Umar Asari

Administrator
Staff member
Kya sagi bhateeji se nikaah karna jaaiz hai?

Sawaal:
Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuh..
Kya Sagi Bhatiji Se Nikaah Jaaiz Hai.

Jawaab:
Ji nahi. Quran e Kareem mein Allah Taala farmaata hai:
حُرِّمَتْ عَلَيْكُمْ أُمَّهَاتُكُمْ وَبَنَاتُكُمْ وَأَخَوَاتُكُمْ وَعَمَّاتُكُمْ وَخَالَاتُكُمْ وَبَنَاتُ الْأَخِ وَبَنَاتُ الْأُخْتِ وَأُمَّهَاتُكُمُ اللَّاتِي أَرْضَعْنَكُمْ وَأَخَوَاتُكُمْ مِنَ الرَّضَاعَةِ وَأُمَّهَاتُ نِسَائِكُمْ وَرَبَائِبُكُمُ اللَّاتِي فِي حُجُورِكُمْ مِنْ نِسَائِكُمُ اللَّاتِي دَخَلْتُمْ بِهِنَّ فَإِنْ لَمْ تَكُونُوا دَخَلْتُمْ بِهِنَّ فَلَا جُنَاحَ عَلَيْكُمْ وَحَلَائِلُ أَبْنَائِكُمُ الَّذِينَ مِنْ أَصْلَابِكُمْ وَأَنْ تَجْمَعُوا بَيْنَ الْأُخْتَيْنِ إِلَّا مَا قَدْ سَلَفَ ۗ إِنَّ اللَّهَ كَانَ غَفُورًا رَحِيمًا​
Tarjumah: Haraam ki gayein tum par tumhari maayen aur tumhari ladkiyan aur tumhari behnen, tumhari phoophiyan aur tumhari khaalaayen aur bhai ki ladkiyan aur behan ki ladkiyan aur tumhari woh maayen jinhon ne tumhein doodh pilaya ho aur tumhari doodh shareek behnen aur tumhari saas aur tumhari woh parwarish-kardah ladkiyan jo tumhari good mein hain, tumhari un aurton se jin se tum dukhool kar chuke ho, haan agar tum ne un se jimaa na kiya ho to tum par koyi gunaah nahi aur tumhare salbi sage beton ki biwiyan aur tumhara do behnon ka jama karna haan jo guzar chuka so guzar chuka, yaqeenan Allah taala bakhshne waala meharban hai.
(Surah An-Nisa, Surah No: 4 Ayat No: 23)

واللہ اعلم بالصواب​
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Nikaah o Talaq 0

Similar threads


Top