ALLAH NE SAB SE PAHLE QALAM PAIDA KYA -Azwa al-Masaabeeh fi Tahqeeq Mishkaat-ul-Masaabeeh-


ALLAH NE SAB SE PAHLE QALAM PAIDA KYA
Azwa al-Masaabeeh fi Tahqeeq Mishkaat-ul-Masaabeeh

Tahreer: Muhaddis Hind o Paak Imam-ul-Asr Hafiz Zubair Ali Zai rahimahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:
(93) وَعَنْهُ قَالَ: سُئِلَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنْ ذَرَّارِيِّ الْمُشْرِكِينَ قَالَ:((اللَّهُ أعلم بِمَا كَانُوا عَامِلِين)) (
مُتَّفِق عَلَيْه)
"Inhe (Syidina Abu Hurairah razillahu-anhu) se riwaayat hai ek RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam se mushrikeen ke (naa baaligh) bachchon ke bare me pochagaya to AAP sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya: jo amaal wo karne wale the inhe ALLAH jaanta hai." -Mutaafiqun Alaih- (Bukhari:1384. Muslim:2659/26)

FIQHUL HADIS:
1)Mushrikeen ke bachche jannat me jayenge ya jahannum me? ye taqdeer ka mas'alah hai, ise sirf ALLAH hi jaanta hai ke wo dunya me kiya amaal karne wale the.
2)Mushrikeen ke bachchon ki namaaz e janazah nahi padhi jayegi.
3)Mushrikeen ke bachchon ke bare me sukot karna bahtar hai.
4)Neez dekhiye: Azwa Al-Masaabeeh:84, Maahnaaamh AL-HADIS, hazro:33/6.

(94)وَ عَنْ عُبَادَةَ بْنِ الصَّامِتِ رَضِی اللہُ عَنهُ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ((إِنَّ أَوَّلَ مَا خَلَقَ اللَّهُ الْقَلَمَ، فَقَالَ لَه: اكْتُبْ ‏.‏ فَقَالَ: مَا أَكْتُبُ؟ قَالَ اكْتُبِ الْقَدَرَ مَا كَانَ وَمَا هُوَ كَائِنٌ إِلَى الأَبَدِ))-رواه الترمذی- قَالَ أَبُو عِيسَى وَهَذَا حَدِيثٌ غَرِيبٌ۔
"(Syidina) Ubadah Bin Saamit razillahu-anhu se rwaayat hai ke RASOOLULLAH sallallahu alahi wasalam ne farmaya: Be-shak ALLAH ne sab se pahle Qalam paida kia phir usay kaha: likh. To us (Qalam) ne kaha: main kya likho? ALLAH ne farmaya: taqdeer likh, pas Qalam ne jo howa hai aur jo aayindah hoga, likh liya. Isay Tirmizi(2155) ne riwaayat kya aur kaha: ye Hadis sanad ke lihaaz se (HASN) Ghareeb hai."

TAHQEEQ-UL-HADIS:
Sunan Tirmii wali ye riwaayat 'Abdul Waahid Bin Sulaim al-Maaliki al-Basari' ki wajah se 'ZAIF' hai.

Abdul Waahid mazkor ke bare me Hafiz Ibn Hajar likhte hain: "ضعیف" ZIAF. (Taqreeb-ul-Tahzeeb:4241)

Likin is riwaayat ke matan me Abdul Waahid munfarid nahi hai balkie is ke shawaahid MUSNAD AHMED(5/317, Hadis No.22705) aur KITAAB AS-SUANNAH LI-IBN ABI AASIM(102-104, 106-108) aur RAUZAT-UL-UQLA LI-IBN HIBBAN(page:157) aur SUNAN ABI DAWOD(4700) aur MUSNAD ABI YALA(2329) waghairah me maujod hain. In shawaahid me bahtareen wo riwaayat hai jise 'Abu Yala Muassali' rahimahullah ne Syidina Abdullah Bin Abbas raziallahu-anhuma se riwaayat kya hai ke RASOOLULLAH sallallahu alahi wasalam ne farmaya:
((إِنَّ أَوَّلَ شَيْءٍ خَلْقَهُ اللَّهُ الْقَلَمَ وَأَمَرَهُ فَكَتَبَ كُلَّ شَيْءٍ))
"Be-shak ALLAH ne jo pahle cheez paida ki wo Qalam hai aur usay hukom diay to is ne har cheez likh liya." (Musnad Abi Yaala:4/217, Hadis No.2329, aur is ki sanad SAHIH hai)

In Shawaahid ke saath Timizi ki mazkorah baalaa riwaayat bhi Hasan yaa Sahih hai. WAL-HAMDU-LILLAH

FIQHUL HADIS:

  • ALLAH TA'ALA ne tamaa makhloqaat me sab se pahle qalam paida kya.
  • jo log kahte hain ke ALLAH TA'ALA ne sab se pahle NABIYE KAREEM sallallahu alahi wasallam ko yaa AAP sallallahu alahi wasallam ke noor ko paida kya, un logon ke paas koi daleel nahi hai balke unka aqeedah is Sahih Hadis ke khilaaf hai.
Shaikh Al-Baani rahimahullah farmate hain:
((وھو من الادلة الظاحرةعلی بطلان الحدیث المشھور" أَوَّلَخَلْقَ اللَّهُ نُوْر نَبِیِّکَ یَاجَابِر!" وقد جھدت فی ان اقف علی سند فلم یتیسر لی ذلک))
"Ye hadis in waazeh daleelon me se hai jis se (Juhla ke darmiyaan) mas'hor hadis: "Aye Jaabir! sab se pahle ALLAH ne tere NABI(sallallahu alahi wasallam) ka noor paida kya." ke baatil hone ka subot hai likin mujhe is ki koi sanad nahi mili." (al-Taleeq Ala Mishkaat lil-Al-Baani:1/34, tahet Hadis:94)

Is be-asal aur man ghadat riwaayat ka wajod shion ki man ghadat Kitaab 'USOOL-E-KAAFI'(1/442, Published:Daar-ul-Kutob al-Islamiyah, Tahran, Iran) me mauzo sanad ke saath milta hai.
(95)وَعَن مُسلم بن يسَار قَالَ سُئِلَ عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ عَنْ هَذِهِ الْآيَةِ ﴿وَإِذْ أَخَذَ رَبُّكَ مِنْ بَنِي آدَمَ مِنْ ظُهُورهمْ﴾
قَالَ عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يسْأَل عَنْهَا فَقَالَ: ((خَلَق آدَمَ ثُمَّ مَسَح ظَهره بِيَمِينِهِ فأاستخرج مِنْهُ ذُرِّيَّةً فَقَالَ خَلَقَتُ هَؤُلَاءِ لِلْجَنَّةِ وَبِعَمَلِ أهلِ الْجنَّة يعْملُونَ ثمَّ مَسَح ظَهره فَاسْتَخْرَجَ مِنْهُ ذُرِّيَّةً فَقَالَ خَلَقَتُ هَؤُلَاءِ لِلنَّارِ وبعمل أهل النَّار يعْملُونَ )) ،فَقَالَ رجل يَا رَسُول الله فَفِيمَ الْعَمَل يَا رَسُول الله قَالَ فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ(( إِنَّ اللَّهَ إِذَا خَلَقَ الْعَبْدَ لِلْجَنَّةِ اسْتَعْمَلَهُ بِعَمَلِ أهْلِ الْجَنَّةِ حَتَّى يَمُوتَ عَلَى عَمَلٍ من أَعمال أهل الْجنَّة فيدخله الله الْجَنَّةَ وَإِذَا خَلَقَ الْعَبْدَ لِلنَّارِ اسْتَعْمَلَهُ بِعَمَلِ أَهْلِ النَّارِ حَتَّى يَمُوتَ عَلَى عَمَلٍ مِنْ أَعمال أهل النَّار فَيَدخلَه اللهُ النَّار)). رَوَاهُ مَالك وَالتِّرْمِذِيّ وَأَبُو دَاوُد۔
"Muslim Bin Yassa se riwaayat hai ke (Syidina) Omer raziallahu-anhu se is aayat aur "aur jab tere Rab ne bani aadam ke pushton se unki aulaad ko nikaalaa" aayat ke aakhir tak (Surah Al-A'araaf:172) ke bare me pocha gaya to unho ne farmaaya: maine RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ko is aayat ke jawaab me farmaate howe sunaa: yaqeenan ALLAH ne ja AADAM (alaihisssalam) ko paida kya to unki pusht par apna daayaa haath(right hand) phera to us se unki aulaad nikle aur farmaaya: maine inhe jannat keliye paida kya hai aur ye jannation ke kaam karenge. Phir unki pusht par (haath) phaira to unme se unki aulaad nikaali aur farmaaya: mai ne inhe jahannum keliye paida kya hai aur ye jahannamion ke kaam karenge. Ek aadmi ne pocha: yaa RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam! phir amaal ki kya zurorat hai? to RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya: ALLAH ne jab bande ko jannat keliye paida kya to usay uski maut tak jannation ke amaal ki taufeeq di jo usay jannat me dakhil kardenge aur jab us ne kisee bande ko hahannum keliye paida kya to usay us ki maut tak jahannamion ke amaal par chalayaa jo usay jahannum me daakhil kardenge." Isay MAALIK (Al-Muaata:1/898, hadis No.1726) TIRMIZI(3075 aur Imam Tirmizi rahimahullah ne faramay ke ye hadis HASAN hai aur Mulim Bin Yassa ne Omer(raziallahu-anhu) ko nahi suna) aru ABU DAWOD(4703) ne riwaayat kya hai.

TAHQEEQ-UL-HADIS:
Is riwaayat ki sanad munqate hone ki wajah se ZAIF hai kion ke Muslim Bin Yasaar rahimahullah ne Syidina Omer raziallahu-anhu se kuch nahi suna. Is riwaayat ki dosri sanad me 'Nuaim Bin Rabia' "Maj'hool-ul-Haal" raawi hai jise sirf Ibn Hibban rahimahullah ne 'Siqqah' qaraar diya hai. Dekhiye meri kittab "Anwaar-ul-Sahifah fi Ahadees-ul-Zayeefah(d:4703)




 

Top