AL-WALA WAL-BARA KYA HAI ?


AL-WALA WAL-BARA KYA HAI ?

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

1. Al-Walaa Ka Matlab Hai Allaah Ke Liye Dosti Wa Muhabbat Karna. Isko Mawaalaat Bhi Kehte Hain.

2. Al-Baraa Ka Matlab Hai Allaah Ke Liye Kisi Se Nafrat Wa Dushmani Karna. Aur Isko Baraa-at Bhi Kehte Hain.

Aur Yeh Donon Haqeeqat Mein Eemaan Ki Bunyaadi Sifaat Hain. Allaah Se Muhabbat Ka Taqaaza Yeh Hai Ke Allaah Ke Ambiyaa Karaam Aur Unke Itaa’at Guzaaron Se Muhabbat Kee Jaaye.

Isi Tarah Allaah Aur Uske Ambiyaa Karaam Ke Dushmanon Se Adaawat (Dushmani) Rakhi Jaaye Aur Unke Naafarmaano Se Zyaada Se Zyaada Bughz (Nafrat) Rakha Jaaye.

WUDU AUR NAMAAZ KE BAAREY MEIN SEEKHNE SE PEHLE AL-WALĀ WAL-BARĀ KA ILM HAASIL KARNA ZYAADA ZAROORI HAI.

Shaykh Al-Islām Muhammad Bin Abdul Wahhaab (رحمه الله) ne kaha :

"Aadmi par apne bachcho ko aur apne ghar waalon ko Al-Walaa Wal-Baraa sikhaane ki zimmedaari unko Wudu aur Namaaz (ka tareeqah) sikhaane se zyaada badhkar hai."

[Majm'uah Muallifaat Ash-Shaykh : 322/323]

Islaami Aqeedey Ke Bunyaadi Usoolon Mein Se Ek Usool Yeh Bhi Hai Ke Har Musalmaan Par Ahle Islaam (EemaanWaalon) Se Muhabbat Rakhna Aur Mukhaalifeen (Ya’ni Jo Islaam Ke Khilaaf Hai Un) se Dushmani Rakhna Waajib Hai.

Nabi (ﷺ) ne farmaaya: "Allaah ke liye Wafaadaari karna, Allaah ke liye Dushmani karna, Allaah ke liye Muhabbat karna aur Allaah hi ke liye Nafrat karna Eemaan ka Mazboot tareen Darjah (Ya Eemaan ki Mazboot tareen Zanjeer) hai."

[Isey Tabaraani ne rivaayat kiya aur Al-Albaani ne As-Silsilah As-Saheehah (998 or 1121) mein is Hadees ko Saheeh kaha hai; Musnad Ahmad, Hasan]

Rasoolullaah (ﷺ) ne farmaaya: "Jis ne Allaah ki Razaa (khushnudi) ke liye kisi se Muhabbat kee, aur jis ne Allaah ki Razaa ke liye Adaawat wa Dushmani kee.. tou yaqeenan uska Eemaan mukammal hogaya."

[Jaami' At-Tirmizee : 2521, Shawaahid (witnesses) ki wajah se yeh Hadees Hasan hai dekhiye As-Saheehah:380]

Lihaaza Muwahhideen Wa Mukhliseen Se Muhabbat Jabke Mushrikeen Se Dushmani, Aur Yeh Millat-e-Ibraaheemi Ka Ek aham Hissa Hai Aur Jo Log Un Par Eemaan Laaye Unka Bhi Shewa Raha. Unhi Salaf Saaliheen Ki Pairvi Ka Allaah Ne Humein Hukm Bhi Diya Hai. Jaisa Ke Farmaan ilaahi Hai :

“(Musalmaano!) Tumhaare Liye Ibraahīm Mein Aur Unke Saathiyon Mein Behtareen Namoona Maujood Hai, Jabke Un Sab Ne Apni Qaum Se Khuley Aam Kehdiya Ke Hum Tum Se Aur Jin Jin Ki Tum Allaah Ke Siwa Ibaadat Karte Ho Un Sab Se Hum Baraa-at Wa Bezaari Ka Elaan Karte Hain.

Hum Tumhaare (Aqaaid Ka) inkaar karte Hain. Aur Hum Mein Aur Tum Mein Dushmani Aur Nafrat Hamesha Ke Liye Zaahir Hogayi Jab Tak Ke Tum Ek Allaah Par Eemaan Na Laao...”
[Sūrah Al-Mumtahinah : 4]

Aur Yahi Zaabitah Deen-e-Muhammadi Ka Bhi Hai. Allaah Ne Farmaaya :

“Aye Eemaan Waalon ! Tum Yahood Wa Nasaara Ko Dost Na Banaao Woh Tou Aapas Mein Hi Ek Doosre Ke Dost Hain. Tum Mein Se Jo Koi Unse Dosti Karega Tou Phir Beshak Woh Bhi Unhi Mein Se Hai. Zaalimon Ko Allaah Hargiz Seedha Raasta Nahi Dikhaata.” [Al-Maaidah : 51]

Is Aayat Mein Khusoosan Ahle Kitaab (Ya’ni Yahood Wa Nasaara) Se Mawaalaat (Dosti) Wa Muhabbat Ko Haraam Qaraar Diya Gaya Hai, Jabke Aagey Farmaan ilaahi Mein Umooman Tamaam Kuffaar Ki Muhabbat Aur Hamdardi Ki Hurmat Aayi Hai: “Aye Eemaan Waalon ! Mere Aur Khud Apne Dushmanon Ko Apna Dost Na Banaao...” [Sūrah Al-Mumtahinah : 1]

Tamaam Kuffaar umooman dushman hi hai aur unse Nafrat karna Eemaan ka hissa hai.

Allaah ta'aalā ne vaazih taur par farmaaya hai ke Kuffaar tumhare dushman hai. Allaah ta'aalā ne kaha: "..Yaqeenan kuffaar tumhare khule dushman hai." [Sūrah An-Nisā : 101]

Aur Umar Bin Al-Khattaab (رضي الله عنه) ne Kuffaar ko dushman ka lafz istemaal kiya hai.

Umar bin Al-Khattaab (RaziyAllaahu Anhu) ne kaha: "Allaah ke dushman (Kuffaar/Mushrikeen) se unke tahwaaron ke waqt door raho." [Ahkaam Ahluz-Zimmah : 1/723-724]

Shaykh Ibn Baaz ne kaha:

دل الكتاب والسنة وإجماع المسلمين على أنه يجب على المسلمين أن يعادوا الكافرين من اليهود والنصارى وسائر المشركين، وأن يحذروا مودتهم واتخاذهم أولياء.
Kitaab Allaah aur Sunnat-e-Rasool (ﷺ) aur Musalmaanon ka ijmaa' is baat ki saaf dalaalat karta hai ke Musalmaanon par Kuffaar jaise Yahood wa Nasaarā aur doosre Tamaam Mushrikeen se 'Adaawat (dushmani) rakhna waajib hai, aur unse Muhabbat aur unhein apna Awliyā (dost) banaane se bachna (bhi Waajib hai). [Majmū' Al-Fataawā : 2/ 178]

Aur Shaykh Ibn Uthaymeen ne kaha: "Kuch log Kuffaar ko bhaai kehkar pukaarte hai aur kehte hain (Mere) Bhaai, kya tumhaara Dil Eemaan se khaali ho chuka hai jo tum Allaah ke dushman ko Bhaai kehte ho?." [Liqaa Ash-Shahri : 2]

Aur doosri jagah Shaykh Ibn Uthaymeen ne kaha ke apne Dil mein Allaah ke dushmano ke liye Muhabbat rakhna jaaez nahi jo Haqeeqat mein ke tumhare bhi dushman hai. Phir Shaykh ne daleel ke taur par yeh Aayat pesh kee [Sūrah Al-Mumtaniah 60:1]. Dekhiye Majmoo' Fataawā Ibn Uthaymeen : 3/31

Al-Wala Wal-Bara Asluddeen mein se hai. Ya'ni Kuffaar se Nafrat wa Dushmani karna Fitrat mein se hai aur is mas-aley mein jahaalat ka koi uzr Qaabil-e-Qubool nahi.

Shaykhul-Islaam Ibn Taymiyyah (رحمه الله) ne farmaaya:

"وأصل الدين أن يكون الحب لله، والبغض لله، والموالاة لله، والمعاداة لله، والعبادة لله." انتهى كلامه
"Aur Asluddeen yeh hai ke Allaah ki khaatir Muhabbat kee jaaye aur usi ki khaatir Bughz (Nafrat) rakha jaaye aur usi ki khaatir Muwaalaat kiya jaaye aur usi ke khaatir Adaawat (dushmani) kee jaaye aur us (akele) Allaah ki hi ibaadat kee jaaye."

[Minhaaj Al-Sunnah Al-Nabawiyyah, Jild : 5, Pg : 255]

Tou ek Musalmaan un logon ko kaise dost banaa sakta hai, kaise Muhabbat karsakta jin ko Allaah Dushman qaraar diya ho aur jis se Allaah Nafrat karta ho ? Jo koi bhi Allaah ke dushmano (Kuffaar wa Mushrikeen) se Muhabbat rakhey woh khula Murtadd wa Kaafir hai. Kyunke woh Qur-aan ki vaazih Aayaat ke khilaaf, Ahaadees ke khilaaf aur Musalmaano ke Ijma ke khilaaf gaya hai.

Allaah Ta’aalā Ne Tou Muminon Par Kuffaar Ki Muhabbat Ko Haraam Qaraar Diya Hai Chaahe Woh Kaafir Kitne Hi Qareebi Rishtedaar Hi Kyun Na Ho. Farmaan ilaahi Hai :

“Aye Eemaan Waalon ! Apne Baapon Ko Aur Apne Bhaaiyon Ko Dost Na Banaao Agar Woh Kufr Ko Eemaan Se Zyaada Azeez Rakhein, Tum Mein Se Jo Bhi Unse Muhabbat Rakhega Woh Poora Gunahgaar Zaalim Hai.” [Sūrah At-Tawbah, : 23]

Musalmaan Aur Kaafir Baraabar Nahi Hosakte. Jaisa Ke Allaah Ne Kaha: “Kya Woh Jo Mumin Hai Uske Misl (Jaisa) Hai Jo Faasiq Hai ? Yeh Baraabar Nahi Hosakte.” [Sūrah As-Sajdah]

Aur Ek Jagah Farmaaya:Kya Hum Musalmaanon Ko Gunahgaaron (Ya’ni Kaafiron) Jaisa Kardengey ?” Tumhe Kya Hogaya Hai Tum Kaise Faisley Karte Ho.” [Al-Qalam : 35-36]

Bohat Saarey Log Is Azeem Usool Aur Qaaidey Se Naa Waaqif Hain,
Ba’z Log Kehte Hain Kuffaar aur Musalmaan ek hai aur baraabar hai Aur Woh Kaafiron Ko Bhi Hamaare Bhaai Kehte Hain” (Kitna Khatarnaak Jumlah Hai Yeh !)

Pas Jaisa Ke Allaah Ne Kuffaar Ki Muhabbat Ko Jo Aqeedah-e-Islaam Ke Dushman Hai Haraam Kiya Hai, Wahin Ahle Eemaan Ki Muhabbat Ko Eham Aur Waajib Qaraar Diya Hai. Farmaan ilaahi Hai :

“Allaah Aur Qiyaamat Ke Din Par Eemaan Rakhne Waalon Ko Aap Allaah Aur Uske Rasool Ki Mukhaalifat Karne Waalon Se Muhabbat Rakhte Huye Nahi Paaengey Chaahe Woh Unke Baap Ya Unke Bete Ya Unke Bhaai Ya Unke Kumbey Qabeeley Ke Azeez Hi Kyun Na Ho.” [Al-Mujaadalah : 22]

Neez Allaah Ka Farmaan Hai: “(Musalmaano !) Tumhaara Dost Khud Allaah Hai Aur Uska Rasool Hai Aur Eemaan Waale Hain Jo Namaazon Ki Paabandi Karte Hain Aur Zakaat Adaa Karte Hain Aur Woh Rukoo (Khushoo Wa Khuzoo) Karne Waale Hai. Aur Jo Shakhs Allaah Se Aur Uske Rasool Se Aur Musalmaanon Se Dosti Kare, Yaqeen Maaney Ke Allaah Ta’aalaa Ki Jamaat Hi Ghaalib Rahegi.” [Sūrah Al-Maaidah : 55, 56]

Aur Allaah Ka Farmaan Hai: “Muhammad (ﷺ) Allaah Ke Rasool Hain Aur Jo Log Unke Saath Hain Kaafiron Par Sakht Hai Aur Aapas Mein Raham Dil Hain.” [Sūrah Al-Fath : 29] Aur Farmaaya: (Yaad Rakho!) Saarey Musalmaan Bhaai Bhaai Hain.” [Al-Hujuraat : 10]

Lihaaza Ahle Eemaan Deen Wa Aqeedey Ke Bhaai Hain. Chaahe Nasab Aur Watan Aur Zamaana Wa Auqaat Door Aur Mukhtalif Hi Kyun Na Ho.
-
MUSALMAAN AUR KUFFAAR BARAABAR NAHI HOSAKTE.

Allaah Ta’aalaa Ne Muminon Par Kuffaar Ki Muhabbat Ko Haraam Qaraar Diya Hai Chaahe Woh Kaafir Kitne Hi Qareebi Rishtedaar Hi Kyun Na Ho. Farmaan ilaahi Hai :

“Aye Eemaan Waalon ! Apne Baapon Ko Aur Apne Bhaaiyon Ko Dost Na Banaao Agar Woh Kufr Ko Eemaan Se Zyaada Azeez Rakhein, Tum Mein Se Jo Bhi Unse Muhabbat Rakhega Woh Poora Gunahgaar Zaalim Hai.” [At-Tawbah : 23]

Khaalis ek allaah ki ibaadat karne waala aur senkdon ki ibaadat karne waala baraabar kaisa hosakte hain? Kya Shirk aur Tawheed baraabar hosakte hain? Woh jagah jahaan Allaah ki ibaadat hoti hai aur ek jagah jahaan ghairo ki ibaadat hoti hai, kya yeh baraabar hosakte hain? Nahi na. Tou phir Kaafir aur Musalmaan kaise baraabar hosakte hain?

Jaisa Ke Allaah Ne Kaha: “Kya Woh Jo Mumin Hai Us Jaisa Hai Jo Faasiq Hai ? Yeh Baraabar Nahi Hosakte.”
[As-Sajdah]

Aur Ek Jagah Farmaaya: “Kya Hum Musalmaanon Ko Gunahgaaron (Ya’ni Kaafiron) Jaisa Kardengey ?” Tumhe Kya Hogaya Hai Tum Kaise Faisley Karte Ho.” [Al-Qalam : 35-36]

MUSHRIKEEN NAAPAAK HAI.

Allaah Ta'aalā ne farmaaya: "Aye Eemaan Waalon ! Beshak Mushrik Bilkul Hi Napaak Hain.."
[At-Tawbah : 28]

Jab ke doosri jagah Hadees-e-Rasool (ﷺ) se pata chalta hai ke MUMIN KABHI NAAPAAK NAHI HOTA dekhiye [Saheeh Al-Bukhaari]

Tou kya Paak aur Naapaak baraabar hosakte hain? Kya Kufr aur Islaam baraabar hosakte hain? Kya Haqq aur Baatil baraabar hosakte hain?

Darasal yeh Kuffaar hi hai jo Chaahte Hain ke Musalmaanon se milkar rahey aur unhein bhi Apne Jaisa Kaafir banaaen. Jaisa ke Allaah Ta'aalā ne kaha: "Unki chaahat tou yeh ke jis tarah ke Kaafir woh hain tum bhi unki tarah Kufr karne lago aur phir sab baraabar ho jaaye.." [Sūrah An-Nisaa : 89]

Allaah Ta'aalā ne Qur-aan mein kayi muqaam par Mushrikeen se alag rehne ko kaha hai. Ab kuch log kehte hain ke jab hum unse alag rahengey tou Deen ki da'wat Kaisa dengey ?

Tou uska jawaab yeh hai ke da'wat dena Zabaan Ka kaam hai aur Nafrat wa Dushmani Karna yeh Dil Ka kaam hai. Aap Dil mein Nafrat aur Dushmani rakhkar bhi tou achhe akhlaaq se da'wat dey sakte hain aur phir da'wat deney ke ba'd wahaan se hatjaana chaahiye.

Hamaara kaam bas da'wat pohanchaana aur phir unse alag hojana hai. Unke Saath ghoomna phirna dostiyaan aur Muhabbatein rakhna Haraam hai.

Jaise aayat mein hai: "Pas aap is hukm ko jo aap ko kiya jaa raha hai khol kar suna deejiye! Aur Mushrikon se mooh pher leejiye (Ya'ni unse door rahiye, eraaz kariye)." [Sūrah Al-Hijr : 94]

Mushrikeen se Shaadi biyaah Karne se bhi Allaah ne Mana' kiya hai aur kaha unse tou Musalmaan Ghulaam zyaada achhe hain. Dekhiye [Al-Baqarah : 221]

Aur Allaah Ta'aalā Ibraahīm (عليه السلام) ke bhi baarey mein kehte hain ke: "Ibraahīm tou na Yahoodi the na Nasraani, balke woh tou khaalis Musalmaan the. Aur woh Mushrikon mein se nahi the." [Aal-Imraan : 67]

Aur Doosri jagah farmaaya: "Tum Sab Millat-e-Ibraahīm ki pairvi karo jo Mushrikeen mein se na the." [Aal-Imraan : 95]

Aur Ahaadees se bhi hum ko yahi pata chalta hai. Kuffaar ke ahkaam alag hai aur Musalmaanon ke ahkaam alag. Agar yeh ek hotey tou kya ahkaam bhi ek nahi hotey ? Musalmaan ki Wiraasat Kaafir ko nahi dee jaasakti aur na hi Kaafir ki Wiraasat Musalmaan ko. Dekhiye [Saheeh Muslim : 1614 or 3928 ; Al-Bukhaarī : 1588 ; Ibn Maajah : 2729]

IS AAYAT SE KUCH LOG KUFFAAR SE MUHABBAT AUR DOSTI KA JAWAAZ DETEY HAIN

Jahaan Tak Is Aayat Ka Ta'lluq Hai :

"Jin Logon Ne Tum Se Deen Ke Baarey Mein Ladaayi Nahi Ladi Aur Tumhe Jilaa Watan Nahi Kiya (Ya'ni Mulk Ke Baahar Nahi Kiya) Unke Saath Sulook Aur Ehsaan Karne Aur Achha Bartaao Karne Se Allaah Ta'aalaa Tumhein Nahi Rokta, Balke Allaah Tou Insaaf Karne Waale Se Muhabbat Karta Hai..." [Sūrah Al-Mumtahinah : 8]

Tou Iska Matlab Yeh Hai Ke, Kuffaar Mein Se Jis Ne Takleef Ko Musalmaanon Tak Nahi Pohanchaaya Aur Musalmaanon Ke Khilaaf Jung Nahi Kee Aur Na Musalmaanon Ko Bey Ghar Kiya, Tou Musalmaan Unko Dunyavi Bartaao Aur Sulook Mein Ehsaan Aur Insaaf Ka Badlah Dengey, Jabke Dil Se Unke Saath Ulfat Wa Muhabbat Nahi Rakhengey.

Isliye Ke Allaah Ta'aalaa Ka Farmaan Hai: "Tum Unke Saath Bhalaayi Ka Bartaao Karo" Yeh Nahi Kaha Ke Dostiyaan Karo Aur Muhabbat Karo.

Aur Aisey Hi Allaah Ka Farmaan Waalidain Ke Baarey Mein Hai :

"Aur Agar Woh Donon Tujh Par Is Baat Ka Dabaao Daalein Ke Tu Mere Saath (Kisi Ko) Shareek Kare Jis Ka Tujhe ilm Na Ho Tou Tu Unka Kehna Na Maanna. Haan Dunya Mein Unke Saath Achhi Tarah Basar Karna Aur Uski Raah Chalna Jo Meri Taraf Jhuka Hua Hai...” [Sūrah Al-Luqmaan : 15]

Yeh aayat Asmā (رضي الله عنه) aur unke Waalidah ke baarey mein naazil Hui thi. Haalanke Asmā (رضي الله عنها) Ki Waalidah Unke Paas Aayi Silah Rahmi Ka Mutaalibah Kiya Jabke Yeh Maa Kaafirah Thi Tou Us Baar Bhi Asmā (رضي الله عنها) Ne Rasoolullaah Se Ijaazat Chaahi Tou Unho Ne Kaha: "Apni Maa Ke Saath Silah Rahmi Ka Bartaao Karo."

Jabke Allaah Ka Farmaan Hai "Allaah Ta’aalā Par Aur Qiyaamat Ke Din Par Eemaan Rakhne Waalon Ko Aap Allaah Aur Uske Rasool Ki Mukhaalifat Karne Waalon Se Muhabbat Rakhte Huye Hargiz Na Paaengey. Chaahe Woh Unke Baap Ya Unke Bete Ya Unke Bhaai Ya Unke Qabeeley Ke (Azeez) Hi Kyun Na Ho." [Sūrah Mujaadalah : 22]

Isliye Silah Rahmi Aur Qaraabat Daari Ke Huqooq Aur Dunyavi Sulook Alag Cheez Hain. Aur Muhabbat Wa Mawaddad Doosri Cheez Hain. Kyunke Silah Rahmi Aur Husn-e-Sulook Muqaabil Kaafir Ko Islaam Ki Taraf Raaghib Karega.

SOURCE
: [Saalih Al-Fawzaan ki kitaab: Al-Walaa Wal-Baraa]

KUFFAAR SE KIS TARAH SULOOK KIYA JAAYE ?

Silah Rahmi Aur Qaraabat Daari Ke Huqooq Aur Dunyavi Sulook Alag Cheez Hain. Aur Muhabbat Wa Mawaddad Doosri Cheez Hai.

Aur (Yeh) Donon Wasaail Da'wat Mein Se Hain Bar-Khilaaf Muwaddat Aur Mawaalaat Ke, Ke Woh Donon Is Baat Ki Daleel Hote Hain Ke Insaan Kaafir Ke Deen Aur Taur Tareeqey Ka Iqraar Karta Hai Aur Uska Mu'tarif Hai. Aur Kufr Par Razamandi Hai, Kyunke Yeh Shakhs Usey Islaam Ki Da'wat Nahi Deta.

Aur Aisey Hi Kuffaar Se Mawaalaat Ki Hurmat Ka Matlab Yeh Bhi Nahi Hai Ke Insaan Unke Saath Leyn Deyn Rakhna Bhi Haraam Samjhe Jaisa Ke Mubaah Aur Jaaez Tijaarat Leyn Deyn Aur Saamaan Mangwaana Ya Faaedemand Masnoo'aat Is Tarah Unke Tajrubey Aur Tehqeeq Aur ijaadaad (inventions) Se Daardah Uthaana Jaisa Ke Nabi (ﷺ) Ne Ibn Areeqat Al-Laisi Ko Ujrat Par (Ya'ni Paise Dekar) Apne Saath Karliya Tha Taaki Woh Aapko Raasta Bataaye. Jabke Woh Kaafir Tha.

Isi Tarah Rasoolullaah (ﷺ) Ne Ba'z Yahoodiyon Se Qarz Liya, Hamesha Hi Se Musalmaan Saamaan Aur Deegar Masnū'aat Kuffaar Se letey Rahey Hai, Uska Ta'lluq Qeematan Bai'y Wa Sharaa Se Hai, Jabke Usme Hamaare Oopar Ehsaan Na Meharbaani.

Aur Na Yeh Kuffaar Ki Mawaalaat Ke Daaerey Mein Aata Hai Kyunke Allaah Ne Mumineen Ki Muhabbat Aur Mawaalaat Jabke Kuffaar Ki Nafrat Wa Baraa-at Ko Hum Par Waajib Kiya Hai.

SOURCE
: [Saalih Al-Fawzaan ki kitaab: Al-Walaa Wal-Baraa]

AL-WALAA WAL-BARAA KE ETEBAAR SE LOGON KI TEEN (3) QISMEIN HAIN.

1. JIN SE KHAALIS MUHABBAT HONI CHAAHIYE AUR UNSE DUSHMAN KA SHAAIBAH TAK NA HO:


Yeh Khaalis Eemaan Waale Hain, Ya'ni Ambiyaa, Siddiqeen, Shuhadaa, Saaliheen Unke Muqaddimey Mein Rasoolullaah (ﷺ) Ki Shakhsiyat Aati Hai Ke Aap Ki Muhabbat Is Tarah Waajib Hai Ke Woh Jaan, Baap, Daada Aur Aulaad Aur Tamaam Logon Par Fauqiyat Rakhti Ho.

Aur Uske Ba'd Nabi (ﷺ) Ki Beewiyaan (Hamaari Maaein) Aur Paakiza Ahle Bait Aur Qaabil-e-Takreem Sahaabah Bil-Khusoos Khulafaa-e-Raashideen (Abu Bakr, Umar, Usmaan Aur Ali (رضي الله عنهم)), Aur Baaqi Ashrah Mubashsharah Aur Muhaajireen Wa Ansaar Aur Ahle Badr Aur Ahle Bai'atur-Ridwaan Aur Phir Deegar Sahaabah (رضي الله عنهم) Ajma'een.

Phir Taaba'een Aur Khairul-Quroon Aur Is Ummat Ke Salaf Saaliheen Aur Aimmah, Maslan Chaar (4) Aimmah.

Allaah Ta'aalā Ka Farmaan Hai: Aur (Unke Liye) Jo Inke Ba’d Aayein Jo Kahengey Ke, Aye Hamaare Rabb Humein Bakhsh Dey Aur Hamaare Un Bhaaiyon Ko Bhi Jo Hum Se Pehle Eemaan Laa Chukey Hain Aur Eemaan Daaron Ki Taraf Se Hamaare Dil Mein Keena (Aur Dushmani) Naa Daal Aye Hamaare Rabb Beshak Tu Shafaqqat Aur Meharbaani Karne Waala Hai.” [Sūrah Al-Hashr : 10]

Jis Shakhs Ke Dil Mein Eemaan Ho Woh Shakhs Sahaabah Aur Slaf Saaliheen Se Bughz Nahi Rakh Sakta. Sahaaba Se Bughz Tou Sirf Ahle Zaygh Aur Nifaaq Aur Dushman-e-Islaam Rakh Sakte Hain. Jaisa Ke Rawaafidh Aur Khawaarij Hain. Hum Allaah Se Aafiyat Ka Sawaal Karte Hain.

2. WOH LOG JIN SE KHAALIS BUGHZ AUR ADAAWAT RAKHI JAAYE JIS MEIN MUHABBAT AUR MAWAALAAT KA SHAAIBAH TAK NA HO:

Yeh Log Khaalis Kuffaar, Mushrikeen, Munaafiqeen, Murtaddeen (apostates) Aur Mulhideen (atheists) Apne Mukhtalif Rang Aur Dhang Mein, Jaisa Ke Allaah Ka Farmaan Hai :

“Allaah Aur Qiyaamat Ke Din Eemaan Rakhne Waalon Ko Aap Allaah Aur Uske Rasool Ki Mukhaalifat Karne Waalon Se Muhabbat Rakhte Huye Nahi Paaengey Chaahey Woh Unke Baap Ya Unke Bete Ya Unke Bhaai Ya Unke Kumbey Qabeeley Ke Azeez Hi Kyun Na Ho.” [Al-Mujaadalah : 22]

Allaah Ta'aalaa Ne Bani Israail Ki Tanqeed Karte Huye Farmaaya: “Un Mein Se Bohat Se Logon Ko Aap Dekhengey Ke Woh Kaafiron Se Dostiyaan Karte Hain Jo Kuch Unho Ne Apne Liye Aagey Bhej Rakha Hai Woh Bohat Buraa Hai Ke Allaah Unse Naaraaz Hua Woh Hamesha Jahannam Mein Rahengey.” (5:80)

“Agar Unhein Allaah Par Nabi Par Aur Jo Naazil Kiya Gaya Hai (Ya’ni Qur-aan Par) Eemaan Hota Tou Yeh Kuffaar Se Dostiyaan Na Karte Lekin Un Mein Ke Aksar Log Faasiq Hai.” (5:81)

3. JIN KE SAATH KAHIN MUHABBAT AUR KAHIN BUGHZ (Nafrat) RAKHA JAATA HAI:

Inke Saath Muhabbat Aur Bughz Ek Saath Kiye Jaate Hain, Aur Yeh Log Hai Naafarmaan Ahle Eemaan. In Mein Eemaan Ki Miqdaar (Quantity) Ke Hisaab Se Unse Muhabbat Ki Jaati Hai. Aur Jis Qadar Ma'siyat (Naafarmaani) Paayi Jaati Hai Jo Kufr Wa Shirk Ke Darjey Ko Nahi Pohanchti, Is Qadar Bughz Rakha Jaata Hai.

Muhabbat Ka Taqaaza Yeh Hai Ke Unko Naseehat Kee Jaaye Aur Buraayi Par Nakeer Kee Jaaye (Ya'ni Roka Jaaye Ya Unka Inkaar Kare).

Unki Naafarmaani Aur Gunaahon Par Sukoot Aur Khamoshi Jaaez Nahi Balke Yahaan Amr Bil-Ma'roof Aur Nahi Anil-Munkar (Ya'ni Bhalaayi Ka Hukm Dena Aur Buraayi Se Rokne) Ka Fareeza Anjaam Diya Jaaye.

Aur Unko Hudood (Allaah Ne Jo Haddein (limits) Muqarrar Kee Hai Usse) Aur Ta'zeeraat Se Mustasnaa (Chhoote Huye/exceptional) Na Samjha Jaaye Taaki Naafarmaani Ko Chhord Dein Aur Buraaiyon Se Taubah Karein.

Lekin Unse Aisa Khaalis Bughz Bhi Na Rakha Jaaye Ke Unse Bezaari Ka Izhaar Kardein. Jaisa Ke Shirk Se Kamtarr Kabeera Gunaahon Ke Murtakib Ke Baarey Mein Khawaarij Ka Ravayya Hai.

Aur Na Hi Muhabbat Bina Qaid Aur Shart Ho Jaisa Ke Murji'ah Kehte Hain Balke In Logon Ke Muta'lliq Miyaana Ravee (Etedaal/Darmiyaani Raasta) Apnaaye Jaisa Ke Oopar Zikr Hua Aur Yahi Ahle Sunnat Wal Jamaat Ka Tareeqa Hai.


Allaah Ke Waaste Muhabbat Aur Usi Ke Liye Bughz Eemaan Ka Mazboot Tareen Darjah (Aur Zanjeer) Hai. Aur Qiyaamat Ke Din Aadmi Apne Dunyavi Mehboob Ke Saath Hi Hoga Jaisa Ke Hadees Mein Hai. Ya'ni "Jis Se Dunya Mein Muhabbat Kee Hogi Usi Ke Saath Hoga." [Saheeh Al-Bukhaari : 6168]

Haalaat Badal Chukey Hain, Aur Ab Aksar Log Ke Ta'lluqaat, Muhabbat Aur Dosti Aur Nafrat Wa Dushmani Dunyavi Maqaasid Ke Pesh Nazar Hain.

Pas Jis Se Dunyavi Tama' Ho Muhabbat Kee Jaati Hai Aur Raabtey Rakhey Jaate Hain Agarche Woh Allaah Aur Uske Rasool Ka Dushmani Aur Deen-e-Islaam Ka Beri Hai.

Aur Jis Se Koi Dunyavi Faaedah Na Ho Usse Dushmani Kee Jaati Hai Aur Mukhaalifat Kee Jaati Hai Agarchey Woh Allaah Aur Uske Rasool Ka Dost Hi Kyun Na Ho. Koi Mamooli Wajah Hi Kyun Na Ho Tou Us Par Bhi Usey Tang Kiya Jaata Hai.

Abdullaah Bin Abbaas (رضي الله عنه) Kehte Hain: "Jis Shakhs Ne Allaah Ke Liye Muhabbat Kee Aur Allaah Hi Ke Liye Bughz (Nafrat) Rakha Aur Allaah Hi Ke Waaste Dushmani Tou Woh Is Amal Ki Wajah Se Allaah Ka Wali (Dost) Ho Jaayega.

Jabke Logon Ka Bhaai Chaara Sirf Dunyavi Maqaasid Ke Liye Rehgaya Hai Jis Ka Unhein Koi Faaedah Nahi Hoga.” [Ibn Jareer At-Tabari Fee Tafseer]

Abu Hurairah Se Marvi Hai Ke Rasool Allaah (ﷺ) Ne Farmaaya: "Jis Ne Mere Wali Wa Dost Se Dushmani Kee Tou Main Ne Uske Khilaaf Elaan Jung Kiya." [Saheeh Al-Bukhaari]

Sab Se Shadeed Allaah Ke Khilaaf Jung Karne Waala Woh Shakhs Hai Jo Rasool Allaah Ke Sahaabah Se Dushmani Kare Ya Unhein Gaaliyaan Dey Ya Unki Tanqees Kare.

SOURCE: [Al-Walaa Wal-Baraa Fil Islaam, Taaleef : Saalih Al-Fawzaan]

Muharrir (writer): « Abu Zaahid Hafizahullah »
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Tawheed 0

Similar threads


Top