Allah Ta'ala ke Yahan dua qubul hone ki kya sharaayt hain?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Allah Ta'ala ke Yahan dua qubul hone ki kya sharaayt hain?

Dua ke liye kayi shartein hain


1- Sirf Allah Ta'ala se dua mange:
✔Is ki Daleel yeh hai ke Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne Ibn e abbas Razi Allah anhuma ko farmaya tha:
"tum jab bhi mango to Allah taala se mango aur jab bhi madad chaho to sirf Allah taala se madad chaho."
(Sunan Tirmizi: 2516. Allama albani ne isey Sahih Al-Jami mein sahih qarar diya hai)

➖Haqeeqat mein yeh hadees is aayat ka tarjuma hai
"Aur be shak masajid Allah ke liye hain is liye Allah ke sath kisi ko mat pukaro."
(Surah Al-Jinn: 18)

Yeh shart bohat hi azeem aur ahem tareen shart hai, iske baghair dua qubool hi nahi hoti aur iske baghair koi amal bhi Allah Ta'ala ke yaha pesh nahi kiya jata, kuch log hain jo murdon se mangte hain, unhen apne aur Allah Ta'ala ke darmiyan waseela banate hain, woh yeh samajhte hain ke yeh nek log unhen Allah Ta'ala ke qareeb kar denge, unhen Allah Ta'ala ke samne safarishi banate hain, yeh samajte hain ke unke gunaaho ki wajah se Allah Ta'ala ke yaha unka koi maqam nahi, isliye nek logon ko Allah Ta'ala ke yaha waseela banate hain aur Allah Ta'ala ke bajaye unhi se duayein karte hain.
Farmaan e baari taala hai:
"aur jab aap se mere bande mere bare mein puchhen to mein qareeb hi hun, jab bhi mujhe koi dua karne wala pukaarta hai uski dua ko qubool karta hun."
(Al-Baqara: 186)
______________________________________

2- Sharai taur par jaaiz waseelo mein se koi waseela apnaana:
a. Allah ke Pyare Naamo Ka waseela.
▫ Aur Allah hi ke liye ache ache naam hain, lehaza tum usey un (naamo) se pukaro.
(Al-Araaf: 180)

b. Nek Taqwa aur parhezgar logo ke waseele se dua karna (Sirf Zinda logon se).
(Sahih Bukhari: 1010)

c. Apne Nek Amal Ke Waseela se.
(Sahih Muslim: 6939, Sahih Bukhari: 2333,2215)
______________________________________

3- Jald baazi se parhez karen:
Kyunke jald baazi dua ki qabuliyat mein rukawat banti hai, jaise ke ek hadees mein hai ke: Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya tum mein se har ek ki dua qubool ki jati hai jab tak jald baazi karte hue yeh nah kahe: dua to bohat ki hai lekin qubool hi nahi hoti.
(Sahih Bukhari: 6340, Sahih Muslim: 2735)

Ek aur riwayat me aata hai Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya: Bande ki dua us waqt tak qubool hoti rehti hai jab tak woh kisi gunah ya qata rehmi (Rishte todne/severing the ties of blood) ki dua nahi mangta aur jald baazi nahi machata.
Pucha gaya: Allah ke Rasool! "jald baazi machane se kya murad hai?" to Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya: woh yeh kahne lag jaye ke maine bohat dua ki intehaee ziyada duayein mangi, lekin Allah meri dua qubool nahi farmata, woh yeh kah kar thak haar jata hai aur dua karna chor deta hai.
(Sahih muslim: 2735)
______________________________________

4- Allah Ta'ala ke bare mein husn e zan (achha guman) rakhe:
Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ka farmaan hai:
Allah taala farmata hai: mai apne bande ke sath uske apne gumaan ke mutabiq maamla karta hun.
(Sahih Bukhari: 7405, Sahih Muslim: 4675)

Chunanche Allah Ta'ala se khair ki umeed rakhne wale par Allah Ta'ala khair o Barkaat ke dariya baha deta hai, Allah ta'ala us par apna fazl farmata hai.
______________________________________

5- Hazir Dil se Dua mangein:

Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya
"tum Allah se dua mango aur is yaqeen ke saath mango ke tumhari dua zarur qubul hogi, aur (achhi tarah) jan lo ke Allah Ta'ala beparwahi aur betawajjohi se mangi hui ghaflat me mubtila dil ki dua qubul nahin karta."
(Sunan Tirmizi: 3479. Albani ne isey sahih Al-Jami: 245 mein hasan qarar diya hai)
______________________________________

6- Khana peena halal ho:
Farmaan e baari taala hai:
▫ Beshak Allah Ta'ala mut-taqi (taqwe-wale/parhezgaro) ke hi amal qubool karta hai.
(Al-Maidah: 27)

➖ Doosri janib Nabi sallallaho alaihi wasallam ne bhi aise shakhs ki dua ki qabuliat ko namumkin qarar diya jis ka khana, peena, aur pehenna haraam ka ho, Chunanche hadees mein hai ke :
▫Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne 1 shakhs ka zikar farmaya ke wo lambe safar mein pareshan baal aur dhool mein pata hua aasman ki janib haath phaila ke kahe : ya rab! ya rab !
halaanke uska khana haraam hai, peena haraam hai, libaas haraam aur uski ghiza haraam, to uski dua kaise qubool ho!)
(Sahih Muslim: 1015)

✔Ibn Qaiyeem Rahimullah kehte hain ke: haraam khane se dua mein quwat khatam ho jati hai aur dua mein kamzoree aa jati hai.
______________________________________

7- Hadd se nah niklo
Kyun ki Allah Ta'ala ko dua mein hadd se nikalne wale pasand nahi hai
Farmaan e baari taala hai :
"tum apne parvar-digaar se dua kiya karo gidgida kar bhi aur chupke chupke bhi, Waqai Allah Ta'ala un logo ko napasand karta hai jo hadd se nikal jaayen."
(Al-Araaf: 55)

⬆Tafseer Ibn Kaseer:
➖Insan dua mange qubul hogi Allah Ta'ala apne bando ke dua ki hidayat karta hai jisme unki duniya aur akhirat ki bhalai hai. Allah Ta'ala Farmata hai ke apne parwardigar ko aajizi, miskeeni aur aahistagi se pukaro.

▫Abu Musa Ash’ari Razi Allahu anhu se riwayat hai ke logon ne Dua me apni awaaze bahut buland kardi to Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya logon apni jaano par rahem karo kyunki tum kisi bahre ya gayab ko nahi pukar rahe jise tum pukar rahe ho wo bahut sunne wala aur bahut nazdeek hai.
(Bukhari wa Muslim)
______________________________________

8- Dua mein mashgool ho kar kisi zururi kaam ki adaigi mein kotahi nah barte:
✔Masalan: Koi fauri aur zururi kam jaise waalid ki khidmat is Hujjat se nah chhode ke dua mein mashgool hun, is ke mutaliq ibadat guzaar juraij ke waqiye mein wazeh ishara maujood hai ke
jab unhon ne apni walida ki aawaz sun kar uska jawab nah diya aur apni namaz mein mashgool rahe to unki walida ne unke khilaaf bad dua kar di natijta Allah Ta'ala ne unhen azmaish mein daal diya .Dekhein-: (Sahi Muslim: 2550)

Imam Nawawi Rahimullah kehte hain:
"Ulamaa e kiraam kehte hain: yeh is baat ki Daleel hai ke juraij ke liye sahih amal yeh tha ke apni walida ki baat ka jawab dete ؛ kyunke woh Nafil namaz ada kar rahe the aur is Nafil namaz ko jari rakhna bhi Nafil hi tha wajib nahi tha, jabke walida ki baat ka jawab dena, unke sath husn sulooq karna wajib hai un ki nafarmani haraam hai. .. "
(Sharah sahih muslim by Nawawi: 16/82)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 

Similar threads


Top