AASMAANI KITABON PAR EMAAN


AASMAANI KITABON PAR EMAAN
Tahreer : FAZILAT-USH-SHAIKH ABD-US-SATTAR AL-HAMMAD hafizahullah

Roman Script : Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

مُؤْمِنُ أَهْلِ الْكِتَابِ الَّذِي كَانَ مُؤْمِنًا ثُمَّ آمَنَ بِالنَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَلَهُ أَجْرَانِ
"Ahl-e-kitaab se jo shakhs pehli kitaab par emaan laya, NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam par bhi emaan laya to usay dohra ajar milega."(Sahih Bukhari:3011)

FAWAAYED:
ALLAH TA'ALA ne insanon ki Rushd o hadaayat ke liye hazraat-e-anbiya alaihimussalam ko maboos kya aur apni taraf se pakeeza talemaat par mabni mutadid kitaaben nazil farmaen. Phir jo insaan ALLAH TA'ALA ki taraf se nazil kardah kutub par emaan laya, phir is ne RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki risalat ko dil o jaan se tasleem kya woh ALLAH ke haan dohra ajar ka haq daar hai. Jaisa ke mazkoorah baalaa hadis mein hai. ALLAH TA'ALA ne Torat, Injeel, Zaboor aur Quran ko nazil farmaya hai. Is ke ilawa Suhof-e-Ibrahim alaihissalam ka pata bhi chalta hai ke inhen bhi ALLAH TA'ALA ne asmano se utaara, un tamam kutub smawiyyah par umooman aur Quran Kareem par khasosan emaan lana zaroori hai. Agar dil o dimagh ke kisi gosha mein un ki takzeeb ya un ke mutaliq kisi qisam ka baatil aqeedah chipka raha to phir emaan ki khair nahi balkay ALLAH TA'ALA ne Quran Kareem se rahnumaiye ke liye chand sharait ka zikar kya hai. Un mein se aik yeh hai ke aadmi un tamam kitabon ko barhaq tasleem kere jo ALLAH TA'ALA ne wahi ke zariye mukhtalif zamanoon aur zabanon mein utari hain. irshad baari taala hai:

وَالَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِمَا أُنْزِلَ إِلَيْكَ وَمَا أُنْزِلَ مِنْ قَبْلِكَ وَبِالْآخِرَةِ هُمْ يُوقِنُون
"Aur woh jo is par emaan late hain jo AAP ki taraf utaara gaya aur jo AAP se pahle utaara gaya aur aakhirat par who log hi yaqeen rakhte hain."(Surah al-Baqarah:4)

"Yeh kitaab un logon ke liye hidaayat ka rasta kholti hai jo is kitaab par emaan layein jo AAP sallallahu alaihi wasallam par nazil ki gayi hai aur un kitabon ko bhi barhaq tasleem karen jo aap se pehlay nazil ki gayi hain.

Un kitabon par imaan laane ka matlab yeh hai ke Sidq dil se is amar ki tasdeeq ki jaye ke yeh tamam kitaaben ALLAH ki taraf se nazil kardah hain aur un mein ALLAH TA'ALA ka haqeeqi kalaam darj hai. WALLAHU-A'ALAM
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Muhammed Ali Owais Emaan 0

Similar threads


Top