AL-BARAA (Allah ke liye Nafrat aur Dushmani) Allah Ta’ala Ke Faraameen Ki Raushni Mein


AL-BARAA (Allah ke liye Nafrat aur Dushmani) Allah Ta’ala Ke Faraameen Ki Raushni Mein

أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ

لَا یَتَّخِذِ الۡمُؤۡمِنُوۡنَ الۡکٰفِرِیۡنَ اَوۡلِیَآءَ مِنۡ دُوۡنِ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ ۚ وَ مَنۡ یَّفۡعَلۡ ذٰلِکَ فَلَیۡسَ مِنَ اللّٰہِ فِیۡ شَیۡءٍ اِلَّاۤ اَنۡ تَتَّقُوۡا مِنۡہُمۡ تُقٰىۃً ؕ وَ یُحَذِّرُکُمُ اللّٰہُ نَفۡسَہٗ ؕ وَ اِلَی اللّٰہِ الۡمَصِیۡرُ

“Muminon Ko Chaahiye Ke Eemaan Waalon Ko Chhord Kar Kaafiron Ko Apna Dost Na Banaaein Aur Jo Aisa Karega Woh Allaah Ki Kisi Himaayat Mein
Nahi Magar Yeh Ke Unke Sharr Se Kisi Tarah Bachaao Maqsood Ho aur Allah Ta'ala khud tumhe apni zaat se dara raha hai aur Allah Ta'ala hi ki taraf lot kar jana hai.

[Sūrah Aal-Imraan, Aayat : 28]

اِنَّمَا وَلِیُّکُمُ اللّٰہُ وَ رَسُوۡلُہٗ وَ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوا الَّذِیۡنَ یُقِیۡمُوۡنَ الصَّلٰوۃَ وَ یُؤۡتُوۡنَ الزَّکٰوۃَ وَ ہُمۡ رٰکِعُوۡنَ

“(Musalmaano !) Tumhaara Dost Khud Allaah Hai Aur Uska Rasool Hai Aur Eemaan Waale Hain
Jo Namaazon Ki Paabandi Karte Hain Aur Zakaat Adaa Karte Hain Aur Woh Rukoo (Khushoo Wa Khuzoo) Karne Waale Hai.”

[Sūrah Al-Maaidah, Aayat : 55]

الَّذِیۡنَ یَتَّخِذُوۡنَ الۡکٰفِرِیۡنَ اَوۡلِیَآءَ مِنۡ دُوۡنِ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ ؕ اَیَبۡتَغُوۡنَ عِنۡدَہُمُ الۡعِزَّۃَ فَاِنَّ الۡعِزَّۃَ لِلّٰہِ جَمِیۡعًا

“Jin Ki Yeh Haalat Hai Ke Musalmaanon Ko Chhord Kar Kaafiron Ko Dost Banaatey Phirte Hain, Kya Unke Paas Izzat Ki Talaash Mein Jaatey Hain?
(Tou Yaad Rakhein Ke) Izzat Tou Saari Ki Saari Allaah Ta’aalaa Ke Qabzey Mein Hai.”

[Sūrah An-Nisā, Aayat : 139]

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوا الۡکٰفِرِیۡنَ اَوۡلِیَآءَ مِنۡ دُوۡنِ الۡمُؤۡمِنِیۡنَؕ اَتُرِیۡدُوۡنَ اَنۡ تَجۡعَلُوۡا لِلّٰہِ عَلَیۡکُمۡ سُلۡطٰنًا مُّبِیۡنًا

“Aye Eemaan Waalon ! Muminon Ko Chhord Kar Kaafiron Ko Dost Na Banaao Kya Tum Yeh Chaahte Ho Ke Apne Oopar Allaah Ki Saaf Hujjat Qaayam Karlo ?”

[Sūrah An-Nisā, Aayat : 144]

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوا الۡیَہُوۡدَ وَ النَّصٰرٰۤی اَوۡلِیَآءَ بَعۡضُہُمۡ اَوۡلِیَآءُ بَعۡضٍ ؕ وَ مَنۡ یَّتَوَلَّہُمۡ مِّنۡکُمۡ فَاِنَّہٗ مِنۡہُمۡ ؕ اِنَّ اللّٰہَ لَا یَہۡدِی الۡقَوۡمَ الظّٰلِمِیۡن

“Aye Eemaan Waalon ! Tum Yahood Aur Nasaara Ko Dost Na Banaao Yeh Tou Aapas Mein Hi Ek Doosre Ke Dost Hain.
Tum Mein Se Jo Bhi Un Mein Se Kisi Se Dosti Kare Woh Beshak Unhi Mein Se Hai. Zaalimon Ko Allaah Hargiz Raah-e-Raast Nahi Dikhaata.”

[Sūrah Al-Maaidah, Aayat : 51]

تَرٰی کَثِیۡرًا مِّنۡہُمۡ یَتَوَلَّوۡنَ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا ؕ لَبِئۡسَ مَا قَدَّمَتۡ لَہُمۡ اَنۡفُسُہُمۡ اَنۡ سَخِطَ اللّٰہُ عَلَیۡہِمۡ وَ فِی الۡعَذَابِ ہُمۡ خٰلِدُوۡن

“Un Mein Se Bohat Se Logon Ko Aap Dekhengey Ke Woh Kaafiron Se Dostiyaan Karte Hain
Jo Kuch Unho Ne Apne Liye Aagey Bhej Rakha Hai Woh Bohat Buraa Hai Ke Allaah Unse Naaraaz Hua Woh Hamesha Jahannam Mein Rahengey.”


وَ لَوۡ کَانُوۡا یُؤۡمِنُوۡنَ بِاللّٰہِ وَ النَّبِیِّ وَ مَاۤ اُنۡزِلَ اِلَیۡہِ مَا اتَّخَذُوۡہُمۡ اَوۡلِیَآءَ وَ لٰکِنَّ کَثِیۡرًا مِّنۡہُمۡ فٰسِقُوۡن

“Agar Unhein Allaah Par Nabi Par Aur Jo Naazil Kiya Gaya Hai (Ya’ni Qur-aan Par) Eemaan Hota Tou Yeh Kuffaar Se Dostiyaan Na Karte Lekin Un Mein Ke Aksar Log Faasiq Hai.”

[Sūrah Al-Maaidah, Aayat : 80, 81]

وَ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا بَعۡضُہُمۡ اَوۡلِیَآءُ بَعۡضٍ ؕ اِلَّا تَفۡعَلُوۡہُ تَکُنۡ فِتۡنَۃٌ فِی الۡاَرۡضِ وَ فَسَادٌ کَبِیۡرٌ

“Kaafir Aapas Mein Ek Doosre Ke Dost Hain Agar Tum Ne Aisa Na Kiya Tou Mulk Mein Fitnah Hoga Aur Zabardast Fasaad Hojayega.”


[Sūrah Al-Anfaal, Aayat : 73]

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوۡۤا اٰبَآءَکُمۡ وَ اِخۡوَانَکُمۡ اَوۡلِیَآءَ اِنِ اسۡتَحَبُّوا الۡکُفۡرَ عَلَی الۡاِیۡمَانِ ؕ وَ مَنۡ یَّتَوَلَّہُمۡ مِّنۡکُمۡ فَاُولٰٓئِکَ ہُمُ الظّٰلِمُوۡنَ


“Aye Eemaan Waalon ! Apne Baapon Ko Aur Apne Bhaaiyon Ko Dost Na Banaao Agar Woh Kufr Ko Eemaan Se Zyaada Azeez Rakhein. Tum Mein Se Jo Bhi Unse Muhabbat Rakhega Woh Poora Gunahgaar Zaalim Hai.”

[Sūrah At-Taubah, Aayat : 23]

لَا تَجِدُ قَوۡمًا یُّؤۡمِنُوۡنَ بِاللّٰہِ وَ الۡیَوۡمِ الۡاٰخِرِ یُوَآدُّوۡنَ مَنۡ حَآدَّ اللّٰہَ وَ رَسُوۡلَہٗ وَ لَوۡ کَانُوۡۤا اٰبَآءَہُمۡ اَوۡ اَبۡنَآءَہُمۡ اَوۡ اِخۡوَانَہُمۡ اَوۡ عَشِیۡرَتَہُمۡ


“Allaah Aur Qiyaamat Ke Din Par Eemaan Rakhne Waalon Ko Aap Allaah Aur Uske Rasool Ki Mukhaalifat Karne Waalon Se Muhabbat Rakhte Huye Nahi Paaengey Chaahey Woh Unke Baap Ya Unke Betey Ya Unke Bhaai Ya Unke Kumbey Qabeeley Ke Azeez Hi Kyun Na Ho.”

[Sūrah Al-Mujaadalah, Aayat : 22]

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوۡا عَدُوِّیۡ وَ عَدُوَّکُمۡ اَوۡلِیَآءَ تُلۡقُوۡنَ اِلَیۡہِمۡ بِالۡمَوَدَّۃِ وَ قَدۡ کَفَرُوۡا بِمَا جَآءَکُمۡ مِّنَ الۡحَقِّ

“Aye Eemaan Waalon ! Mere Aur (Khud) Apne Dushmanon Ko Apna Dost Na Banaao Tum Tou Dosti Se Unki Taraf Paighaam Bhejte Ho Aur Woh Us Haqq Ke Saath Jo Tumhaare Paas Aachuka Hai Kufr Karte Hain
,

یُخۡرِجُوۡنَ الرَّسُوۡلَ وَ اِیَّاکُمۡ اَنۡ تُؤۡمِنُوۡا بِاللّٰہِ رَبِّکُمۡ


Paighambar Ko Aur Khud Tumhe Bhi Mehaz Is Wajah Se Jilaa Watan (Mulk Ke Baahar) Karte Hain Ke Tum Apne Rabb Par Eemaan Rakhte Ho

اِنۡ کُنۡتُمۡ خَرَجۡتُمۡ جِہَادًا فِیۡ سَبِیۡلِیۡ وَ ابۡتِغَآءَ مَرۡضَاتِیۡ تُسِرُّوۡنَ اِلَیۡہِمۡ بِالۡمَوَدَّۃِ وَ اَنَا اَعۡلَمُ بِمَاۤ اَخۡفَیۡتُمۡ وَ مَاۤ اَعۡلَنۡتُمۡ وَ مَنۡ یَّفۡعَلۡہُ مِنۡکُمۡ فَقَدۡ ضَلَّ سَوَآءَ السَّبِیۡل

Agar Tum Meri Raah Mein Jihaad Ke Liye Aur Meri Razaamandi Ki Talab Mein Nikalte Ho (Tou Unse Dostiyaan Na Karo)
Tum Unke Paas Muhabbat Ka Paighaam Posheeda Posheeda Bhejte Ho Aur Mujhe Khoob Maloom Hai Jo
Tum Ne Chupaaya Aur Woh Bhi Jo Tum Ne Zaahir Kiya.
Tum Mein Se Jo Bhi Is Kaam Ko Karega Woh Yaqeenan Raah-e-Raast Se Behak Jaayega.”

[Sūrah Al-Mumtahinah, Aayat : 1]

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَوَلَّوۡا قَوۡمًا غَضِبَ اللّٰہُ عَلَیۡہِمۡ قَدۡ یَئِسُوۡا مِنَ الۡاٰخِرَۃِ کَمَا یَئِسَ الۡکُفَّارُ مِنۡ اَصۡحٰبِ الۡقُبُوۡرِ

“Aye Musalmaanon ! Tum Us Qaum Se Dosti Na Rakho Jin Par Allaah Ka Ghazab Naazil Ho Chuka Hai
Jo Aakhirat Se Is Tarah Maayus Ho Chukey Hain Jaisa Ke Murdah Qabar Waalon Se Kaafir Na Ummeed Hain.”

[Sūrah Al-Mumtahinah, Aayat : 13]


《Muharrir: Abu Al-Hasan Al-Hindi Hafizahullah》
 

Top