AHL-E-SUNNAT KA QAUL: ALLAH ARSH PAR HAI


AHL-E-SUNNAT KA QAUL: ALLAH ARSH PAR HAI
Tahreer: Muhaddis Hind o Paak Imam-ul-Asr Hafiz Zubair Ali Zai rahimahullah
(AL-HADIS shumaarah No.72, page:24)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Hafiz Zahbi rahimahullah(mutawaffa:748 Hijri) ne farmaaya:
Aslaf aur ayimaye Sunnat balke Sahabah, ALLAH us ke RASOOL sallallah alaihi wasallam aur momineen ka qaul hai ke ALLAH aasmaanon par hai, ALLAH arsh par hai, is ka arsh aasmaanon se opar hai aur woh aasmaan-e-dunya par naazil hota hai.

Is ki daleel un (Ayimaye Ahl-e-Sunnat) ke paas aayaat, Ahadis aur aasaar hai.

Aur JAHMIYAAH(firqah) ka ye qaul hai ke:
"ALLAH har makaan mein hai."

Paak hai ALLAH un(jahmiyyah) ke is qaul se, balke hum jahaan bhi hon woh hamare saath apne ilm se hai.
(AL-Ulo lil-Ali al-ghaffar:2/970, Nuskhaye Muhaqqaqah)
 

Similar threads


Top