ALLAAH NE HUMEIN KISLIYE PAIDA KIYA?


ALLAAH NE HUMEIN KISLIYE PAIDA KIYA?

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Aqalmand Mumineen ka yeh Aqeedah Hota hai ke Allaah ne jo bhi cheezein paida kee hai woh sab aisey hi bey maqsad nahi hai balke unke peechey kuch khaas maqsad hai kuch Hikmat hai.

Allaah ta'aalā ne farmaaya:

اِنَّ فِیۡ خَلۡقِ السَّمٰوٰتِ وَ الۡاَرۡضِ وَ اخۡتِلَافِ الَّیۡلِ وَ النَّہَارِ لَاٰیٰتٍ لِّاُولِی الۡاَلۡبَاب

"Beshak Aasmaano aur Zameen ki paidaaish mein aur Raat aur Din ke baari baari aaney jaane mein aqalmando ke liye Nishaniyaan hai."
(190)

الَّذِیۡنَ یَذۡکُرُوۡنَ اللّٰہَ قِیٰمًا وَّ قُعُوۡدًا وَّ عَلٰی جُنُوۡبِہِمۡ وَ یَتَفَکَّرُوۡنَ فِیۡ خَلۡقِ السَّمٰوٰتِ وَ الۡاَرۡضِ ۚ رَبَّنَا مَا خَلَقۡتَ ہٰذَا بَاطِلًا ۚ سُبۡحٰنَکَ فَقِنَا عَذَابَ النَّارِ.

"Jo uthte baithte aur letey huye (har haal mein) Allaah ko yaad karte hain, aur Aasmaano aur Zameen ki takhleeq par ghaur karte hain, (aur un sab ko dekhkar bol uthtey hain ke) Aye hamaare parwardigaar ! aap ne yeh sab kuch bey maqsad (yunhi bekaar mein) paida nahi kiya, aap (aisey fuzool kaam se) paak hain. Pas humein dozakh ke Azaab se bacha leejiye."


[Sūrah Aal ‘Imraan 3: 190, 191]

Aur farmaaya:

وَ مَا خَلَقۡنَا السَّمَآءَ وَ الۡاَرۡضَ وَ مَا بَیۡنَہُمَا لٰعِبِیۡنَ


"Hum ne Aasmaano aur Zameen ko aur jo kuch usme hai un sab ko (sirf) khel ke liye nahi banaaya."

[Al-Anbiya’ 21:16]


Aur farmaaya:

وَ ہُوَ الَّذِیۡ خَلَقَ السَّمٰوٰتِ وَ الۡاَرۡضَ فِیۡ سِتَّۃِ اَیَّامٍ وَّ کَانَ عَرۡشُہٗ عَلَی الۡمَآءِ لِیَبۡلُوَکُمۡ اَیُّکُمۡ اَحۡسَنُ عَمَلًا

"Allaah hi woh hai jis ne Aasmaano aur Zameen ko chhey din mein paida kiya aur Uska Arsh paani par tha,taake woh tumhe aazmaaye ke tum mein se achhe Amal waala kaun hai.."

[Sūrah Hood : 7]

Jab Allaah ta'aalā ne Aasmaano aur Zameen ko aur jo kuch usme hai unko bina maqsad ke paida nahi kiya tou phir Insaano ko kaise bina kisi maqsad ke paida karsakta hai ?


Allaah ta'aalā ne farmaaya:

اَفَحَسِبۡتُمۡ اَنَّمَا خَلَقۡنٰکُمۡ عَبَثًا وَّ اَنَّکُمۡ اِلَیۡنَا لَا تُرۡجَعُوۡنَ

"Kya tum yeh samajhte ho ke hum ne tumhe yunhi bekaar mein paida kiya hai ? Aur yeh ke tum hamaari taraf lautaaye na jaaogey ?"

[Sūrah Al-Muminūn : 115]

Kya hamaari paidaaish ka bhi koi maqsad hai ? Allaah ta'aalā maqsad bataate huye farmaata hai:

وَ مَا خَلَقۡتُ الۡجِنَّ وَ الۡاِنۡسَ اِلَّا لِیَعۡبُدُوۡنِ

"Hum ne jinnon aur insaano ko sirf aur sirf isliye paida kiya taake woh (meri hi) ibaadat karein."


[Sūrah Az-Zaariaat, 51:56]

Aur farmaaya:

الَّذِیۡ خَلَقَ الۡمَوۡتَ وَ الۡحَیٰوۃَ لِیَبۡلُوَکُمۡ اَیُّکُمۡ اَحۡسَنُ عَمَلًا

“Jis ne maut aur hayaat ko isliye paida kiya taake tumhe aazmaaye ke tum mein se kaun achhe kaam karta hai..”


[Sūrah Al-Mulk, 67:2]

Allaah ta'aalā ne humein sirf khaane, peene aur dunya kamaane ke liye nahi paida kiya balke hamaari paidaaish mein ek khaas maqsad hai aur woh hai Allaah akele ki ibaadat karna.

Darasal yeh kuffaar hi hai jo samajhte hain ke Allaah ne in sab cheezon ko, Insaanon aur Jinnon ko bina kisi maqsad ke paida kiya hai. Jaisa ke Allaah Ta'aalā ne farmaaya:

وَ مَا خَلَقۡنَا السَّمَآءَ وَ الۡاَرۡضَ وَ مَا بَیۡنَہُمَا بَاطِلًا ؕ ذٰلِکَ ظَنُّ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا ۚ فَوَیۡلٌ لِّلَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا مِنَ النَّارِ

"Aur hum ne Aasmaan wa Zameen aur unke darmiyaan ki cheezon ko bey maqsad paida nahi kiya, yeh gumaan (ke Allaah ne bina maqsad ke paida kiya) kaafiron ka hai. Pas kaafiron ke liye aag ki kharaabi hai."

[Sūrah Saad, 38:27]

Kuffār Allaah ta'aalā ki takhleeq (creation) ki hikmat aur maqsad ka inkaar karte hain, woh bas dunya ki khushnudi chaahte hain.Aisey logon ki Zindagi jaanvaron ki tarah hai balke unse bhi zyaada badtar aur gumraah.

Allaah ta'aalā ne kaha:

وَ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا یَتَمَتَّعُوۡنَ وَ یَاۡکُلُوۡنَ کَمَا تَاۡکُلُ الۡاَنۡعَامُ وَ النَّارُ مَثۡوًی لَّہُم

"..Aur jo log Kaafir huye woh (dunya hi ka) faaedah uthaa rahey hain aur chaupaao ki tarah khaa rahey hain unka asal thikaana Jahannam hai."


[Sūrah Muhammad, 47:12]

Tehreer : «Abu Zaahid Hafizahullah»
 
Top