ALLAAH KI NAAFARMAANI KARNE KE LIYE KISI KO AAZAADI NAHIN DEE JAAYEGI


ALLAAH KI NAAFARMAANI KARNE KE LIYE KISI KO AAZAADI NAHIN DEE JAAYEGI

بسم الله الرحمن الرحيم

• Ma'bood e Barhaqq ka farmaan hai:

أَفَغَیۡرَ دِینِ ٱللَّهِ یَبۡغُونَ وَلَهُۥۤ أَسۡلَمَ مَن فِی ٱلسَّمَـٰوَ ٰ⁠تِ وَٱلۡأَرۡضِ طَوۡعࣰا وَكَرۡهࣰا وَإِلَیۡهِ یُرۡجَعُونَ

"Kya woh log Allaah ke Deen ke siwa koi aur Deen chaahte hain? Haalaanke aasmaanon aur zameen mein jo koi bhi hai woh chaahte hue aur na chaahte hue bhi Allaah ka Farmaabardaar hai aur Usi ki taraf sab ko laut kar jaana hai."
[1]

☆ TAFSEER IBN KASEER ☆

يَقُولُ تَعَالَى مُنْكِرًا عَلَى مَنْ أَرَادَ دِينًا سِوَى دِينِ اللَّهِ الَّذِي أَنْزَلَ بِهِ كُتَبَهُ، وأرسل به رسله، وَهُوَ عِبَادَةُ اللَّهِ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ، الَّذِي لَهُ أَسْلَمَ مَنْ فِي السَّماواتِ وَالْأَرْضِ أَيِ اسْتَسْلَمَ لَهُ مِنْ فِيهِمَا طَوْعًا وَكَرْهًا، كَمَا قَالَ تَعَالَى: وَلِلَّهِ يَسْجُدُ مَنْ فِي السَّماواتِ وَالْأَرْضِ طَوْعاً وَكَرْهاً [الرَّعْدِ: ١٥] وَقَالَ تَعَالَى: أَوَلَمْ يَرَوْا إِلى مَا خَلَقَ اللَّهُ مِنْ شَيْءٍ يَتَفَيَّؤُا ظِلالُهُ عَنِ الْيَمِينِ وَالشَّمائِلِ سُجَّداً لِلَّهِ وَهُمْ داخِرُونَ وَلِلَّهِ يَسْجُدُ مَا فِي السَّماواتِ وَما فِي الْأَرْضِ مِنْ دابَّةٍ وَالْمَلائِكَةُ وَهُمْ لَا يَسْتَكْبِرُونَ يَخافُونَ رَبَّهُمْ مِنْ فَوْقِهِمْ وَيَفْعَلُونَ مَا يُؤْمَرُونَ [النَّحْلِ: ٤٨- ٥٠] فَالْمُؤْمِنُ مُسْتَسْلِمٌ بِقَلْبِهِ وَقَالَبِهِ لِلَّهِ، وَالْكَافِرُ مُسْتَسْلِمٌ لِلَّهِ كَرْهَا، فَإِنَّهُ تَحْتَ التَّسْخِيرِ وَالْقَهْرِ وَالسُّلْطَانِ الْعَظِيمِ الَّذِي لَا يُخَالِفُ وَلَا يُمَانِعُ.

وَقَدْ وَرَدَ فِي الصَّحِيحِ «عَجِبَ رَبُّكَ مِنْ قَوْمٍ يُقَادُونَ إِلَى الْجَنَّةِ فِي السَّلَاسِلِ» وَسَيَأْتِي لَهُ شَاهِدٌ مِنْ وَجْهٍ آخَرَ، وَلَكِنَّ الْمَعْنَى الْأَوَّلَ لِلْآيَةِ أَقْوَى.

وَقَدْ قَالَ وَكِيعٌ فِي تَفْسِيرِهِ، حَدَّثَنَا سُفْيَانُ عَنْ مَنْصُورٍ، عَنْ مُجَاهِدٍ وَلَهُ أَسْلَمَ مَنْ فِي السَّماواتِ وَالْأَرْضِ طَوْعاً وَكَرْهاً [الزمر: ٢٥] قَالَ: هُوَ كَقَوْلِهِ وَلَئِنْ سَأَلْتَهُمْ مَنْ خَلَقَ السَّماواتِ وَالْأَرْضَ لَيَقُولُنَّ اللَّهُ [لُقْمَانَ: ٢٥] وَقَالَ أَيْضًا: حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنِ الْأَعْمَشِ، عَنْ مُجَاهِدٍ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ وَلَهُ أَسْلَمَ مَنْ فِي السَّماواتِ وَالْأَرْضِ طَوْعاً وَكَرْهاً قَالَ: حِينَ أَخَذَ الْمِيثَاقَ. وَإِلَيْهِ يُرْجَعُونَ أَيْ يَوْمَ الْمَعَادِ فَيُجَازِي كُلًّا بِعَمَلِهِ


• Allaah (تعالى) un logon ki tardeed (radd wa inkaar) karte hue farmaata hai jo Uske Deen ke siwa kisi aur Deen ke talabgaar ho jiske saath Usne apni Kitaabon ko naazil farmaaya aur apne Rasoolon ko bheja aur woh Deen ye hai ke sirf aur sirf Allaah Wahdahu Laa Shareek ki ibaadat kee jaaye kyunke Uski Zaat e Giraami toh woh hai (ke): "Sab Ahl e Aasmaan wa Zameen Usi ke Farmaabardaar hain."


• Jo kuch bhi Aasmaanon aur Zameen mein hai woh "Chaahte hue aur na chaahte hue bhi" Usi Allaah ka Farmaabardaar hai jaisa ke Allaah (تعالى) ne farmaaya hai: "Aur jitni makhlooqaat aasmaanon aur zameen mein hain khushi se Ya zabardasti se Allaah ke aage Sajdah karti hai." [2]

• Aur farmaaya: "Kya un logon ne Allaah ki makhlooqaat mein se aisi cheezein nahin dekhi jinke saaye daayein (se baayein ko) aur baayein atraaf (se daayein ko) laut'te rehte hain (Ya'ni) Allaah ke aage 'aajiz hokar Sajdey mein padhe rehte hain. Aur tamaam jaandaar jo aasmaanon mein hain aur jo zameen mein hain sab Allaah ke aage Sajdah karte hain aur Farishte bhi aur woh zara ghuroor nahin karte. Woh apne oopar apne Parwardigaar se darte hain aur jo unko irshaad hota hai uspar amal karte hain." [3]

• Mu'min toh apne Qalb wa Qaalib se Allaah (تعالى) ka Farmaabardaar hai magar KAAFIR zabardasti Allaah ke Hukm ka paaband hai ke woh Uski Taskheer (Qabze), Uske Ghalbe aur Uski 'Azeem Baadshaahat ke taabe' (Farmaabardaar) hai Jiski qat'an (hargiz) khilaaf warzi aur Hukm 'adooli (Naafarmaani) nahin kee jaa sakti.

• Nabi Al-Malhamah (ﷺ) ne farmaaya: "Aisey logon par Allaah ko ta'jjub hoga, jo Jannat mein bediyon (Ya'ni zanjeeron) sameyt daakhil honge." (Ya'ni Musalmaanon ne Kaafiron ko pakard kar bediyon (zanjeeron) mein Qaid kar diya phir woh Musalmaan ho gaye toh Allaah (تعالیٰ) un ko Islaam ki wajah se Jannat mein daakhil kardega toh Allaah (تعالیٰ) aisey logo par ta'jjub karega ke ye log apne Kufr ki wajah se Paabah Zanjeer (Ya'ni bebas aur majboor) hue aur Islaam laakar Jannat mein daakhil ho gaye) [4]

• Imaam Wakee' ne apni tafseer mein Mujaahid (Rahimahullaah) se "Haalaanke aasmaanon aur zameen mein jo koi bhi hai woh chaahte hue aur na chaahte hue bhi Allaah ka Farmaabardaar hai" (is aayat) ke baare mein riwaayat kiya hai ke ye Aayat isi tarah hai jis tarah ye hai: "Aur agar aap unse poochein ke aasmaanon aur zameen ko kisne paida kiya? Toh woh zaroor kahenge ke Allaah ne." [5]

• Aur Ibn 'Abbaas (Raziyallaahu 'Anhumaa) se is aayat ke baare mein marwi hai ke ye us waqt ki baat hai jab Allaah (تعالى) ne ahad wa paimaan (Meesaaq) liya tha. [6]

• "Aur Usi ki taraf sab ko laut kar jaana hai." (Ya'ni) Qiyaamat ke din (sabko) Usi ki taraf lautkar jaana hai, phir Woh har ek ko uske Amal ke mutaabiq jaza dega.

ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ)

_____________

References:


[1] Soorah No. 3, Aal 'Imraan, Aayah: 83.

[2] Soorah No. 13, Al-Ra'd, Aayah: 15.

[3] Soorah No. 16, Al-Nahl, Aayaat: 48-50.

[4] Saheeh Al-Bukhaari: 3010.

[5] Soorah No. 31, Luqmaan, Aayah: 25.

[6] Tafseer Al-Tabari.
 

Similar threads


Top