8+3=11 Rakat Taraweeh ke Mutaqlliq Hazrat Ubayi Bin Ka'ab Razi Allahu Anhu Ki Riwayat


Abdul Adil

Member
8+3=11 Rakat Taraweeh ke Mutaqlliq Hazrat Ubayi Bin Ka'ab Razi Allahu Anhu Ki Riwayat

Tahreer :- Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Asal Mazmoon :- Tadad E Rakat Qayam E Ramzan Ka Tahqeeqi Jayezah Safa Number - 21

Sayyadana Ubayi Bin Ka'ab Razi Allahu Anhu se riwayat hai ki maine Ramzan me 8 Rakat aur witr padhi Aur Nabi ﷺ ko Bataya to Aap ﷺ ne kuch bhi nahi farmaya .

[Musnad Abi Ya'ala Jild-3 Safa Number - 336 , Hadees Number 1801]

Pas Ye Raza mandi Wali Sunnat Ban Gayi.

Allama Haishmi Rahimahullah ne is hadees ke bare me farmaya 👇

رواه أبو یعلٰی والطبرانی بنحوه فی الأوسط وإسناده حسن

Ise Abu Ya'ala Ne riwayat kiya hai aur isi tarah Tabrani ne Awsat mein riwayat kiya hai aur sanad hasan hai.

[Mazmua Al Zawaid Jild-2 Safa-74]

Is Hadees Ki Sanad Wahi Hai , Jo Jabir Razi Allahu Anhu Ki Riwayat mein hai.

Sarfaraz Khan Safdar Dewbandi Likhte hai 👇

Apne Waqt me Agar Allama Haishmi Ko Sehat aur Saqam ki farq nahi to aur kisko thi?

[Ahsanul Kalam Jild-1 Safa-233 , Tozeh Ul Kalam Jild-1 Safa-279]
 

Similar threads


Top