Umar Asari

Administrator
Staff member
AKELI AURAT KA NA MAHRAM DRIVER KE SAATH SAFAR KARNA

Tehreer: Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah

Romanised By: Hafiz Muhammad Shahid

SAWAL: kya Aurath Akeli (single) NA MAHRUM driver ke saath market ,school ya college waghairah jasakti hai? baraye meherbani dalayel se bataien.

JAWAB: Hamare muashre me bahot saari burayiyaan isliye parwan chadhrahi hai ke hum in buraiyoun ke asbaab par nazar rakhne ki bajaye nazar churate hai, phir is wajah se bar aamad hone wale natayej (results) se bhi kulli ghafil hai.

Ajnabi driver ke saath apni behen,biwi ya beti waghaira ko safar par Rawana kardena apni zimmedari ya zaati muamle me dusre ko shareek karne ke Mutaradif hai aur ye bunyadi ghalti deeni wo dunyawi Ae’tebar se intehayi qatarnak hai.

Aurath ka Tanha Ajnabi driver ke sath kahin jaana do wajah se Haram hai:

1.Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya:
لا تسافر امرأة إلا مع ذي محرم​
"koi Aurat Mahram ke baghair safar na kare”.
[Sahih Muslim :3272/1341]

is per agar koi ye Ae’teraz kare ke baaz Ahadees me do din ya do Raat ki masafath ka safar tay karne ka zikr hai, lehaza thoda safar aurath baghair mehram(driver ke sath ) kar sakti hai to aise ehbaab doosri wajah ko bhi Malhooz rakhe, jo darj zail hain:

2.Rasool Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
لا يخلون رجل بامرأة إلا ومعها ذو محرم​
”koi Aadmi kisi Aurath ke saath hargiz tanhayi ekhtiyar Na kare, siwaye ye ke uske saath koi Mehram ho”.
[Sahih Muslim :3274/1341]

Neez Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya:
ألا لا يخلون رجل بامرأة إلا كان ثالثهما الشيطان​
"Aagah raho! jo aadmi kisi aurath ke saath tanhayi ekhtiyar karta hai to unke darmiyan teesra shaitaan hota hai."
[Sunan Tirmizi :1171,Saheeh]

Agar koi aurath mahram ke baghair tanha driver ke saath safar karegi to in dono ko qilwat (separate) mayassar Aayegi aur in dono ke darmiyan shaitan hoga jo unhe gunah par uksayega.

Khulasay‘e kalam ye hai ke Aurath tanha Ajnabi driver ke saath safar Nahi karsakti, kyun ke shari'ate islamia me iski mumani’at hai, Alawa Azeen ye qilwat (separate) ka ba'is hai jo haram hai ,lehaza khwateen ko tanha driver ke saath safar karne se kulli ijtinab karna chahiye.

[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.134,Safa no.8-9]
 

Similar threads


Top