ALLAH KE EHKAAM PAR ETERAAZ KARNE WAALE KA HUKM


ALLAH KE EHKAAM PAR ETERAAZ KARNE WAALE KA HUKM
Tahreer : SHAIKH IBN BAAZ rahimahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAAL:
Aisay shakhs ka kya hukm hai jo kehta ho chunke baaz sharayi ehkaam jadeed taqazoon ka sath nahi de satke lehaza un par nazar sani aur un mein tabdeeli ki zaroorat hai. Is ki misaal waraasat ki taqseem ke barey mein Shariat ka yeh maroof usool hai ke mard ka hissa do aurton ke hissay ke barabar hai?

JAWAAB:
Woh ehkaam jinhein ALLAH TA'ALA ne apne bundon ke liye mashro qarar diye hain aur un ki wazahat Quran Majeed mein ya RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki zabani ahadees mubarikah mein farma di hai. Maslan ehkaam Waraasat, Namaz, Roza, Hajj, Zakaat aur deegar aisay sharayi ehkaam jin par ummat ka ijma hai to kisi shakhs ko un par aitraaz karne ya un mein kami beshi karne ka koi haq haasil nahi hai' kionke aisay ehkaam sharayiyyah aasar(ahadis-e) NABWI sallallahu alaihi wasallam se le kar qayamat tak MOHKAM SHARYIYAT ka hukm rakhtay hain.

Un ehkaam mein wraasat ke hawale se mard ko aurat par tarjeeh bhi shaamil hai kionke ALLAH TA'ALA ne apni kitaab mein is amar ki tashreeh farmaa di hai aur ulama-e-ummat ka is par IJMA bhi hai, lehaza aisay ehkaam par mukammal aitqaad aur emaan ke sath amal paira hona zaroori hai. Jo shakhs aisay ehkaam ke bar-aks ko, mozoon-tar samjhe, to woh daira-e-islam se kharij hai. Aisay ehkaam ki mukhalfat ko jaaiz qarar daine weala bhi kufr ka murtakib ho raha hai. Is liye ke woh ALLAH TA'ALA aur is ke RASOOL sallallahu alaihi wasallam par motriz(eteraaz karne waala) hai. Binaa bareen Olul-Amr' ki zimmah-daari hai ke motariz ke Musalman hone ki soorat mein usay tauba karne ke liye kahin. Agar woh tauba se inkaar kere to aisa shakhs kufar o irtedaad ki binaa par wajib-ul-qatal hai kionke irshad NABAWI sallallahu alaihi wasallam hai:

من بدل دينهٔ فاقتلوه
"jo shakhs murtad ho jaye usay qatal kar do."(Sahih Bukhari. /wa Musnad Ahmed:1/2, 5/231. /wa Sunan Al-Tirmizi. /wa Sunan Abi Dawod. /wa Sunan Al-Nasaayi. /wa Sunan Ibn Maajah)

Hum apne aur tamaam Musalmanoon ke liye fitnon ki gumrahion aur Shariat-e-Mutahhera ki mukhalfat se salamti ke liye duaago hain.
 

Similar threads


Top