AHLE TAWHEED BHI BAD-AMALI KI WAJAH SE JAHANNUM MEIN JAAYENGE


AHLE TAWHEED BHI BAD-AMALI KI WAJAH SE JAHANNUM MEIN JAAYENGE
Roman Script : Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:
((حَدَّثَنَا هَنَّادٌ، حَدَّثَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ، عَنِ الأَعْمَشِ، عَنْ أَبِي سُفْيَانَ، عَنْ جَابِرٍ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ‏ "‏ يُعَذَّبُ نَاسٌ مِنْ أَهْلِ التَّوْحِيدِ فِي النَّارِ حَتَّى يَكُونُوا فِيهَا حُمَمًا ثُمَّ تُدْرِكُهُمُ الرَّحْمَةُ فَيُخْرَجُونَ وَيُطْرَحُونَ عَلَى أَبْوَابِ الْجَنَّةِ ‏.‏ قَالَ فَيَرُشُّ عَلَيْهِمْ أَهْلُ الْجَنَّةِ الْمَاءَ فَيَنْبُتُونَ كَمَا يَنْبُتُ الْغُثَاءُ فِي حِمَالَةِ السَّيْلِ ثُمَّ يَدْخُلُونَ الْجَنَّةَ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ صَحِيحٌ وَقَدْ رُوِيَ مِنْ غَيْرِ وَجْهٍ عَنْ جَابِرٍ))
"Jaabir razillahu-anhu bayaan karte hain ke RASOOLULLAHU sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Ahle Tawheed se kuch log jahannum mei azaab keliye dale jayenge, yahaan take ke woh jalkar koyelah hojaayenge, phir unpar ALLAH ki rahmat saayah figna hogi to woh jahannum se nikaal liye jaayenge, aur jannat ke darwaazon par puhnchadiye jaayenge, AAP sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya: Jannati unpar paani chidkenge to woh waise hi hojaayenge jaise sailaab ki mattion se daanah ogtaa hai, phir wo(ahle tawheed) jannat mein daakhil kardiye jaayenge. Imam Tirmizi rahimahullah ne farmaya ke ye hadis HASAN SAHIH hai."
(Jami Tirmizi, kitab Sifato Jahannum, baab: Jahannum se ahle tawheed ka nikaalaa jaana, Hadis No.2597, Muhaddis Zubair Ali Zai rahimahullah ne is hadis ko SAHIH kaha hai, Muhaddis Albaani rahimahullah ne bhi is ko "Silsilat-us-Sahihah" mein is ko zikar kiya hai, is hadis ke bahut ziyadah shawaahed hain)

FAYEDAH: Shirk ke ilaawah gunaah ke bare mein ALLAH TA'ALA ka qaanon ye hai ke agar usne in gunaah gaaron ko muaf nah kiya to aarzi taur par unhe jannahum mein daal jaayega, muddat ka ta'aiyon khud ALLAH TA'ALA farmayenge. ALLAH TA'ALA hamare kabirah aur sagheerah gunaahon ko muaaf frmaaye aameen
 
Last edited:

Top