Qay (Vomiting/ Oolti) aane par Roza nahi toot’ta


Qay (Vomiting/ Oolti) aane par Roza nahi toot’ta

Abu Hurairah radiallahu anhu se Riwayat hai:

Allah Ke Rasool (ﷺ) Ne Farmaya:
“Jise Qaee (Vomiting) ho jaye roze ki halat me Is Par Qaza Nahi Aur Jo Jaan Boojh Kar Qaee Kare Toh Is Par Qaza Hai (Yani khud se muh me ungli dal kar ya kisi bhi tarike se jaan boojh kar kare toh qaza hai).”

Sunan Abi Dawud 2380
In-book : Book 14, Hadith 68
English translation : Book 13, Hadith 2374
Tirmizi, Nasa’i, Ibn Majah, Haakim
Saheeh Ul-Jami’ 6243) (Saheeh)

Ibn Khuzaima ke Alfaaz hai: “Agar Rozedaar Khud Qaee(Ulti/Vomiting) kare tou iska Roza toot gaya aur agar uss par Qaee ghalib aagayi (Apne ap hi nikal gya) tou iska Roza nahi toot’ta.”
Saheeh Ibn Khuzaima 1960) (Isnaad Saheeh)
 
Top