SHADI KELIYE MONAASIB UMAR


SHADI KELIYE MONAASIB UMAR
Fatwaa : SHAIKH IBN BAAZ rahimaullah(Formar Grand Mufti of KSA)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAL:
Aurton aur mardon ke liye shadi ki mozo umar kitni hai? Kionke baaz ladkiyan apne se barri umar ke logon se shadi nahi kartin, isi tarha baaz nojawan apne se badi umar ki aurton se shadi nahi karte, jawab se aagah farmaen. Jazakumollaho khaira.

JAWAB:
Nojawan ladkiyon ko meri naseehat hai ke woh is binaa par mard ko mustard nah karen ke woh un se das bees saal ya tees saal bada hai, yeh koi maqool uzr nahi hai. RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne Syidah Ayishah raziallahu-anha se shadi farmai to is waqt AAP sallallahu alaihi wasallam ki Umar terappan(53) baras thi jabkay Syidah Ayishah raziallahu-anha abhi nao(9) baras ki umar ko pahonch payi theen. Badi umar nuqsaan dah nahi hai. Mard ka aurat se bada hona ya aurat ka mard se bada hona chandaan qabil harj nahi hai. Nuzool-e-wahi se qabl RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne Sayida Khadija raziallahu-anha se shadi farmai to is waqt un ki umar chalees(40) baras thi jabkay AAP sallallahu alaihi wasallam ki umar pachees baras thi yani Khadija raziallahu-anha RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam se pandrah(15) baras badi theen. Woh log jo radio aur television waghera par guftagu kar ke logon ko shadi ke waqt umar ke tafawut se nafrat dilaya karte hain to yeh sab kuch ghalat hai, inhen aisi baton se parhaiz karna chahiye.

Shadi ke baray mein jo kuch zaroori hai woh yeh hai ke aurat naik aur apne liye mozoon khawand ka intikhab kere aur agar woh umar mein is se bada ho to bhi shadi ke liye amaada ho jana chahiye. Yahi hukum mard ka hai ke woh naik, pakbaaz aur munasib biwi talaash kere aur aisa rishta muyassar aa jane par umar ke farq ko bahana bana kar shadi se guraiz nah kere. Haan yeh zaroori hai ke dono fareeq jawan hon aur bachay paida karne ki umar mein hon. Mukhtasar yeh ke umar ko bahana nahi banana chahiye, agar mard ya aurat naik hon to umar mein tafawut ko aib nahi samjhna chahiye. ALLAH TA'ALA tamam musalmanoon ke halaat ki islaah farmaiye. AAMEEEN
 

Similar threads


Top