JUTE/SHOES SAMET HARAM SHAREEF ME DAAKHIL HONA YA JUTE SAMET TAWAAF AUR SAI KARNA.


JUTE/SHOES SAMET HARAM SHAREEF ME DAAKHIL HONA YA JUTE SAMET TAWAAF AUR SAI KARNA.

FAZILATUSH SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAH
JEDDAH DA'WAH CENTER HAIYYUS SALAMAH SAUDI ARABIA

Masjid Allah Ka Ghar Aur Rooe Zameen Par Sab Se Paak Aur Muqaddas Sar Zameen Hai. Masjid Me Daakhil Hone Wala Bewazu To Daakhil Ho Sakta Hai Magar Junubi, Haiyza Aur Nufasa Ke Liye Waha Theharna Mana Hai. Wajah Masjid Ka Taqaddus Hai. Uske Bawajood Masjid Me Jute Samet Daakhil Hone Aur Juto Me Namaaz Parhne Me Koi Harj Nahi Hai Basharat Yah Ke Jute Najasat Se Paak Aur Saaf Ho. Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ki Zaat E Giraami Hamare Liye Uswah Hai Jaisa Ke Allah Az-zawajal Ka Farmaan Hai:
لقد كان لكم في رسول الله اسوة حسنة.(الاحزاب: 21)
Tarjumah: Yaqeenan Tumhare Liye Rasoolullah Me Behtareen Namunah (Maujood) Hai.
Chunancha Jo Hamare Uswah Aur Rehbar Hai Unke Qaul Aur Amal Se Saabit Hai Ke Aap Ne Khud Bhi Jute Me Namaaz Parhi Hai Aur Sahaba Karaam Ko Bhi Juto Me Namaaz Parhne Ka Hukm Diya Hai. Me Pehle Qauli Hadees Paish Karta Hun Fir Amali Hadees Paish Karunga.
QAULI HADEES: Shaddad Bin Aus RA Kehte Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
خالفوا اليهود فانهم لا يصلون في نعالهم ولا خفافهم. (صحيح ابي داود:652)
Tarjumah: Yahood Ki Mukhaalifat Karo Kuyn Ke Woh Apne Juto Me Namaaz Parhte Hai Aur Na Apne Mozah Me.
AMALI HADEES: Abdullah Bin Amar Bin Aas RA Kehte Hai:
رأيت رسول الله صلى الله عليه وسلم يصلي حافيا ومنتعلا. (صحيح ابي داود:653)
Tarjumah: Mene Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ko Dekha Hai Ke Aap Nange Paao Namaaz Parhte Aur Jute Pehan Kar Bhi
Yah Dono Hadeese Sahih Hai Aur Un Dono Ki Tarah Ki Hadees Se Saabit Ho Gaya Ke Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Khud Bhi Jute Me Namaaz Parhi Hai Aur Jute Me Namaaz Parhne Ka Hukm Bhi Diya Hai.
Is Baab Me Dalaail Aur Bhi Hai Magar Istidlaal Ke Liye Aur Nafs Masala Ko Samjhne Ke Liye Yahi Do Daleele Kaafi Hai Taaham Ek Aur Daleel Jo Kaafi Mashhoor Hai Aur Us Baab Me Afhaam Ke Atebaar Se Aur Bhi Waazeh Hai Zikr Karna Mufeed Hoga.
Abu Saeed Khudri RA Kehte Hai:
بينما رسول الله صلى الله عليه وسلم يصلي بأصحابه؛ إذ خلع نعليه، فوضعهما عن يساره، فلما رأى ذلك القوم، ألقوا نعالهم، فلما قضى رسول الله صلى الله عليه وسلم صلاته، قال: ما حملكم على إلقاء نعالكم؟، قالوا: رأيناك ألقيت نعليك، فألقينا نعالنا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: "إن جبريل صلى الله عليه وسلم أتاني فأخبرني أن فيهما قذرا - أو قال: أذى -"، وقال: "إذا جاء أحدكم إلى المسجد، فلينظر: فإن رأى في نعليه قذرا أو أذى، فليمسحه، وليصل فيهما".
Tarjumah: Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Sahaba Karaam Ke Sath Namaaz Parh Rahe The Ke Achaanak Aap Ne Apne Juto Ko Utaar Kar Unhe Apne Left Jaanib Rakh Liya, Jab Logo Ne Yah Dekha To(Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Ki Ittiba Me) Unhone Bhi Apne Jute Utaar Liye, Jab Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Namaaz Parh Chuke To Aap Ne Farmaya: Tum Logo Ne Apne Jute Kuy Utaar Liye? Un Logo Ne Kaha: Ham Ne Aap Ko Jute Utaarte Hue Dekha To Ham Ne Bhi Apne Jute Utaar Liye,Is Par Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Mere Paas Jibrail Alyhis Salaam Aae Aur Unhone Mujhe Bataya Ke Aap Ke Juto Me Najaasat Lagi Hui Hai. Rawi Ko Shak Hai Ke Aap Ne «قذرا» Kaha Ya «اذى» Kaha, Aur Farmaya Jab Tum Me Se Koi Masjid Me Aae To Woh Apne Jute Dekh Le Agar Unme Najaasat Lagi Hui Nazar Aae To Use Zameen Par Ragad De Aur Un Me Namaaz Parhe. (Sahih Abi Dawood: 650)
In Tamaam Hadees Ko Saamne Rakhte Hue Yah Kehna Aasaan Ho Gaya Ke Jute Samet Masjid Me Daakhil Ho Sakte Hai Aur Jute Samet Masjid Me Namaaz Parh Sakte Hai Kuynki Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Jo Sahaba Ko Jute Me Namaaz Parhaai Thi Woh Jamaat Wali, Masjid Ki Namaaz Thi. Is Se Saaf Maloom Hota Hai Ke Ham Juto Samet Masjid Me Daakhil Ho Sakte Hai.
Masjid E Haraam Bhi Ek Masjid Hai, Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Jute Samet Masjid E Nabawi Me Daakhil Hue To Ham Bhi Masjid E Nabawi, Masjid E Haraam Aur Dunya Ki Deegar Masaajid Me Juto Samet Daakhil Ho Sakte Hai Isme Shara'an Koi Qabaahat Nahi Hai.
Yaha Yah Masala Bhi Waazeh Kar Diya Jaae Ke Masjid E Haraam Me Jaise Jute Samet Daakhil Ho Sakte Hai Aur Waha Juto Samet Namaaz Parh Sakte Hai, Usi Tarah Jute Samet Tawaaf Bhi Kar Sakte Hai Aur Sai Bhi Kar Sakte Hai,Jaiz Hai Taaham Safaai Suthraai Ka Aham Masala Hai Jis Ke Tai Aaj Kal Masjid E Haraam Me Jute Samet Daakhil Hona Gair Munaasib Hai Is Baat Ki Mazeed Wazaahat Niche Hai.
JUTO ME TAWAAF AUR SAI SE MUTALLIQ MAZEED CHAND BAATE.
* Umrah Karne Walo Ke Ilm Me Izaafa Ke Baais Pehle Yah Bata Dena Chaahta Hu Ke Mardo Ko Ahraam Ki Haalat Me Jute Nahi Pehnna Chaahiye, Mozah Bhi Nahi Balke Chappal Ka Istimaal Karna Chaahiye Aur Aurte Haalat E Ahraam Me Mozah Aur Juta Pehan Sakti Hai. Nafli Tawaaf Me Mard Hazraat Bhi Jute Pehan Sakte Hai Kuy Ke Waha Ahraam Ki Paabandi Nahi Hai.
* Juto Samet Masjid Me Daakhil Hone Ya Juto Me Namaaz Parhne Ka Matlab Yah Nahi Hai Ke Aap Zaroor Jute Pehan Kar Masjid Jaae Ya Jute Me Zaroor Namaaz Ada Kare Balke Iska Matlab Yah Hai Ke Juto Samet Masjid Me Daakhil Hona Jaiz Hai Aur Jute Pehan Kar Namaaz Parhna Jaiz Hai. Isi Tarah Yah Bhi Zaroori Nahi Hai Ke Jute Samet Tawaaf Aur Sai Kare,Khaali Pair Tawaaf Aur Sai Kare Jaise Aam Log Karte Hai Taaham Koi Jute Me Tawaaf Aur Sai Kar Leta Hai To Jaiz Hai Magar Safaai Ke Paish E Nazar Nange Pair Tawaaf Aur Sai Kiya Jaae.
* Rasool Sallallahu Alyhi Wasallam Ke Zamane Me Bhi Masjid E Haraam Me Log Jute Chappal Samet Daakhil Hote Honge Kuy Ke Taleemaat E Nabawi Me Iski Ijaazat Hai,Nez Rasool Sallallahu Alyhi Wasallam Ke Zamane Me Tawaaf Aur Sai Ki Haalat Me Bhi Jute Aur Chappal Pehne Jaate Honge, Usme Bhi Koi Shak Nahi Hai
* Chunki Pehle Ki Masaajid Mitti Wali Hoti Thi Is Wajah Se Kabhi Kisi Ne Jute Samet Unme Daakhil Hona Ma'yub Nahi Samjha Magar Aaj Kal Ki Masaajid Sange Marmar Aur Qaaleen Se Muzaiyyan Hoti Hai Is Liye Hame Is Pehlu Par Gaur Karne Ki Zaroorat Hai
* Isme Koi Shak Nahi Ke Masjid E Haraam Me Ek Badi Tadaad Safaai Par Mamoor Hai Jis Ke Baais Masjid E Haraam Hamesha Chamakti Damakti Nazar Aati Hai, Aysi Surat Me Hame Safaai Ka Khayaal Karte Hue Masjid E Haraam Me Jute Aur Chappal Pehan Kar Andar Daakhil Nahi Hona Chaahiye.
* Jo Jute Chappal Ham Baahar Se Pehan Kar Aate Hai Aur Usko Hamaam Bhi Le Kar Jate Hai Woh Yaqeenan Dhul Mitti Aur Pani Se Bhige Honge Aysi Surat Me Qaaleen Aur Sange Marmar Ganda Hoga Aur Safaai Mazdoor Ko Badi Dushwaari Ka Saaman Karna Parhe Ga
* Goya Masala Jawaaz Ya Adme Jawaaz Ka Nahi Hai Balke Safaai Ka Hai. Masjid E Haraam Ki Nazaafat Ke Paishe Nazar Is Me Bagair Chappal Aur Jute Daakhil Ho Yani Woh Jute Aur Chappal Jin Ko Masjid Se Baahar Istimaal Kar Ke Aae Hai Unhe Pehan Kar Masjid Me Na Aae Balke Darwaaze Par Utaar Le Aur Khaali Pair Andar Daakhil Ho, Khaali Pair Namaaz Ada Kare Aur Khali Pair Tawaaf Aur Sai Kare.
* Masjid E Haraam Ki Live Video Nashr Hoti Hai Is Ke Manaazir Sare Log Bashamool Muslim Aur Kaafir Sabhi Dekhte Hai,Jute Chappal Samet Masjid E Haraam Me Daakhil Hone Ka Manzar Gairo Ko Bura Maloom Hoga Yaha Tak Ke Muslimo Me Bhi Jo Jaahil Aur Deen Se Nabalad Hai Woh Galat Taassur Lete Hai Is Liye Bhi Masjid E Haraam Me Juto Samet Daakhil Na Hua Jaae.
Khulasa Kalaam:
Pure Bahas Ka Khulasa Yah Hua Masjid E Haraam Samet Dunya Ki Woh Tamaam Masaajid Jin Ki Zameen Matti Wali Nahi Hai Balke Unhe Paththar Aur Tiles Aur Qaaleen Se Muzaiyyan Kar Di Gai Hai Unme Jute Chappal Samet Daakhil Na Hon, Yah Hukm Safaai Suthraai Ke Paishe Nazar Hai Warna Jo Masaajid Aaj Bhi Mitti Ki Bani Hai Unme Jute Pehan Kar Jane Me Koi Harj Nahi Hai Is Shart Ke Sath Ke Woh Taahir/Paak Hon Jaisa Ke Sutoor Bala Ki Mutaddad Hadeeso Se Maloom Hota Hai.
 
Top