesh ki jati he ki Sayydah Aysha R.A. bayan karti he ki "Rasool Allah ﷺ Jab Isha ki Namaz Ada farma kar Ghar me dakhil hote to 2 rakat padhte fir unse bhi lambi 2 rakat padhte the fir 3 witr ada farmate the. Unme Salam fer kar Fasla Na karte fir 2 rakat beth kar ada farmate ruku or sujud bhi beth kar ada farmate"

[Musnad Ahmad: 6/155-156]

- Iski Sanad Hasan Basri ki Tadlees ki Wajah se Daeef he. isi Tarah ki Riwayat Sunan Nasai, Sunan Darmi, Musnad Shafai wagairah se bhi pesh ki jati he jo ki Sanadan sabit nahi.

3 rakat ko ek Salam se Ada karne wale hazrat 5 ya 7 Witr wali Riwayat ko 3 rakat par Qayas karte he Or Sahaba ke Aasar pesh karte he lekin Marfoo riwayat ke muqable me sahaba ke Aasar pesh karne se sirf jawaz sabit hoga Sunnat nahi. Or Iske Aalawa Ibn Hibban Or Dar qutni ki Riwayat jisme Nabi s.a.w. ne farmaya he (ولا تشبهوا بصلاة المغرب) "Witr ki Namaz ko Maghrib ke Mushabeh Na karo" isse ye Qayas karte he ki 3 rakat ek salam padhne se maghrib ki Mushbehat nahi hoti he Lekin Unka ye Qayas Sahih nahi Kyu ki 3 Rakat Witr ko Maghrib se Mushbeh Kis Tarah Nahi karna he Uski bhi Daleel hame Nabi ﷺ se Mil jati he Jisme 2 Rakat padh kar Salam ferne Or 1 Rakat Alag se padhne ka Zikr he. Or 3 takat witr ka Sunnat tarika bhi yehi he :

Ammi Aysha R.A. bayan karti he ki

كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُصَلِّي فِيمَا بَيْنَ أَنْ يَفْرُغَ مِنْ صَلَاةِ الْعِشَاءِ وَهِيَ الَّتِي يَدْعُو النَّاسُ الْعَتَمَةَ إِلَى الْفَجْرِ إِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً يُسَلِّمُ بَيْنَ كُلِّ رَكْعَتَيْنِ وَيُوتِرُ بِوَاحِدَةٍ

"Namaz e Isha Jise log A'tmah kehte he or Fajar ki Namaz ke Darmiyan me Nabi ﷺ 11 Rakat Ada kiya karte the, aap ﷺ har 2 rakat ke Darmiyan Salam ferte or 1 Witr Ada kiya karte the."


[Sahih Muslim: 1718]

ye Hadith Is Baat par nas he ki nabi (ﷺ) 3 rakat witr 2 Salam se hi ada karte the. iske Aalawa or bhi Riwayat ispar Dalalat karti he

Abdullah bin Umar r.a. bayan karte he : "Rasool Allah ( Witr ki) Taaq Rakat ke Darmiyan Salam ke sath fasla karte the or hame salam ki aawaz sunate the."

[Sahih Ibn Hibban : 2433, 2435]

وَعَنْ نَافِعٍ ، أَنَّ عَبْدَ اللَّهِ بْنَ عُمَرَ كَانَ يُسَلِّمُ بَيْنَ الرَّكْعَةِ وَالرَّكْعَتَيْنِ فِي الْوِتْرِ حَتَّى يَأْمُرَ بِبَعْضِ حَاجَتِهِ

"Nafe r.a. bayan karte he ki Abdullah bin umar r.a. Witr ki 2 rakato or 1 rakat de darmiyan Salam ferte , yahan tak ki kisi kaam ka hukm bhi farma dete."

[Sahih Bukhari : 991, Mowatta Imam malik 1/125]


Lihaza in Riwayat se Wazeh he ki 3 Rakat witr ka Sahih Sunnat tarika yehi he ki 2 Rakat padh kar Salam fer diya jaye or 1 Rakat ko Alag se Padh jaye.

Iske Aalwa Namaz e Witr me ek Masla Or he Ki Qunut e Witr Padhte Waqt hath Uthaye jaye Ya nahi.

Iske mutalliq Hafiz Zubair Ali Zai ka Risala Al-Hadith jo ki Rajab 1430 Hijri ko Shaya hua tha Us Risale ke safa no. 12 par ek Sawal kiya gaya tha ki :

Namaz e Witr me Ruku se Qabl Hath Uthaye bagair Qunoot padhne ki Kya daleel he ?

jiske Jawab me Shaikh Zubair Ali Zai ne farmaya tha :

"Namaz e Witr me ruku se pehle Qunoot padhne ka Zikr Sunan Dar Qutni (2/32 H 1644, Wa Sanad Hasan) Or Sunan nasai ( 1,248 H 1700) me he. Dekhiye meri kitab Hidayatul Muslimeen ( H28 faidah : 3)

Qunoot e Witr me Hath Uthana kisi Sarih Marfu Hadith se Sabit nahi he.

Malum Hua ki Namaz e Witr me ruku se pehle Hath Uthaye bagair Qunoot padhna sahih he."


Or Hafiz Zubair Ali Zai ke Risala Al Hadith jo Jamadil Awwal 1426 Hijri me Shaya hua tha Uske Safa No. 13 par ek Sawal kiya gaya tha :

Qunoot e Witr me Hath Utha kar dua karna Sabit he?

Uske jawab me Hafiz Zubair Ali zai ne Qunoot e witr me hath na Uthane ki Daleel me ek Riwayat naqal ki :

"Abu Hatim Al Razi R.A. (277 H.) Farmate he :

Abu Zarah ( Al Razi R.A. 264 H.) ne mujhse pucha : kya aap qunoot me hath utha te ho ? mene kaha : Nahi! fir mene unse pucha: Kya aap (qunoot me) Hath utha te ho? Unhone kaha: Ji han, mene pucha : aapki Daleel Kya he? unhone kaha: Hadith ibn Masood, mene kaha : Use Lais bin abu Saleem ne riwayat kiya he. Unhone kaha: Hadith Abu Hurairah, mene kaha: Use Ibn Lahya'a ne riwayat kiya he. unhone kaha : Hadith Ibn Abbas, mene kaha : Use Aouf ( Al aarabi) ne riwayat kiya he. to unhone pucha : aapke pas ( Qunoot me hath Na uthane ki Kya Daleel he> mene kaha Hadith Anas ki beshaq Rasool Allah s.a.w. kisi Dua me Hath Nahi Utha te the Siwaye Istisqa'a ke to wo ( Abu Zarah R.A.) Khamosh ho gaye.

[Tarikh Baghdaad Jild 2 Safa 76 ta 455 Wa sanad Hasan, Wa Zikruhu Al Zahabi fi Siyar Aalam Al Nubala 13/253]


Ye Riwayat naqal karke Qunoot e Witr me Hath Na uthane ki Daleel dene ke baad Hafiz Zubair Ali zai ne Un riwayat ki Tehqeeq pesh ki he or Last me likha he ki Behtar yehi he ki Hadith Anas R.A. Or Digar Dalail ki Roo Se Qunoot me Hath Na Uthaye jaye. Wallahu Aalam .
 
Last edited:
Top