Agar aap us daur mein hote to Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu ke giroh mein hote ya Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu ke giroh mein hote ?


Abdul Adil

Member
Agar aap us daur mein hote to Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu ke giroh mein hote ya Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu ke giroh mein hote ?

Roman Script :-
Abdul Adil Ansari

Engineer Ali Mirza aur uske muqallideen aaj kar aksar ye jazbaati sawal karte nazar aate hai ki :

"Ki Agar aap us daur mein hote to Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu ke giroh mein hote ya Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu ke giroh mein hote ?"

Balki Engineer Mirza aur aage jakar kahta hai ki agar ham Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ke giroh mein hote to Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ke kahne par mukhalif giroh {Hazrat Muawiyah Razi Allahu} ke Sar par talwaar rakh dete.

Nauzobillah , Summa Nauzobillah

Ye log jab in giroh ke hawale se sawal poochte hai to teesere giroh ko chipa lete hai uska jikr bhi nahi karte , kyunki us daur mein do nahi balki teen giroh the

1] Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu ka giroh

2] Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu ka giroh

3] Sahaba ka teesra giroh , Jo unme se kisi ke bhi saath na tha


Ab Sawal is tarah se banta hai ๐Ÿ‘‡

Aap us daur me hote to kis giroh mein hote , Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu ke giroh mein , Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu ka giroh ya Sahaba E Ikram ke teesre giroh mein jinki tadad us samay lagbhag das hajar (10,000) thi.

Chuncha

Imam Abdullah Rahimahullah Apni Kitbal Illal mein Imam Shereen Rahimahullah ka qaul nakal karte hai

Imam Sheereen Rahimahullah kahte hai

Jab Sahaba Ke darmiyan Ladaiyan huyi , to us samay Sahaba ki tadad das hajaar (10,000) thi. Is fitne mein das hajaar (10,000) mein se Sau (100) Sahaba ne bhi is ladayi mein shamil nahi huye , balki in ladayi mein jitne Sahaba Shamil huye (Chahe Ali Razi Allahu Anhu ki taraf se ho , Ya Ameer E Muawiyah Razi Allahu Anhu ki taraf se ho) unki tadad milakar tees (30) bhi nahi hoti.

[Al-Illal]

Ab agar dekha jaye to Nabi ๏ทบ ki Hadees teesre giroh ke sath khadi hai , to beshak Muawiyah Razi Allahu Anhu Ya Ali Razi Allahu Anhu Sahabi E Rasool ๏ทบ hai , lekin Muhammad ๏ทบ ki Hadees jis giroh ke sath hai usi giroh mein shamil hona sabse afzal hai , kyunki Rasoolullah ๏ทบ wahi kahate hai , Jo Allah ki taraf se Wahi hoti hai , jo Sahaba E Kiram teesre giroh me shamil the unke sath Rasoolullah ๏ทบ ki kuch Hadees thi .

1] Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu bhi un Sahaba mein shamil the , jinhone jang e shiffeen mein kisi giroh ka saath nahi diya tha , uski wajah ye thi ki unke samne Rasoolullah ๏ทบ ki nasheehat mauzood thi .

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kahte hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya :

ุณูŽุชูŽูƒููˆู†ู ููุชูŽู†ูŒ ุงู„ู’ู‚ูŽุงุนูุฏู ูููŠู‡ูŽุง ุฎูŽูŠู’ุฑูŒ ู…ูู†ูŽ ุงู„ู’ู‚ูŽุงุฆูู…ู ูˆูŽุงู„ู’ู‚ูŽุงุฆูู…ู ูููŠู‡ูŽุง ุฎูŽูŠู’ุฑูŒ ู…ูู†ูŽ ุงู„ู’ู…ูŽุงุดููŠ ุŒ ูˆูŽุงู„ู’ู…ูŽุงุดููŠ ูููŠู‡ูŽุง ุฎูŽูŠู’ุฑูŒ ู…ูู†ูŽ ุงู„ุณู‘ูŽุงุนููŠ ูˆูŽู…ูŽู†ู’ ูŠูุดู’ุฑููู’ ู„ูŽู‡ูŽุง ุชูŽุณู’ุชูŽุดู’ุฑููู’ู‡ู ูˆูŽู…ูŽู†ู’ ูˆูŽุฌูŽุฏูŽ ู…ูŽู„ู’ุฌูŽุฃู‹ ุฃูŽูˆู’ ู…ูŽุนูŽุงุฐู‹ุง ููŽู„ู’ูŠูŽุนูุฐู’ ุจูู‡ู

โ€œFitno ka daur jab ayega to us mein baithe wala khada rahne wale se behtar hoga , Khada rahne wala chalne wale se behtar hoga , aur chalne wala daudne wale se behtar hoga. Jo us mein jhakenga fitna bhi use uchak lega aur us waqt jise jahan bhi panah mil jaye bas wahan panah pakad le taki apne deen ko fitno se bacha sakeโ€

[Sahih Bukhari Hadees Number : 3601]

๐Ÿ”ธYe Hadees Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ke ilm mein thi ki fitno ke daur mein khud ko usse door rakhna hai aur is liye Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne us jung mein kisi giroh ka sath nahi diya.

2] Hazrat Osama Bin Zaid Razi Allahu Anhu ne bhi Jang e Shiffeen mein Na To Ali Razi Allahu Anhu ka sath diya na Muawiyah Razi Allahu Anhu ka sath diya aur Ye Hazrat Osama Bin Zaid Razi Allahu Anhu koyi Aam Sahabi nahi the balki Rasoolullah ๏ทบ ke mahboob aur Ahle Bayt mein se the.

Chunacha Osama Bin Zaid Razi Allahu Anhu riwayat karte hai ki

ุนูŽู†ู ุงู„ู†ู‘ูŽุจููŠู‘ู ุตูŽู„ู‘ูŽู‰ ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ูˆูŽุณูŽู„ู‘ูŽู…ูŽ ุŒ ุฃูŽู†ู‘ูŽู‡ู ูƒูŽุงู†ูŽ ูŠูŽุฃู’ุฎูุฐูู‡ู ูˆูŽุงู„ู’ุญูŽุณูŽู†ูŽ ุŒ ููŽูŠูŽู‚ููˆู„ู : ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ูู…ู‘ูŽ ุฃูŽุญูุจู‘ูŽู‡ูู…ูŽุง ููŽุฅูู†ู‘ููŠ ุฃูุญูุจู‘ูู‡ูู…ูŽุง

โ€œRasoolullah ๏ทบ ne Sayyadana Hasan Razi Allahu Anhu aur Sayyadana Osama Razi Allahu Anhu dono ko goad mein lete aur farmate : Aie Allah Tu Inhen Apna Mahboob bana ki Main inse muhabbat karta hunโ€

[Sahih Bukhari Hadees Number : 3735]

Iske Alawa Rasoolullah ๏ทบ ne ek mauqe par Farmaya :

ูˆูŽุฅูู†ู‘ูŽ ู‡ูŽุฐูŽุง ู„ูŽู…ูู†ู’ ุฃูŽุญูŽุจู‘ู ุงู„ู†ู‘ูŽุงุณู ุฅูู„ูŽูŠู‘ูŽ ุจูŽุนู’ุฏูŽู‡ู

Osama Razi Allahu Anhu Anhu mujhe bahut azeez hai

[Saheeh Bukhari Hadees Number : 3370]

Unhi Osama bin Zaid Razi Allahu Anhu ne apne ek saathi Harmala ko Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu ke pass bheja aur kaha ki Agar Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu tum se sawal kare ki Osama Razi Allahu Anhu ne jung e siffeen mein mera sath kyun nahi diya to unko mere taraf se kahna

ู…ูŽุง ุฎูŽู„ู‘ูŽููŽ ุตูŽุงุญูุจูŽูƒูŽ ุŒ ููŽู‚ูู„ู’ ู„ูŽู‡ู : ูŠูŽู‚ููˆู„ู ู„ูŽูƒูŽ : ู„ูŽูˆู’ ูƒูู†ู’ุชูŽ ูููŠ ุดูุฏู’ู‚ู ุงู„ู’ุฃูŽุณูŽุฏู ู„ูŽุฃูŽุญู’ุจูŽุจู’ุชู ุฃูŽู†ู’ ุฃูŽูƒููˆู†ูŽ ู…ูŽุนูŽูƒูŽ ูููŠู‡ู ุŒ ูˆูŽู„ูŽูƒูู†ู‘ูŽ ู‡ูŽุฐูŽุง ุฃูŽู…ู’ุฑูŒ ู„ูŽู…ู’ ุฃูŽุฑูŽู‡ู ุŒ ููŽู„ูŽู…ู’ ูŠูุนู’ุทูู†ููŠ ุดูŽูŠู’ุฆู‹ุง ุŒ ููŽุฐูŽู‡ูŽุจู’ุชู ุฅูู„ูŽู‰ ุญูŽุณูŽู†ู ุŒ ูˆูŽุญูุณูŽูŠู’ู†ู ุŒ ูˆูŽุงุจู’ู†ู ุฌูŽุนู’ููŽุฑู ููŽุฃูŽูˆู’ู‚ูŽุฑููˆุง ู„ููŠ ุฑูŽุงุญูู„ูŽุชููŠ .

Osama Bin Zaid Razi Allahu Anhu kahte hai , Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu agar sher (lion) ke muh mein bhi ho tab bhi unke sath hun lekin chunki ye jung Sahaba Ki aapsi thi isliye mere nazdeek ye sahih nahi hai.

(Harmala Kahte hai ki) chunacha unhone koyi cheej nahi di. fir main Hasan , Hussain Aur Abdullah bin Jafar Razi Allahu Anhum ke pass gaya to unhone meri sawari par itna maal ladwa diya jitna ki oont (camel) utha na sakta ho.

[Sahih Bukhari Hadees Number : 7110]

3] Sa'ad Bin Abi Waqqas Razi Allahu Anhu jo ki Ashra E Mubashshara mein se hai ye bhi isi teesre giroh mein se hai ye bhi Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu ka sath diya na Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu ka sath diya aur unke mutallik Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya ki

ูˆูŽุณูŽุนู’ุฏูŒ ูููŠ ุงู„ู’ุฌูŽู†ู‘ูŽุฉู

Aur Sa'ad Jannati hai.

[Jamey Tirmizi Hadees Number : 3747]

Inhi Sa'ad Razi Allahu Anhu se kisi ne sawal kiya ki Aap Ladayi mein shamil kyu nahi ho rahe hai to Sa'ad Bin Abi Waqqas Razi Allahu Anhu ne farmaya

ู‚ูŽุฏู’ ู‚ูŽุงุชูŽู„ู’ู†ูŽุง ุญูŽุชู‘ูŽู‰ ู„ูŽุง ุชูŽูƒููˆู†ูŽ ููุชู’ู†ูŽุฉูŒุŒ ูˆูŽุฃูŽู†ู’ุชูŽ ูˆูŽุฃูŽุตู’ุญูŽุงุจููƒูŽ ุชูุฑููŠุฏููˆู†ูŽ ุฃูŽู†ู’ ุชูู‚ูŽุงุชูู„ููˆุง ุญูŽุชู‘ูŽู‰ ุชูŽูƒููˆู†ูŽ ููุชู’ู†ูŽุฉูŒ

Ham Rasoolullah ๏ทบ ke sath Mil kar fitna khatam karne ke khatir jung ladte the jabki Tum aur Tumhare saathi fitna barpa karne ke khatir ladna chahate ho.

[Sahih Muslim Hadees Number : 277]

4] Muhammad Bin Maslama Razi Allahu Anhu bhi Sahaba ke teesre giroh mein shamil the unhone bhi jung e siffeen mein kisi ka bhi sath nahi diya kyunki unke pass Rasoolullah ๏ทบ ki hadees thi

Muhammad Bin Maslama Razi Allahu Anhu Farmate hai ki Beshak Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya tha

ยซุฅูู†ู‘ูŽู‡ูŽุง ุณูŽุชูŽูƒููˆู†ู ููุชู’ู†ูŽุฉูŒ ูˆูŽููุฑู’ู‚ูŽุฉูŒ ูˆูŽุงุฎู’ุชูู„ูŽุงููŒ ุŒ ููŽุฅูุฐูŽุง ูƒูŽุงู†ูŽ ูƒูŽุฐูŽู„ููƒูŽ ููŽุฃู’ุชู ุจูุณูŽูŠู’ูููƒูŽ ุฃูุญูุฏู‹ุง ุŒ ููŽุงุถู’ุฑูุจู’ู‡ู ุญูŽุชู‘ูŽู‰ ูŠูŽู†ู’ู‚ูŽุทูุนูŽ ุŒ ุซูู…ู‘ูŽ ุงุฌู’ู„ูุณู’ ูููŠ ุจูŽูŠู’ุชููƒูŽ ุŒ ุญูŽุชู‘ูŽู‰ ุชูŽุฃู’ุชููŠูŽูƒูŽ ูŠูŽุฏูŒ ุฎูŽุงุทูุฆูŽุฉูŒ ุŒ ุฃูŽูˆู’ ู…ูŽู†ููŠู‘ูŽุฉูŒ ู‚ูŽุงุถููŠูŽุฉูŒยป

ยซููŽู‚ูŽุฏู’ ูˆูŽู‚ูŽุนูŽุชู’ ูˆูŽููŽุนูŽู„ู’ุชู ู…ูŽุง ู‚ูŽุงู„ูŽ ุฑูŽุณููˆู„ู ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุตูŽู„ู‘ูŽู‰ ุงู„ู„ู‡ู ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ูˆูŽุณูŽู„ู‘ูŽู…ูŽยป

โ€˜โ€˜Anqareeb Fitna , Iftiraaq aur Ikhtelaaf (runama) hoga , jab ye shoorat e haal pesh aaye to apni talwaar lekar Ohad Pahad par chadh jana aur use (talwaar ko pahad ke pattharo par) maar kar tod dena. Fir ghar mein baithe rahna hatta ki tujh tak koyi gunah gaar hanth pahunch jaye ya faishla kar dene wali maut aa jayeโ€™โ€™

(Muhammad Bin Maslama Razi Allahu Anhu kahte hai) Tahqeeq fitna waqey ho chuka aur maine Wahi kuch kiya jo Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya tha.

[Sunan Ibne Maja Hadees Number : 3962]

Gaur farmaiye Rasoolullah ๏ทบ farma rahe hai jab fitna runama ho yani Sahaba ki apas me junge hon to Ohad pahad par chadh jana aur apni talwaar pahad par maar - maar ka tod dena taki teri talwaar kisi Sahabi par na uth sake

Jabki bad-bakhth "Muhammad Ali Mirza" aur uske followers kahte hain ki agar us daur mein ham jinda hote to Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu ke giroh ke khilaaf talwaar utha lete. Jabki Rasoolullah ๏ทบ is fitne se bachne ki talqeen farma rahe hai aur apni talwaar tod dene ka huqm de rhe hai ki isi mein bhalayi hai.

๐Ÿ”ธBaaki ab aap gaur farma len us daur mein Aap hote to kis giroh mein hona behtar samjhte ya un jungo se bach kar apni talwaaren tod dene wale teesre giroh mein hote jinke sath Ahadees khadi thi aur Rasoolullah ๏ทบ ki wasiyat aur taqeed bhi thi ki Chip kar baith jana , pahad par chadh jana , talwaar tod dena lekin un fitno se bach kar rahna .

Isi liye Muhammad Bin Maslama Razi Allahu Anhu bayan karte hai , Bilkul sab aise hi hua jab ladayi huyi yani fitna runama hua to maine wahi kuch kiya jo Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya tha aur main ghar mein baitha raha.

5] Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu se Qais Bin Ubaad Rahimahullah poochte hai ki Aap ye jo Sayyadana Muawiyah Razi Allahu Anhu ke khilaaf itna bada qadam uthane ja rhe hai kya Aapke Paas Rasoolullah ๏ทบ ka koyi farman hai ya aapki ye apni jaati raay hai ?

Ali Razi Allahu Anhu Ne jawab diya :

ู…ูŽุง ุนูŽู‡ูุฏูŽ ุฅูู„ูŽูŠู‘ูŽ ุฑูŽุณููˆู„ู ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุตูŽู„ู‘ูŽู‰ ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ูˆูŽุณูŽู„ู‘ูŽู…ูŽ ุจูุดูŽูŠู’ุกู ูˆูŽู„ูŽูƒูู†ู‘ูŽู‡ู ุฑูŽุฃู’ูŠูŒ ุฑูŽุฃูŽูŠู’ุชูู‡ู

Mujhe Rasoolullah ๏ทบ ne kuch nahi farmaya balki ye meri apni jaati raay hai.

[Sunan Abu Dawood Hadees Number : 4666]


๐Ÿ”ธ: Gaur farmaiye Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu ye nahi farma rahe ki mere paas nash (daleel) hai balki wo use Apna ijtehaad kah rahe hai jabki jo Teesra giroh hai unke pass kayi Ahadees hai , aur unhi Hadees ki buniyad par Unhone un jungo mein shamil nahi huye aur khud ko door rakha aur un jungo se door rahne ki nasihat ki bhi Rasoolullah ๏ทบ ne ki thi ki Apni talwaaren tod dena gharon mein baithe rahna in fitno se bach kar rahna.

Ab dekhiye kya Nabi ๏ทบ ne ye farmaya tha ki Sahabi ke sar par talwaar rakh dena jaisa "badbhkath mirza ali engineer" ne kaha ki main hota to Muwaiyah Razi Allahu Anhu par talwaar rakh deta ya Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya ki apni talwaaren tod dena ?

Nabi ๏ทบ ki to yahi nasihat hai ki talwaar pahad par rakh kar tod dena , baaki ye faisla ab aap kar lo ki talwaar kidhar rakhni hai pahad par ya Kisi Sahabi ke sar par , Aur Apna Anzaam khud tay kar lo.

Allah Ta'ala ham sab musalmanon ko Sare Sahaba Razi Allahu Anhu ki izzat karne ki taufeeq ata farmaye.

Ameen Ya Rabbul Alameen

Mazeed Jankari ke liye is video ko dekhe ๐Ÿ‘‡

 

Top