Moatta Imam Malik Me 11 Rakat ki HADEES par Imam Ibne Abdul Barr Rahimaullah ke qaul ka mudallal jawab


Abdul Adil

Member
Moatta Imam Malik Me 11 Rakat ki HADEES par Imam Ibne Abdul Barr Rahimaullah ke qaul ka mudallal jawab

Imam Ibne Abdul Barr Rahimaullah Farmate hai


هكذا قال مالك في هذا الحديث إحدى عشرة ركعة ) وغير مالك يخالفه فيقول في موضع إحدى عشرة ركعة ( إحدى وعشرين ) ولا أعلم أحدا قال في هذا الحديث إحدى عشرة ركعة غير مالك والله أعلم



Ki Imam Malik Rahimaullah ne 11 Rakaat riwayat nakal kiya hai jabki Imam Malik Rahimaullah ke alawa doosre raawi ne 11 rakat ke bajaye 21 rakat riwayat nakal karte hai aur mujhe ek bhi raawi aisa nahi maloom jisne riwayat me 11 rakat nakal kiya ho

[[ AL ISTEZKAAR JILD 5 SAFA 154 ]]



Arz hai ki Imam Ibne Abdul Barr Rahimaullah ki bat bahut hi azeeb o gareeb hai kyunki


1] Imam Ibne Abdul Barr Rahimaullah ne 21 ki tadad par jis Riwayat par etemaad karke Imam Malik Rahimaullah ki tagleet ki hai wo Sahih Nahi Hai Kama Mazaa

2] Imam Ibne Abdul Barr Rahimaullah ne jo ye kaha ki


“Mujhe ek bhi raawi aisa nahi maloom jisne is riwayat me 11 rakat nakal kiya ho”

Ye bajaye khud bahut badi galati hai Kyunki Imam Malik Rahimaullah ke alawa bhi bahut sare raawi ne isi riwayat ko bayan karte huye 11 rakat ki tadad nakal ki hai.

Isliye Imam Ibne Abdul Barr Rahimaullah ki is bat ka bharpoor radd karte huye Imam Zarqani Rahimaullah ne kaha


وَقَوْلُهُ: إِنَّ مَالِكًا انْفَرَدَ بِهِ لَيْسَ كَمَا قَالَ فَقَدْ رَوَاهُ سَعِيدُ بْنُ مَنْصُورٍ مِنْ وَجْهٍ آخَرَ عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ فَقَالَ: إِحْدَى عَشْرَةَ كَمَا قَالَ مَالِكٌ


Ki Ibne Abdul Barr Rahimaullah ka ye kahna ki sirf Imam Malik Rahimaullah ne ye riwayat bayan karte huye 11 ki tadad nakal ki hai durust nahi, kyunki Sa’eed bin mansoor ne ek doosre tareeq (Abdul Azeem bin Mubammadi Bin Ubaid Addarawardi) se Muhammad bin Yousuf se nakal kiya aur is raawi ne bhi Imam Malik ki tarah 11 rakat ki tadad nakal ki hai

[[SHARAH AL ZARQANI ALAA MU’ATTA JILD 1 SAFA 215]]


Imam Subkee Rahimaullah ne bhi Imam Ibne Abdul Barr Rahimaullah par radd karte huye farmate hai


وَكَأَنَّهُ لَمْ يَقِفْ عَلَى مُصَنَّفِ سَعِيدِ بْنِ مَنْصُورٍ فِي ذَلِكَ فَإِنَّهُ رَوَاهَا كَمَا رَوَاهَا مالك عَنْ عَبْدِ الْعَزِيزِ بْنِ مُحَمَّدٍ، عَنْ محمد بن يوسف شَيْخِ مالك


Ki Lagta hai Ibne Abdul Barr Rahimaullah Sa’eed Bin Mansoor Rahimaullah ki KITAB se waaqif nahi huye kyunki is kitab me bhi IMAM Malik Rahimaullah hi ke riwayat ke mutabik , Imam Malik Rahimaullah ke shaikh Muhammad Bin Yousuf Rahimaullah se Abdul Azeez bin Muhammad ne riwayat kiya hai

[[ALHAAWI LIL FATAWEE JILD 1 SAFA 350]]


Hanafiyon ke NEEMWI Hanafi Rahimahullah bhi Farmate hai


مَا قاله بن عَبْدِ الْبَرِّ مِنْ وَهَمِ مَالِكٍ فَغَلَطٌ جِدًّا لِأَنَّ مَالِكًا قَدْ تَابَعَهُ عَبْدُ الْعَزِيزِ بْنُ مُحَمَّدٍ عِنْدَ سَعِيدِ بْنِ مَنْصُورٍ فِي سُنَنِهِ وَيَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ الْقَطَّانُ عِنْدَ أَبِي بَكْرِ بْنِ أَبِي شَيْبَةَ فِي مُصَنَّفِهِ كِلَاهُمَا عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ وَقَالَا إِحْدَى عَشْرَةَ كَمَا رَوَاهُ مَالِكٌ عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ ، وَأَخْرَجَ مُحَمَّدُ بْنُ نَصْرٍ الْمَرْوَزِيُّ فِي قِيَامِ اللَّيْلِ مِنْ طَرِيقِ مُحَمَّدِ بْنِ إِسْحَاقَ حَدَّثَنِي مُحَمَّدُ بْنُ يُوسُفَ عَنْ جَدِّهِ السَّائِبِ بْنِ يَزِيدَ قَالَ كُنَّا نُصَلِّي فِي زَمَنِ عُمَرَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ فِي رَمَضَانَ ثَلَاثَ عَشْرَةَ رَكْعَةً ، انتھی هَذَا قَرِيبٌ مِمَّا رَوَاهُ مَالِكٌ عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ يُوسُفَ أَيْ مَعَ الرَّكْعَتَيْنِ بَعْدَ الْعِشَاء


Ki Ibne Abdul Barr Rahimaullah ne Imam Malik Rahimaullah ke wahem se mutalliq jo bat kahi hai wo bahut hi galat hai. Kyunki Imam Malik Rahimaullah ki mutabiat Abdul Azeem Bin Muhammad ne ki hai jaisa ki Sunan Saeed bin Mansoor me hai aur Yahya Bin Saeed Al Qattan Rahimaullah ne bhi Imam Malik Rahimaullah ki mutabiat ki hai Jaisa Ki Musannaf Ibne Abi Shaibah me hai , Chunancha Abdul Azeem Bin Muhammad Aur Yahya Bin Saeed Al Qattan In dono Imamo ne (Imam Malik Rahimaullah ke shaikh) Muhammad Bin Yousuf Se yahi riwayat nakal ki hai jis tarah se Imam Malik Rahimaullah ne nakal kiya hai , Nez Imam Marauzi Rahimaullah ne bhi Qayam ul lail me Muhammad Bin Ishaak ke tareeq se Riwayat kiya hai

"Unhone Kaha mujhse Muhammad Bin Yousuf Ne Bayan kiya Unhone Sayib Bin Yazeed Razi Allahu Anhu se naqal kiya ki unhone kaha Umar Farookh Razi Allahu Anhu ke daur me 11 rakat padhte the , ye riwayat bhi Taqreeban Imam Malik Rahimaullah ki Muhammad Bin Yousuf Rahimaullah se nakal kardah Riwayat hi ki tarah hai . Baaen Taur ki is riwayat me Isha'a ke baad ki 2 Sunnat rakat bhi Shumar ki gayi hai


[[ AASAR US SUNAN SAFA 201 ]]


ALLAH TA'ALA HAM SABKO HAQ SAMJHNE WA KABOOL KARNE KI TAUFEEQ ATA FARMAYE AMEEN YA RABBUL ALAMEEN
 

Top