Ahle Bidat In Jayeef Hadees Ka Akshar Sahara lete hai


Abdul Adil

Member
Tahreer :- Mahboob Hasan Hafizahullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari


Ahle Bidat In Jayeef Hadees Ka Akshar Sahara lete hai

Hadees Number - 1

Mere Martabe Ka Waseela lo _______


توسلوا بجاھی فان جاھی عند اللہ عظیم

Tarjuma :- Mere Maqam Wa Martabe se Waseela Pakdo , Kyuki Mera Martabaa Allah Ke Yahan Bahut Bada hai .

Tahqeeq :- Imam Ibne Taimiya Rahimahullah aur Shaikh Nasiruddin Albani Rahimaullah ne kaha ki iski koyi asal nahi .


[ اقتضاءالصراط المستقیم لابن تیمیہ ( 2/415 ) السلسلة الضعیفة (22)]


Hadees Number - 2

Ummat Me Ikhtlaaf ______

اختلاف ا متی رحمة

Tarjuma :- Meri Ummat Ka Ikhtlaaf Rahamat hai .

Tahqeeq :- Ye Riwayat Mauzu Hai

[ الاسرار المرفوعة (506) تنزیہ الشریعة (2/402)


Shaikh Albani Rahimaullah Ne Kaha ki Iski Koyi asal nahi .

Al Silsila Az Zaeefa ( 11 )


Hadees Number - 3

Talak dene Se Arsh Kapta hai ______


تزوجوا ولا تطلقوا ، فان الطلاق یھتز لہ العرش

Tarjuma :- Shadi Karo Aur Talak Mat do , Kyuki talak se Arsh kaanp uthta hai .

Tahqeeq :-Ye Riwayat Mauzu Hai

[ ترتیب الموضوعات (694) الموضوعات للصغانی (97) تنزیہ الشریعة (2/202)]


Hadees Number - 4

Fikr E Akhirat Ki Fazilat________

فکرة ساعة خیرمن عبادة ستین سنة

Tarjuma :- Qayamat Ki fikr 60 Saal Ki
Ibaadat Se behtar hai .

Tahqeeq :- Ye riwayat Mauzu hai


[تنزیہ الشریعة (2/305) الفوائد المجموعة (723) ترتیب الموضوعات (964) ]


Hadees Number - 5


Qaynat Ki Tahqeeq Rasoolullah ﷺ ke liye ________

لولاک ما خلقت الدنیا

Tarjuma :- Aie Nabi ﷺ agar tu na hota to , main duniya ko paida na karta .

Tahqeeq :- Ye Riwayat Mauzu Hai

[ اللولو المرصوع للمشیشی (454) ترتیب الموضوعات (196) السلسلة الضعیفة (282)]


Hadees Number - 6


Ek Sunnat Ko Zindah karne par 100 Shaheedon ka azr ___________


من تمسک بسنتی عند فساد امتی فلہ اجرمائة شھید

Tarjuma :- Jisne Meri Ummat Ke Fashad Ke Waqt meri Sunnat ko majbooti se thame rakha , uske liye 100 Shaheedon ka azr hai .

Tahqeeq :- Ye Riwayat Zaeef uz ziddah hai


ذخیرة الحفاظ (4/5174) السلسلة الضعیفة (326) ]
 
Top