Aaj Ke Zaalim Musalmaan


Aaj Ke Zaalim Musalmaan

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

Daai Islamic Dawah Center Taif Saudi Arab​

Is Kaainaat Ka Khaaliq E Azeem Aadil Aur Munassaf Hai,Woh Apne Adal Aur Insaaf Se Duniya Walo Ki Nigraani Kar Raha Hai Balke Kaainaat Ki Saari Makhlooqaat Ke Sath Insaaf Karta Magar Insaan Hai Ke Ek Dusre Par Zulam Kar Ke Duniya Ka Mahol Mukaddad Bana Diya Hai Aaj Kal Ki Soorat E Haal Aysi Hai Ke Shareef Insaano,Nek Dil Musalmaano Aur Adal Aur Insaaf Karne Wale Aadmiyo Ka Yaha Jeena Dushwaar Ho Gaya Hai. Nabi SAV Ne Moamin Ki Sifaat Bayan Karte Hue Farmaya Hai:
المؤمن غر كريم والفاجر خب لئيم.(صحيح ابي داؤد:4790)
Tarjumah: Moamin Bhola Bhala Aur Shareef Hota Hai Aur Faajir Fasaadi Aur Kameenah Hota Hai.
Aaj Andar Musalmaan Is Hadees Ke Mukhaalif Aur Zulam Aur Udwaan Ki Raah Ikhtiyaar Karte Nazar Aate Hai. Allaah Ne Zulam Ko Apne Liye Aur Apni Makhlooq Ke Liye Haraam Tehraaya Hai. Hadees Se Qudsi Me Zikar Hai:
يا عبادي إني حرمت الظلم على نفسي وجعلته بينكم محرما فلا تظالموا.(صحيح مسلم:2577)
Tarjumah:Ay Mere Bando Mene Zulam Ko Apne Upar Haraam Kiya Hai Aur Tum Par Bhi Haraam Kiya,To Tum Aapas Me Ek Dusre Par Zulam Mat Karo.
Allaah Ne Apne Upar Zulam Haraam Kar Liya Aur Apni Zaat Se Big Zulam Ki Yaksar Nafi Kar Di,Farmaan E Baari Taala Hai:
ان الله لا يظلم مثقال ذرة(النساء:40)
Tarjumah:Allaah Zarra Barabar Bhi Zulam Nahi Karta Hai.
Zulam Kehte Hai Kisi Chiz Ko Uski Jagah Se Hata Kar Dusri Jagah Rakhna. Uska Matlab Yah Hua Ke Kisi Ko Uska Haq Na Dena,Na Haq Tariqah Se Kisi Ka Haq Maarna,Bagair Qasoor Ke Kisi Par Ziyadti Karna,Mamlaat Me Nahaq Tarafdaari Karna Wagairah Zulam Kehlaae Ga. Yah HUKAM Is Qadar Bhayanak Jurm Hai Ke Use Qayamat Ki Taarikhi Se Mosum Kiya Gaya Hai . Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
اتقوا الظلم فإن الظلم ظلمات يوم القيامة.(صحيح مسلم:2578)
Tarjumah:Tum Zulam Se Bacho Kuy Ke Yah Qaymat Ke Din Bawajah Taarikhi Aur Andhere Raah Na Mile Gi.
Me Is Mazmoon Me Yah Batana Chahta Hu Ke Aaj Duniya Zulmo Se Bhar Gai Hai Aur Zulam Ka Anjaam Tabaahi Aur Barbaadi Hai Yahi Wajah Hai Ke Log Allaah Ki Taraf Se Qisam Qisam Ke Azaab Me Mubtila Hai. Yaha Ek Sawaal Paida Hota Hai Ke Musalmaan To Allaah Par Imaan Laane Wale Hai Fir Woh Kuy Pareshaan Haal Hai? To Iska Jawaab Yah Hai Ke Aaj Ke Bahut Ziydah Musalmaan Zaalim Hai Aur Woh Apne Kartoot Ki Wajah Se Allaah Ke Azaab Me Mubtila Hai. Jawaab Kuch Hairaan Karne Wala Hai Magar Haqeeqat Par Mabni Hai. Is Jawaab Ko Achche Se Samjhne Ke Liye Zulam Ki Taareef Zahan Me Rakhte Hue Uski Aqsaam Ko Janna Hoga.
Quraan Ne Zulam Ko Mukhtalif Tariqah Se Bayaan Kiya Hai Aur Mutaddid Qisam Ki Nafarmaaniyo Ko Zulam Qaraar Diya Hai Un Sab Ka Zikar Lamba Ho Jaae Ga Ikhtisaar Ke Saath Ham Tamam Qisam Ke Zulmo Ko 3 Sifaat Me Bayaan Kar Sakte Hai.
(1) Zulam Ki Pehli Qisam Allaah Ke Sath Shirk Karna Hai. Allaah Is Kaainaat Ka Tane Tanha Khaaliq Aur Maalik Hai,Woh Sirf Apni Ibaadat Ke Liye Insaan Aur Jin Ko Paida Kiya Hai Is Wajah Se Jo Rab Ki Bandagi Chhod Kar Gairullaah Ki Bandagi Kare Ya Uski Bandagi Me Gairullaah Ki Shaamil Kare Woh Allaah Ki Nazar Me Zaalim Hi Nahi Bahut Basa Zaalim Hai Kuy Ke Allaah Ke Sath Shirk Karna Bhaari Zulam Hai. Allaah Ka Farmaan Hai:
وإذ قال لقمان لابنه وهو يعظه يا بني لا تشرك بالله ان الشرك لظلم عظيم.(لقمان:13)
Tarjumah: Aur Jab Ke Luqmaan Ne Nasihat Karte Hue Apne Ladke Se Farmaya Ke Mere Piyare Bachcho Allaah Ke Sath Sharik Na Karna Beshak Shirk Bada Bhaari Zulam Hai.
Zulam Ki Is Qisam Ko Duniya Ke Musalmaano Me Talash Kare To Maaloom Hoga Ke Aksar Musalmaan Zaalim Hai. Gaon Gaon City City Dargaaho Aur Mazaaro Par Gairullaah Ke Liye Sajde Ho Rahe Hai,Allaah Ko Chhod Kar Gairullaah Se Madad Talab Kiya HAI Un Mohtaaj Aur Kamzor Bando Ko Mushkil Kusha/ Gaus / Daata Aur Gareeb Nawaaz Samjha Ja Raha Hai. Rabbul Aalameen Ne Sach Farmaya Hai Ke Allaah Par Imaan Laane Wale Aksar Mushrik Hai. Farmaan E Ilaahi Hai:
وما يؤمن أكثرهم بالله إلا وهم مشركون.(يوسف: 106)
Tarjumah: Un Me Se Aksar Log Bavajood Allaah Par Imaan Rakhne Ke Bhi Mushrik Hi Hai.
Quraan Ki Yah Aayat Saaf Saaf Batla Rahi Hai Ke Kalmah Padhne Wale Bhi Shirk Me Mubtila Hai Balke Ayse Logo Ki Duniya Me Kasrat Hai. Jab Is Darje Ke Musalmaano Ki Aksariyat Hogi Fir Kaise Na Ibtilaa Aur Aazmaaish Me Hon Ge?
(2) Zulam Ki Dusri Qisam Big Huqooqul Allaah Se Mutalliq Hai Aur Yaha Par Is Se Muraad Allaah Ki Woh Immunity Hai Jo Shirk Ke Alawah Ho Usko Misaal Se Ayse Samjhe Ke Hame Allaah Ne Aankh Se Jaaiz Chiz Dekhne Ka Hukam Diya,Ear Se Achchi Baat Sunne Ka Hukam Diya Magar Ham Allaah Ki Nafarmani Karte Hue Eyes Se Gandi Picture Dekhte Hai Aur Ears Se Gana Sunte Hai To Yah Apni Aankho Aur Kano Par Zulam Karna Bhi Kaha Jata Hai Yani Jab Bhi Insaan Allaah Ki Nafarmani Ka Koi Kaam Karta Hai To Woh Apne Nafso Par Zulam Karta Hai. Is Baat Ko Allaah Ne Quraan E Muqaddas Me Kai Jagah Bayan Kiya Hai,Pehle Woh Aayat Dekhe Jis Me Allaah Bayan Karta Hai Ke Insaan Apne Nafas Par Khood Hi Zulam Karta Hai Allaah Farmata Hai:
ان الله لا يظلم الناس شيئا ولكن الناس أنفسهم يظلمون.(يونس:44)
Tarjumah: Yah Yaqeeni Baat Hai Ke Allaah Logo Par Kuch Bhi Zulam Nahi Karta Lekin Log Khood Hi Apni Jaano Par Zulam Karte Hai.
Aur Ab Woh Aayat Dekhe Jis Me Allaah Batla Raha Hai Ke Allaah Ki Nafarmani Aur Uske Hudood Se Tajavuz Karna Apne Nafso Par Zulam Karna Hai Farmaan Rabbul Aalameen Hai:
ومن يتعد حدود الله فقد ظلم نفسه.(الطلاق:44)
Tarjumah: Jo Shakhas Allaah Ki Hado Se Aage Badi Jaae Us Ne Yaqeenan Apni Jaano Par Zulam Kiya.
Zulam Ki Is Qisam No Musalmaano Me Talash Karte Hai To Ghar Ghar Aur Aksar Musalmaano Me Koot Koot Kar Bhara Hua Hai.
Un Dono Qismo Ke Zulam Ka Hukam Yah Hai Ke Allaah Taubah Ke Zariya Shirk Aur Apne Haq Me Hone Wali Tamam Ma'siyat Jo Maaf Farma Deta Hai Lekin Shirk Par Kisi Ka Khatma Ho Jaae To Fir Allaah Ke Darbaar Se Us Zulam Ki Maafi Nahi Milti Hai Hamesha Hamesh Ke Liye Us Zulam Ke Badle Jahnnam Me Jana Padhe Ga Taaham Shirk Ke Alawah Gunaah Ko Allaah Chaahe To Maaf Kare Aur Chahe To Saza De. Allaah Farmata Hai:
ان الله لايغفر ان يشرك به ويغفر ما دون ذللك لمن يشاء ومن يشرك بالله فقد افترى اثما عظيما.(النساء:48)
Tarjumah:Yaqeenan Allaah Apne Sath Kiye Jane Ko Nahi Bakhashta Aur Uske Siwa Jise Chahe Bakhash Deta Hai Aur Jo Allaah Ke Sath Shareek Muqarrar Kare Usne Bahut Bada Gunaah Aur Bohtaan Bhandha.
(3) Zulam Ki Tisri Qisam Huqooqul Ibaad Se Mutalliq Hai Yani Ek Aadmi Kisi Dusre Aadmi Par Kisi Qisam Ka Zulam Kare Maslan Logo Ka Na Haq Khoon Karna,Baatil Tariqah Se Kisi Ka Haq Maarna,Kisi Ka Samaan Chhin Lena Ya Chhori Kar Lena,Bila Wajah Kisi Ko Gaali De Dena,Ma'soom Aadmi Par Bohtaan Lagana,Logo Ka Dil Dukhana,Kisi Ki Geebat Aur Chugli Karna,Kamzoro Ko Pareshaan Karna,Haq Ke Daaiyo Ke Liye Mushkilaat Paida Karna Aur Mazloom Ke Khilaaf Zaalim Ki Madad Karna Wagairah.
Zaalim Ki 3no Qismo Me Yah Woh Bhayaanak Juram Hai Jis Ko Allaah Maaf Nahi Karta Aur Na Hi Namaaz Roza Aur Haj Aur Umrah Jaisi Neki Se Talafi Hoti Hai: Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
من كانت له مظلمة لأخيه من عرضه اؤ شيء فليتحلله منه اليوم قبل ان لا يكون دينار ولا درهم ان كان له عمل صالح اخذ منه بقدر مظلمته وان لم تكن له حسنات اخذ من سيئات صاحبه فحمل عليه(صحيحالبخاري:2449)
Tarjumah:Agar Kisi Shakhas Ka Zulam Kisi Dusre Ki Izzat Par Ho Ya Kisi Tariqah(Se Zulam Kiya Ho)To Aaj Hi Us Din Ke Aane Se Pehle Maaf Kara Le Jis Din Na Dinaar Honge,Na Dirham Balke Agar Uska Koi Nek Amal Hoga To Usme Zulam Ke Badle Me Wahi Le Liya Jaae Ga Aur Agar Koi Nek Amal Uske Paas Nahi Hoga To Uske(Mazloom)Saathi Ki Buraaiya Us Par Daal Di Jaae Gi.
Is Maane Ki Ek Mufassal Rivayat Sahih Muslim Ne Ayse Aai Hai,Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
اتدرون ما المفلس؟قالوا:المفلس فينا من لا درهم له ولا متاع فقال ان المفلس من أمتي يأتي يوم القيامة بصلاة وصيام وزكاة ويأتي قد شتم هذا،وقذف هذا واكل مال هذا وسفك دم هذا وضرب هذا فيعطى هذا من حسناته وهذا من حسناته فإن فنيت حسناته قبل ان يقضى ما عليه اخذ من خطاياهم فطرحت عليه ثم طرح في النار.(صحيح مسلم: 2581)
Tarjumah: Tum Jante Hi Muflis Kon Hai?Logo Ne Arz Kiya:Muflis Ham Me Woh Hai Jis Ke Paas Rupees Aur Asbaab Na Ho. Aap SAV Ne Farmaya:Muflis Meri Ummat Me Qayamat Ke Din Woh Hoga Jo Namaaz Laae Ga,Roza Aur Zakaat Lekin Usne Duniya Me Ek Ko Gaali Di Hogi,Dusre Par Badkaari Ki Tohmat Lagaai Hogi,Tisre Ka Maal Kha Liya Hoga,Chothe Ka Khoon Kiya Hoga,Panchwe Ko Maara Hoga Fir Un Logo Ko (Yani Jin Ko Usne Duniya Me Sataya)Uski Nekiya Mil Jaae Gi Aur Jo Uski Nekiya Uske Gunaah Ada Hone Se Pehle Khatam Ho Jaae Gi To Un Logo Ki Buraaiya Us Par Daal Di Jaae Gi Aakhir Woh Jahnnam Me Daal Diya Jaae Ga.
Zulam Ki Is Qisam Ko Musalmaan Me Talash Karte Hai To Maaloom Hota Hai Ghar Ghar Zaalim Hai Har Koi Dusre Ke Liye Zaalim Hai Aur Afsosnaak Soorat E Haal To Yah Hai Ke Taqleedi Masaail Bate Musalmaan Ek Dusre Par Zulam Ki Intiha Kar Chuke Hai. Andhi Taqleed Aur Jama'ati Asbiyat Me Is Qadar Doobe Hue Hai Ke Deen Ke Sachche Daaiyo Aur Maasoom Ulma Ko Dehshat Gard Qaraar De Kar Kaafiro Ke Hatho Me Thama Rahe Hai Taaki Kufar Wale Unhe Qatal Kar De Ya Jail Ki Salakho Me Band Kar Ke Unhe Dawat E Deen Se Rok De. Al Iyaazu Billaah.
Ay Kaash Khood Ko Musalmaan Kehne Wale Is Hadees Ko Amal Me Laae Hote To Aaj Ham Kaafiro Se Magloob Na Hote Aur Ayse Zamane Me Zaleel Aur Khuwaar Na Hote. Abu Hurairah RA Se Rivayat Hai Ke Rasool SAV Ne Farmaya:
لا تحاسدوا ولا تناجسوا ولا تباغضوا ولا تدابروا ولا يبع بعضكم على بيع بعض وكونوا عباد الله إخوانا المسلم اخوا المسلم لا يظلمه ولا يخذله،ولا يحقره التقوى هاهنا ويبشر إلى صدره ثلاث مرات بحسب امرئ من الشر ان يحقر أخاه المسلم كل المسلم على المسلم حرام دمه،وماله،وعرضه.(صحيح مسلم:2564)
Tarjumah:Hasad Mat Karo,Dhoke Baazi Mat Karo,Bugaz Mat Karo,Dushmani Mat Karo,Koi Tum Me Se Dusre Ki Bay Par Bay Na Kare Aur Allaah Ke Bando Bhai Bhai Ho Jaao Musalman Musalmaan Ka Bhai Hai Na Us Par Zulam Kare Na Usko Zaleel Kare Na Usko Haqeer Jaane Taqwaah Aur Parhezgaari Yaha Hai Aur Isharah Kiya Aap SAV Ne Apne Seene Ki Taraf 3 Baar(Yani Zaahir Me Achche Aamaal Karne Se Aadmi Muttaqi Nahi Hota Jab Tak Seena Uska Saaf Na Ho)Kaafi Hai Aadmi Ko Yah Buraai Ke Apne Musalmaan Bhai Ko Haqeer Samjhe Musalmaan Ki Sab Chize Dusre Musalmaan Par Haraam Hai Uska Khoon,Maal,Izzat Aur Aabroo. Aaj Ek Musalmaan Khood Dusre Musalmaan Ke Liye Musibat Bana Hua Hai Aur Ek Jamaat Dusre Ka Khoon Ka Piyasa Hai Yah Sab Kuch Dushmanane Islaam Ko Maaloom Hai Aur Woh Khoob Khoob Faidah Utha Rahe Hai. Kya Ho Gaya Hai Aaj Ke Musalmaano Ko Ke Woh Apne Bhaiyo Ki Madad Karne Ki Bajaae Unki Pith Me Chhura Gonp Rahe Hai Allaah Ne Hame Apne Bhaiyo Ke Jhagde Khatam Karne Aur Unki Islaah Karne Ka Hukam Diya Jab Ke Ham Uske Bar Khilaaf Aapas Me Musalmano Ko Ladane Me Lage Hai Aur Apne Bhaiyo Ko Mitane Par Tule Hai. Kya Zaalim Musalmaan Is Aayat Ki Tilaawat Nahi Karte.
انما المؤمنون اخوة فاصلحوا بين اخويكم واتقوا الله لعلكم ترحمون.(الحجرات:10)
Tarjumah:Beshak Sare Musalmaan Bhai Bhai Hai Pas Apne Do Bhaiyo Me Milaap Kara Diya Karo Aur Allaah Se Darte Raho Taaki Tum Par Raham Kiya Jaae.
Zaalim Log Samjhte Hai Ke Allaah Unke Kartoot Se Gaafil Hai Hargiz Nahi Balke Woh Zaalim Ke Amalo Se Bakhoobi Waakif Hai Bas Thodi Mohlat Deta Hai Aur Jab Tabahi Ka Waqt Aa Jata Hai To Fir Koi Bachane Wala Nahi Hota.
ولا تحسبن الله غافلا عما يعمل الظالمون انما يوخرهم ليوم تشخص فيه الأبصار.(ابراهيم:42)
Tarjumah:Zaalimo Ke Aamaal Se Allaah Ko Gaafil Na Samjh Woh To Unhe Us Din Tak Mohlat Diye Hue Hai Jis Din Aankhe Phati Phati Reh Jaae Gi.
Aur Allaah Ke Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
ان الله ليملي للظالم حتى إذا اخذه لم يفلته.(صحيح البخاري:4686)
Tarjumah:Allaah Zaalim Ko Chand To Duniya Me Mohlat Deta Rehta Hai Lekin Jab Pakadta Hai To Fir Nahi Chodta.
Quraan Zaalimo Ki Beshumaar Daastaane Ham Se Bayan Karta Hai,Bade Bade Zaalim Duniya Se Nest Aur Naabood Kiye Gae Kahi Unka Ata Pata Aur Naam Aur Nishaan Nahi Milta.
Na Gaur Sikandar Na He Qabar Daaraa
Mite Naamiyo Ke Nishaa Kaise Kaise
Kya Namrood Aur Kya Firaun?Allaah Ne Bastiyo Ki Basti Halaak Kar Diya,Allaah Ka Farmaan Hai:
وكم قصصنا من قرية كانت ظالمة وانشأنا بعدها قوما آخرين.(الانبياء:11)
Tarjumah:Aur Bahut Si Bastiya Ham Ne Tabaah Kar Di Jo Zaalim Thi Aur Unke Baad Ham Ne Dusri Qaum Ko Paida Kar Diya.
Zulam Ki Holnaaki Dekhe Ke Mazloom Ki Aah Aur Baka Aur Allaah Ke Darmiyaan Koi Rukawat Nahi Hai Aur Fir Mazloom Faasiq Aur Faajir Ho Yaha Tak Ke Kaafir Ho Tab Bhi Uski Bad Day Zaalim Ke Khilaaf Allaah Qabool Kar Leta Hai. Is Se Mutalliq 3 Qisam Ki Ahaadees Waarid Hai. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
اتق دعوة المظلوم فإنها ليس بينها وبين الله حجاب.(صحيح البخاري:2448)
Tarjumah: Mazloom Ki Bad Dua Se Bacho Kuy Ke Us Ke Aur Allaah Ke Darmiyaan Pardah Nahi Hota.
Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
دعوة المظلوم المستجابة وان كان فاجرا ففجورة على نفسه.(صحيح الترغيب: 2229)
Tarjumah:Mazloom Ki Dua Qabool Kar Li Jati Hai Agar Woh Faajir Hoga To Uski Buraai Usi Ke Nafs Par Hogi.
Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
اتقوا دعوة المظلوم وان كان كافرا فإنه ليس دونها حجاب.(صحيح الجامع: 119)
Tarjumah:Mazloom Ki Bad Dua Se Bacho Agarcha Kaafir Ho Kuy Ke Uske Liye Koi Rukawat Nahi Hoti.
Zulam Ka Sab Se Bhayanak Anjaam Yah Hai Ke Zaalimo Ko Aakhirat Me Saza Milni Hi Milni Hai,Duniya Me Bhi Yaqeeni Taur Par Aur Har Haal Me Allaah Ke Azaab Me Giraftaar Hota Hai,Allaah Ka Farmaan Hai:
ما من ذنب اجدر ان يعجل الله لصاحبه العقوبة في الدنيا مع ما يدخر له في الاخرة من البغي وقطيعة الرحم.(صحيح ابن ماجه: 3413)
Tarjumah:Zulam Aur Qat'a Rahmi Se Badh Kar Koi Gunaah Aysa Nahi Jis Ka Murtakib Ziyadah Laaiq Hai Ke Usko Allaah Ki Jaanib Se Duniya Me Bhi Jald Saza Di Jaae Aur Aakhirat Ke Liye Bhi Use Baqi Rakha Jaae.
Aakhir Me Bayan Karna Chahta Hu Ke Bilashuba Ham Sab Apni Jano Par Zulam Karne Wale Hai Us Gunaah Ko Allaah Maaf Kar Sakta Hai Magar Jo Gunaah Jahnnam Ko Waajib Karne Wale Hai Us Se To Har Haal Me Bachna Hoga. Aaiye Apna Muhasba Karte Hai Ke Ham Ne Kis Kis Ke Haq Me Zulam Kiya Hai Aulaad,Rishte Daar,Padosi,Ulma,Un Sab Se Apne Juram Ki Talafi Karwa Le Aur Aaindah Musalmaano Ke Haq Me Zulam Karne Se Bache. Yaha Tak Ke Kisi Kaafir Ya Kisi Janwar Par Big Zulam Na Kare Aur Meri Baat Ka Yaqeen Kare Ke Agar Muslim Apni Zindagi Se Zulam Khatam Kar Le Aur Aapas Me Imaan Wale Bhai Ban Jaae To Dushman Par Fir Se Gaalib Aa Jaaen Ge. Allaah Ka Farmaan Hai:
ولا تهنوا ولا تحزنوا وانتم الالون ان كنتم مؤمنين.(آل عمران:139)
Tarjumah:Aur Tum Susti Na Karo Aur Na Gamgeen Ho Tum Hi Gaalib Raho Ge Agar Tum Imaan Wale Raho.
Aur Ek Aakhri Baat Aap Sab Se Adaban Aur Ahtiraaman Arz Karna Hai Ke Mazloom Musalmaan Jo Jailo Aur Kaafiro Ke Nishana Par Hai Unki Madad Kare Chahe Who Kisi Tabqa Aur Maslak Se Ho Aur Musalmaano Me Jo Zaalim Hai Unko Zulam Se Roke. Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
لنصر اخاك ظالما أو مظلوما قالوا يا رسول الله هذا ننصره مظلوما فكيف ننصره ظالما قال تأخذ فوق يديه.(صحيح البخاري:2444)
Tarjumah:Apne Bhai Ki Madad Karo Chahe Woh Zaalim Ho Ya Mazloom. Sahaba Ne Arz Kiya,Ya Rasoolullaah SAV Ham Mazloom Ki To Madad Kar Sakte Hai Lekin Zaalim Ki Madad Kis Tarah Kare? Aap SAV Ne Farmaya:Ke Zulam Se Uska Haath Pakad Lo.(Yahi Uski Madad Hai.)
 

Similar threads


Top