AHL e KITAAB KI KAUNSI AURATON SE NIKAAH JAAYEZ HAI


AHL e KITAAB KI KAUNSI AURATON SE NIKAAH JAAYEZ HAI

بسم الله الرحمن الرحيم

وأخْرَجَ أبُو الشَّيْخِ، وابْنُ مَرْدُويَهْ، عَنِ ابْنِ عَبّاسٍ قالَ: مِن نِساءِ أهْلِ الكِتابِ مَن يَحِلُّ لَنا، ومِنهم مَن لا يَحِلُّ لَنا وتَلا: ﴿قاتِلُوا الَّذِينَ لا يُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ ولا بِاليَوْمِ الآخِرِ﴾ فَمَن أعْطى الجِزْيَةَ حَلَّ لَنا نِساؤُهُ، ومَن لَمْ يُعْطِ الجِزْيَةَ لَمْ يَحِلَّ لَنا نِساؤُهُ. ولَفْظُ ابْنِ مَرْدُويَهْ: لا يَحِلُّ نِكاحُ أهْلِ الكِتابِ إذا كانُوا حَرْبًا. ثُمَّ تَلا هَذِهِ الآيَةَ. [الدر المنثور]

• Ibn 'Abbaas (Raziyallaahu 'Anhumaa) ne Ahl e Kitaab ki kaunsi Auratein (Nikaah ke liye) hamaare liye halaal hai aur kaunsi halaal nahin hai uske baare mein kehte hue ye aayat tilaawat ki: "Un logon se Q!taal karo jo Allaah par aur qiyaamat ke din par Eemaan nahin laate aur us cheez ko haraam nahin tehraate jisey Allaah ne aur Uske Rasool ne haraam tehraaya hai, aur Deen e Haqq ko qubool nahin karte, woh jo Ahl e Kitaab mein se hain, (unse lado) yahaan tak ke woh zaleel hokar apne haath se jizyah dein." [9:29] Toh pas jo Ahl e Kitaab mein se jizyah adaa karein woh Auratein (Nikaah ke liye) hamaare liye halaal hai aur jo jizyah adaa na karein woh hamaare liye halaal nahin."

• Ibn Mardawayh (Rahimahullaah) ke alfaaz hai: Agar Ahl e Kitaab Harbi hai toh unse Nikaah halaal nahin. Phir unhone yahi (Soorah Al-Tawbah) ki aayat tilaawat ki.


[Al-Dur Al-Manthoor]

ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- Mutarjim: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Nikaah o Talaq 0

Similar threads


Top