HAAMILA AUR DOODH PILAANE WAALI KA ROZAH


HAAMILA AUR DOODH PILAANE WAALI KA ROZAH

بسم الله الرحمن الرحیم

Anas Ibn Maalik Ka'bi (رضي الله عنه) bayaan karte hain ke, Nabi (ﷺ) ne farmaaya:

إِنَّ اللہَ وَضَعَ عَنِ الْمُسَافِرِ الصَّوْمَ وَشَطْرَ الصَّلَاۃِ، وَعَنِ الْحُبْلَی وَالْمُرْضِعِ .
"Allaah ne musaafir ko rozah aur Namaaz ka nisf (aadha) muaaf kardiya hai, usi tarah haamila aur doodh pilaane waali ko bhi."

[Sunan An-Nasaaī : 2315, Hasan]

Is Hadeeth ko Imām Tirmidhi (رحمه الله) ne "Hasan" aur Imām Ibn Khuzaymah (رحمه الله) ne "Sahīh" kaha hai.

Yaad rahey ke is Hadeeth mein sirf rozah aur Namaaz ke waqti taur par muaaf hone ka zikr hai, qadaa deni hai ya nahi Hadeeth ka zaahir is baarey mein khamosh hai, isliye Faham-e-Sahābah se uska ma'na muta'yyan kiya jaayega.

Abdullaah Ibn Umar (رضي الله عنهما) se haamila ke baarey mein poocha gaya jisey apne bachche ke nuqsaan ka khatra hai, farmaaya: Woh rozah chhord dey, uske badley mein ek miskeen ko ek "Mudd" (Taqreeban Aadha Kilogram) Gundam dey dey.

[Sunan Al-Kubrā Lil-Bayhaqī : 230/4, Hasan]

Abdullaah Ibn Umar (رضي الله عنهما) se ek haamila ne rozey ke baarey mein poocha tou farmaaya:

أفطری ، وأطعمی عن کلّ یوم مسکیناً ولا تقضی ۔
"Rozah chhord dey aur har din ke badley ek miskeen ko khaana khilaadey, Qadaayi na dein."

[Sunan Al-Daarqutnī : 208/1, Hadees (Sahīh) : 2363]

Naafi' (رحمه الله) bayaan karte hain ke Abdullaah Ibn Umar (رضي الله عنهما) ki beti ek quraishi ke Nikaah mein thi, woh haamila thi, Ramadaan mein usne pyaas mehsoos ki tou aap ne usey Hukm diya ke rozah chhord dey, har rozey ke badley mein ek miskeen ko khaana khilaadey."

[Sunan Al-Daarqutnī : 208/1, Hadees (Sahīh) : 2364]

Abdullaah Ibn Abbaas (رضي الله عنهما) farmaan-e-baari ta'aalā: "..Aur uski taaqat rakhne waale Fidyah mein ek miskeen ko khaana dein.." [2:184] ki tafseer mein farmaate hain: "Yeh aayat haamila aur doodh pilaane waali ke liye saabit (ghair mansookh) rakhi gayi hai."
[Sunan Abū Daawūd : 2317, Sahīh]

Sa'eed Bin Jubayr (رحمه الله) haamila aur doodh pilaane waali jo apne bachche ke hawaale se khaaif ho, ke baarey mein farmaate hain ke rozah na rakhein, har rozey ke badley mein ek miskeen ko khaana khilaadey, chhordey huye rozey ki Qadaayi bhi un donon par nahi hai."

[Musannif Abdul Razzāq : 217/4, Hadees (Sahīh) : 7555]

Sa'eed Bin Musayyib (رحمه الله) Tafseer Al-Tabarī : 2758 Sanad Hasan, aur Ikrimah (Tafseer Al-Tabarī : 2748, Sanad Sahīh) ka bhi yahi mawqif hai.

Ba'z Ahle ilm kehte hain ke haamila aur marda'ah (doodh pilaane waali auratein) fidyah ke saath rozey ki Qadaa bhi degi, unka yeh mawqif bey daleel hai.

AL-HAASIL: Haamila aur doodh pilaane waali donon rozah na rakhein, har rozey ke badley ek miskeen ko khaana khilaadey, un par Qadaayi nahi.

TEHREER: Shaykh Ghulaam Mustafā Zaheer Amanpūri

Romanized by «Abu Zaahid»
 

Similar threads


Top