|| ALLAH KAHAN HAI ? ||


|| ALLAH KAHAN HAI ? ||

بسم الله والحمد لله والصلاة والسلام على رسول الله، وبعد​

Note: Zyadatar Notes Shaykh Abu Zaid Zameer ke Dars se liye gae hai.

Hum Ahle hadis ka Aqida hai ke:
Allah apne Arsh Par Mustawi Hua, Bager Kaifiyat, Bager Tawil Ke, Istawa Maqool Hai aur Kaifiyat Majhool Hai, Aur Beshak Wo apne Arsh Par Mustawi Hai.

Allah Apni Makhlook se juda hai aur Makhlooq usse juda hai, Bager Hulool ke.

Wo Makhlooq ki Mushabihat se paak he.

Hum Is akidey par 4 Daliley denge hai:
Quraan
Sunnat
Sahaba
Faham e Salaf
Jesa Ki Hazrat Peerane Peer Abdul Qadir Jeelaani Rahimahullah farmaate hai:
Hum Quran aur sunnat se bahar nahi jate, Ayaat wa Hadis ko padh kar Imaan laate hai, aur Sifaat ki kaifiyat wa Mahiyat ko Isi Allah ke supurd karte hai.
-[ Guniyat-ut-Talibeen – Page Number 160. Baad-09 (Allah ka taruf)].

Index :
Sifaat ke baab mai kitab wa sunnat ki taraf ruju karna.
Allah ke arsh par istawa hone ki aayaat.
Allah ta-ala aasman mai hai yani aasman ke upar hai.
Quraan karim se dalael.
Sunnat e mutahrah se dalael.
Sahaba ka aqeedah.
Sifaat ke baab mai kitab wa sunnat ki taraf ruju karna
1.1) Allah ta-ala ne farmaya:
فَلَا تَضْرِبُوا لِلَّهِ الْأَمْثَالَ ۚ إِنَّ اللَّهَ يَعْلَمُ وَأَنتُمْ لَا تَعْلَمُونَ​
Pas tum log allah ke liye misalen na bayan kro be shak allah janta hai aur tum log (kuch bhi) nahi jante ho.
-[Surah nahal 74]

1.2) Allah ke rasool s.a.w ne farmaya:
إِنَّ أَتْقَاكُمْ وَأَعْلَمَكُمْ بِاللَّهِ أَنَا​
Tum mai sab se ziyada allah ta-ala se darne wala aur is ke bare ai ilm rakhne wala mai hi hu.
[Bukhari: kitab al imaan : 20] raviya aayesha
[Sahih al Jame 1533]

1.3) Allah ta-ala ne famaya :
فَإِنْ آمَنُوا بِمِثْلِ مَا آمَنتُم بِهِ فَقَدِ اهْتَدَوا​
Agar wo tum jaisa imaan laien to hidayat paayen….
-[Surah al Baqrah : 137]

Upar diye dalaail se hame samaj ata hai ki, Allah ke taluk se hame kuch bhi apni taraf se nahi kehna chaiye.
Wo baatey jo quran hadis aur faham e Salaf se sabit hai unhi baato pe Imaan rakhna hai.

Hum Ahle Hadis Quraan, Sunnat se bahar nahi jaate, Ayaat va hadis ko padh kar Imaan laate hai, aur Sifaat ki kaifiyat va Mahiyat ko isi Allah ke supurd karte hai.
Allah ke arsh par istawa hone ki aayaat
2.1) Allah ta-ala ne farmaya:
الرَّحْمَٰنُ عَلَى الْعَرْشِ اسْتَوَىٰ​
Wo nihayat meherban arsh par mustavi hai.
-[Surah taha : 5]

2.2) Allah ta-ala ne farmaya:
ثُمَّ اسْتَوَىٰ عَلَى الْعَرْشِ​
Phir arsh par mustavi ho gaya.
[Surah al aaraf : 54, Surah yunus: 3, Surah ra-ad: 2, Surah al furqan : 59, Surah al sajdah: 4, Surah al hadid : 4.]
Allah ta-ala aasman mai hai yani aasman ke upar hai.
3.1) Lugat mai aasman
Har chiz is ke upar aasman hai.
[Lisan al arab: sama]

Zajjaj farmate hain:
Lugat mai sama kaha jata hai har chiz se uncha aur upar jaise sama yasmaoo [lisan al arab : sama]
Quraan e karim se dalael.
4.1) Allah ta-ala ne farmaya:
أَأَمِنتُم مَّن فِي السَّمَاءِ أَن يَخْسِفَ بِكُمُ الْأَرْضَ فَإِذَا هِيَ تَمُورُ
أَمْ أَمِنتُم مَّن فِي السَّمَاءِ أَن يُرْسِلَ عَلَيْكُمْ حَاصِبًا ۖ فَسَتَعْلَمُونَ كَيْفَ نَذِيرِ​
Kiya tum us zaat ki taraf se mutmain ho gaye ho jo aasman mai hai keh wo tmhe zameen mai dhansa de phir wo yakbaar lazarne lage,
ya tum us ki taraf se mutmain ho gaye ho jo aasman mai hai keh wo tum par patharon aur kankaron se bhari aandhibhej de, tab tumhe malum ho jaye ga keh mera darana kaisa hota hai.
-[Surah al mulk 16-17]

Ibn abbas r.a farmate hain: kiya tum is ke azab se be khouf ho gaye jo aasman mai hai keh tum is ki nafarmani kro ge.
[Tafseer al qurtabi: Al mulk]

4.2) Musa a.s ki dawat ke Allah aasman mai hai.
Allah ta-ala ne farmaya:
وَقَالَ فِرْعَوْنُ يَا هَامَانُ ابْنِ لِي صَرْحًا لَّعَلِّي أَبْلُغُ الْأَسْبَابَ
أَسْبَابَ السَّمَاوَاتِ فَأَطَّلِعَ إِلَىٰ إِلَٰهِ مُوسَىٰ وَإِنِّي لَأَظُنُّهُ كَاذِبًا​
Aur firaun ne kaha aey haman mere liye ek uncha mahal banao shaed keh mai in raston tak pohach jaon jo aasmano ke raste hai takeh musa ke mabood ko dekh saku aur mujhe to yaqin hai ke wo jhoota hai.
[Al momin 36-37]

Ibn jarir al tabri ramullah farmate hain:
Aur mera guman hai ke musa jhoot bolte hain jaisa keh wo kehte hai aur dawa karte hain aasman mai in ka rabb hai jis ne in ko rasool bana kar hamari taraf bheja hai.
[tafseer al tabri]
Sunnat e Mutahrah se Dalael
5.1) Hadees Al Jariya
وَكَانَتْ لِي جَارِيَةٌ تَرْعَى غَنَمًا لِي قِبَلَ أُحُدٍ وَالْجَوَّانِيَّةِ، فَاطَّلَعْتُ ذَاتَ يَوْمٍ فَإِذَا الذِّيبُ قَدْ ذَهَبَ بِشَاةٍ مِنْ غَنَمِهَا، وَأَنَا رَجُلٌ مِنْ بَنِي آدَمَ، آسَفُ كَمَا يَأْسَفُونَ، لَكِنِّي صَكَكْتُهَا صَكَّةً، فَأَتَيْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَعَظَّمَ ذَلِكَ عَلَيَّ، قُلْتُ: يَا رَسُولَ اللهِ أَفَلَا أُعْتِقُهَا؟ قَالَ: «ائْتِنِي بِهَا» فَأَتَيْتُهُ بِهَا، فَقَالَ لَهَا: «أَيْنَ اللهُ؟» قَالَتْ: فِي السَّمَاءِ، قَالَ: «مَنْ أَنَا؟» قَالَتْ: أَنْتَ رَسُولُ اللهِ، قَالَ: أَعْتِقْهَا، فَإِنَّهَا مُؤْمِنَةٌ
[مسلم : كتاب المساجد ومواضع الصلاة 836 ]​
Mawiya bin hukam al salma r.a farmate hain:
Meri ek bandi (londi) thi jo meri bakriyon ko ahad aur jawaniya maqam ke qarib charaya karti thi ek din mujh ko itallah mili k eek bhaidye ne bakriyon mai se ek bakri ko le gaya , aur mai adam ki aulad mai se hu, afsos karne laga jaisa ke wo afsos karte. Mai ne is (bandi) ko zor se tamancha mara. Ye chiz (tamancha marna) mujh ko garan guzri to mai allah ke rasool s.a.w paas aaya aur mai ne kaha : ay allah ke rasool kiya mai is ko aazad kar du: allah ke rasool s.a.w ne farmaya; is ko mere paas le aao. Mai is ko allah ke rasool s.a.w ke paas le aaya. allah ke rasool s.a.w ne is se pucha : allah kaha hai? Is ne kaha : aasman mai. Aap ne pucha: mai kon hu? Is ne kaha aap allah ke rasool s.a.w hai. allah ke rasool s.a.w ne farmaya : tum is ko aazad kar do is liye ke wo mominah (imaan wali) hai.
[Muslim: Al masajid wa mawazai asalata 836]

5.2) Allah ke rasool s.a.w ne farmaya:
قَالَ أَلَا تَأْمَنُونِي وَأَنَا أَمِينُ مَنْ فِي السَّمَاءِ يَأْتِينِي خَبَرُ السَّمَاءِ صَبَاحًا وَمَسَاءً
حم ق عن أبي سعيد. (صحيح) صحيح الجامع 2645
[خ : المغازي 4351 – م: الزكاة 1763]​
Kya tum mujh ko amen nahi mante ho? Mai is ka amen hu jo aasman par hai mere paas subah wa sham aasman se khabar aati hai.
(Musnad ahmed, mutaffiq aleh) Ravi :Abu Saeed
(Sahih [sahih al jame 2645])
[Bukhari : almagazi 4351-muslim : alzakah 1763]

5.3) Wo tum par reham karta hai jo aasman hai
Allah ke rasool s.a.w ne farmaya:
الرَّاحِمُونَ يَرْحَمُهُمُ الرَّحْمَنُ ارْحَمُوا مَنْ فِي الْأَرْضِ يَرْحَمْكُمْ مَنْ فِي السَّمَاء
حم د ت ك عن ابن عمرو (صحيح) صحيح الجامع 3522​
Reham karne walon par rehman raham farmaye ga, tum ahle zameen par reham kro aasman wala tum par reham kare ga.
(Musnad ahmed, Abu dawood, Tirmizi, Hakim) Ravi : Ibn umro
(Shaih) [Sahih al jame 3522]

Sahaba ka aqeedah
6.1) Abu bakar ka Aqeedah:
:عَنْ ابنِ عُمَرَ قَالَ
لَمَّا قُبِضَ رَسُولُ اللهِ e دَخَلَ أَبُو بَكْرٍ فَأَكَبَّ عَلَيْهِ ([1]) وَقَبَّلَ جَبْهَته وَقَالَ بِأَبِي أَنْتَ وَأُمِّي طِبْت حَيًّا وَمَيِّتًا وَقَالَ : مَنْ كَانَ يَعْبُد مُحَمَّدًا فَإِنَّ مُحَمَّدًا قَدْ مَاتَ وَمَنْ كَانَ يَعْبُد اللَّه فَإِنَّ اللَّه فِي السَّمَاء حَيّ لَا يَمُوت
[حاشية بن القيم على أبي داود ج 13 ص 31 –
التاريخ الكبير للبخاري ج1 ص201 رقم 623 ]​
Ibn umar farmate hai:
Jab allah ke rasool s.a.w ki wafaat hui to abu bakar r.a (aap ke kamre mai) dakhil huer moat mai umdah hai, aur kaha : jo shakhas mohammed s.a.w ki ibadat karta tha to(jaan lo) mohammed s.a.w ki wafaat ho gai aur jo shakhas allah ki ibadat karta tha (wo ye jaan le) ke allah aasman par hai zinda hai aur is ko moat nahi aati.
[Hashiya bin alqaim alia bi dawood Jild : 13 Safa : 31]
Al tarikh al kabeer al bukhari Jas 201 Raqam 623

6.2) Umar R.a ka aqeedah
:عَنْ قَيْسٍ قَالَ
لَمَّا قَدِمَ عُمَرُ الشَّامَ اسْتَقْبَلَهُ النَّاسُ وَهُوَ عَلَى بَعِيرِهِ فَقَالُوا : يَا أَمِيرَ الْمُؤْمِنِينَ لَوْ رَكِبْت بِرْذَوْنًا يَلْقَاك عُظَمَاءُ النَّاسِ وَوُجُوهُهُمْ قَالَ : فَقَالَ عُمَرُ : { أَلَا أَرَاكُمْ هَاهُنَا ؟ إنَّمَا الأَمْرُ مِنْ هَاهُنَا } وَأَشَارَ بِيَدِهِ إلَى السَّمَاءِ خَلُّوا سَبِيلَ جَمَلِي
مصنف ابن أبي شيبة قال الذهبي في العلو : إسناده كالشمس
مختصر العلو 46 إسناده على شرط الشيخين​
Qais farmate hain:
Umar r.a jab sham aye to log un ke pass pohnche is haal mai keh wo apni ontani par the to unho ne kaha: aye ameer al mominin kash aap ek aala qisam ke ghode par sawar hote (is liye ke) aap se sharif aur sardar log milte hain. Umar r.a. ne kaha : (kya mai tum ko waha nahi dikhao? Yaqinan mamla waha se hota hai) aur apne hath se asman ki taraf ishara kiya.(mere unth ka rasta chodh do.)
[ibn abi shaiba: j8s146 raqam 34443]

6.3) Zainab r.a ka Aqidah
:عَنْ أَنَسٍ قَالَ
فَكَانَتْ زَيْنَبُ تَفْخَرُ عَلَى أَزْوَاجِ النَّبِيِّ تَقُولُ : زَوَّجَكُنَّ أَهَالِيكُنَّ وَزَوَّجَنِي اللَّهُ تَعَالَى مِنْ فَوْقِ سَبْعِ سَمَوَاتٍ
[خ: التوحيد : 7420]​
Anas r.a farmate hain:
Hazrat zainab r.a nabi s.a.w ki dusri biwiyon ke muqable mai fakhar karti thi aur kehti thi : yumhara nikah tumhare ghar walon ne(nabi s.a.w ke saath) kiya aur allah ta-ala ne mera nikah (nabi s.a.w ke sath) sat assmanon ke upar se kiya hai.
(Bukhari : al touheed : 7420)

6.4) Ibn abbas r.a ka aqeedah
عَنْ عِكْرِمَةَ، فِي قَوْلِهِ
ثُمَّ لَآتِيَنَّهُمْ مِنْ بَيْنِ أَيْدِيهِمْ وَمِنْ خَلْفِهِمْ وَعَنْ أَيْمَانِهِمْ وَعَنْ شَمَائِلِهِمِ قَالَ: قَالَ ابْنُ عَبَّاسٍ: لَمْ يَسْتَطِعْ أَنْ يَقُولَ ((مِنْ فَوْقِهِمْ)) عَلِمَ أَنَّ اللَّهَ مِنْ فَوْقِهِمْ
[إعتفاد أهل السنة والجماعة لللالكائي 661]​
Aisha r.a se kaha:
Aur allah ne aap ki saat asmanon ke upar se barat ko nazilkiya jis ko ruh alameen le kar aaye.

Allah ta-ala ke qol ke mutaliq Ikrama se marwi hai:
(phir mai In kea age se aur in ke piche se aur in ke daaen se aur in ke baeen se aao ga.)

Ikrama kehte hain: wo ye kehne ki istataat nahi rakh saka: (in ke upar se) wo janta hai keh allah in ke upar hai.

6.5) Abu zar r.a aur in ke bhai ka aqeedah
عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِي اللَّه عَنْهمَا قَالَ :
لَمَّا بَلَغَ أَبَا ذَرٍّ مَبْعَثُ النَّبِيِّ قَالَ لِأَخِيهِ: ارْكَبْ إِلَى هَذَا الْوَادِي فَاعْلَمْ لِي عِلْمَ هَذَا الرَّجُلِ الَّذِي يَزْعُمُ أَنَّهُ نَبِيٌّ يَأْتِيهِ الْخَبَرُ مِنَ السَّمَاءِ وَاسْمَعْ مِنْ قَوْلِهِ ثُمَّ ائْتِنِي
[خ : المناقب 3861]​
Ibn abbas r.a farmate hain:
Jab abu zar r.a ko nabi s.a.w ke nabi hone ki khabar pohchi to apne bhai se kaha: tum is wadi mai jao aur mujhe is shakhas ke ilm ke bare mai batao jo nabi hone ka aur asman se khabar aane ka dawa karta hai. Tum is ki baat suno aur phir mere pass aao.
[Bukhari: al manaqib 3861]

[1] – قوله : { فَأَكَبَّ عليه } وأَكَبَّ على الشيءِ أَقبل عليه ولزمه [لسان العرب : كبب]​
 

Similar threads


Top