ALLAAH KE DEEN KI DA'WAT DENE KE TA'LLUQ SE EK SHUB'HE KA JAWAAB


ALLAAH KE DEEN KI DA'WAT DENE KE TA'LLUQ SE EK SHUB'HE KA JAWAAB

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
KYA AAGE WAALA SAMAJHNE TAK DA'WAT DENI CHAAHIYE YA SIRF WAAZEH TAUR PAR POHNCHA DENA CHAAHIYE ?

• Logon ke andar ye ek bohat badi ghalat fahmi aur baatil soch bohat aam hai. Kehte hai ke hamen deen ki da'wat aage waale ko samajh aaye tak deni chaahiye haalaanke Allaah ne hamen iska zimmahdaar nahin banaaya balke Allaah ne toh Anbiyaa wa Rusul par sirf yahi zimmahdaari daali hai ke Allaah ka paighaam logon tak pohnchaao na ke woh samajhne tak samjhaao aur hum par bhi wohi zimmahdaari hai jaisa ke is baare mein Qur'aan mein kayi aayaat maujood hai.

• Irshaadaat e Baaree (تعالى) hai:

أعوذ بالله من الشيطان الرجيم

يَا أَيُّهَا الرَّسُولُ بَلِّغْ مَا أُنزِلَ إِلَيْكَ مِن رَّبِّكَ ۖ وَإِن لَّمْ تَفْعَلْ فَمَا بَلَّغْتَ رِسَالَتَهُ ۚ وَاللَّهُ يَعْصِمُكَ مِنَ النَّاسِ ۗ إِنَّ اللَّهَ لَا يَهْدِي الْقَوْمَ الْكَافِرِينَ

"Aye Rasool (ﷺ) jo kuch bhi Aapki taraf Aapke Rabb ki jaanib se naazil kiya gaya hai pohnchaa deejiye. Agar Aapne aisa na kiya toh Aapne Allaah ki Risaalat adaa nahin kee (ya'ni Allaah ka paighaam logon tak nahin pohnchaaya) aur Aapko Allaah (تعالى) logon se bachaalega, Beshak Allaah (تعالى) Kaafiron ko hidaayat nahin deta." (1)

وَ اُوۡحِیَ اِلَیَّ هٰذَا الۡقُرۡاٰنُ لِاُنۡذِرَکُمۡ بِهٖ وَ مَنۡۢ بَلَغَ

"Aur Mere paas ye Qur'aan bataur e Wahee ke bheja gaya hai taake Main is Qur'aan ke zariye se tum ko aur jis jis ko ye Qur'aan pohnche un sab ko daraaun." (2)

اُبَلِّغُکُمۡ رِسٰلٰتِ رَبِّیۡ وَ اَنۡصَحُ لَکُمۡ

"Tumko apne Rabb ke paighaam pohnchaata hoon aur tumhaari khayr khwaahi karta hoon." (3)

اُبَلِّغُکُمۡ رِسٰلٰتِ رَبِّیۡ وَ اَنَا لَکُمۡ نَاصِحٌ اَمِیۡنٌ

"Tumko apne Rabb ke paighaam pohnchaata hoon aur tumhaara Amaanatdaar khayr khwaah hoon." (4)

فَتَوَلّٰی عَنۡهُمۡ وَ قَالَ یٰقَوۡمِ لَقَدۡ اَبۡلَغۡتُکُمۡ رِسَالَةَ رَبِّیۡ وَ نَصَحۡتُ لَکُمۡ وَ لٰکِنۡ لَّا تُحِبُّوۡنَ النّٰصِحِیۡنَ

"Us waqt (Saalih (عليه السلام)) unse munh mordkar chale gaye aur farmaane lagey ke Aye Meri qaum ! Maine toh tum ko apne Rabb ka hukm pohncha diya tha aur Maine tumhaari khayr khwaahi kee lekin tum log khayr khwaahon ko pasand nahin karte." (5)

فَتَوَلّٰی عَنۡهُمۡ وَ قَالَ یٰقَوۡمِ لَقَدۡ اَبۡلَغۡتُکُمۡ رِسٰلٰتِ رَبِّیۡ وَ نَصَحۡتُ لَکُمۡ ۚ فَکَیۡفَ اٰسٰی عَلٰی قَوۡمٍ کٰفِرِیۡنَ

"Us waqt (Shu'ayb (عليه السلام)) unse munh mordkar chale aur farmaane lagey ke Aye Meri qaum ! Maine tum ko apne Rabb ke Ahkaam pohncha diye the aur Maine toh tumhaari khayr khwaahi kee. Phir Main Kaafiron par kyun ranj (gham wa afsos) karun." (6)

فَاِنۡ تَوَلَّوۡا فَقَدۡ اَبۡلَغۡتُکُمۡ مَّاۤ اُرۡسِلۡتُ بِهٖ اِلَیۡکُمۡ

"Pas agar tum roogardaani karo toh karo Main toh tumhen woh paighaam pohncha chuka jo dekar Mujhe tumhaari taraf bheja gaya tha." (7)

الَّذِیۡنَ یُبَلِّغُوۡنَ رِسٰلٰتِ اللّٰہِ

"Ye sab aisey the ke Allaah (تعالى) ke Ahkaam pohnchaaya karte." (8)

اُبَلِّغُکُمۡ مَّاۤ اُرۡسِلۡتُ بِهٖ وَ لٰکِنِّیۡۤ اَرٰٮکُمۡ قَوۡمًا تَجۡهَلُوۡنَ

"(Hood (عليه السلام) ne kaha) Main toh jo paighaam dekar bheja gaya tha woh tumhen pohncha raha hoon lekin Main dekhta hoon ke tum log jahaalat kar rahey ho." (9)

لِّیَعۡلَمَ اَنۡ قَدۡ اَبۡلَغُوۡا رِسٰلٰتِ رَبِّهِمۡ

"Taake Allaah jaan ley ke unhone apne Rabb ke paighaamaat pohncha diye hain." (10)

قُلۡ اَطِیۡعُوا اللّٰہَ وَ اَطِیۡعُوا الرَّسُوۡلَ ۚ فَاِنۡ تَوَلَّوۡا فَاِنَّمَا عَلَیۡهِ مَا حُمِّلَ وَعَلَیۡکُمۡ مَّا حُمِّلۡتُمۡ ؕ وَاِنۡ تُطِیۡعُوۡہُ تَھْتَدُوۡا ؕ وَمَا عَلَی الرَّسُوۡلِ اِلَّا الۡبَلٰغُ الۡمُبِیۡنُ

"Keh deejiye Allaah ki itaa'at karo aur Rasool ki itaa'at karo, agar tum is se munh pheyr logey toh Rasool par wohi hai jo uspar laazim kiya gaya hai aur tum se sirf uski jawaab dahi hogi jo tumhaare zimme hai, agar tum uski itaa'at karoge toh Hidaayat par rahoge aur Rasool ke zimme sirf waazeh taur par pohncha dena hai." (11)


Ghaur keejiye ke agar ye baat hoti ke aage waala samajhne tak da'wat dena zaroori hota toh is dunya ke sab se behtareen Daa'ee, Rahmatul-'Aalameen, behtareen andaaz e bayaan, Insaanon ke sab se zyaadah khayr khwaah jinki baatein Allaah ke hukm se logon ke dil mein utarti thi aur aaj bhi utarti hai unke lahje wa tareeqah ko dekh kar, unke akhlaaq e buland ko dekh kar unke zamaane mein phir sab ko Eemaan laalena chaahiye tha ? jaisa ke Mushrikeen e Makkah waghairah.

• Lekin aisa bilkul nahin hai jaisa ke logon mein ye jahaalat aam hai ke aage waala samajhne tak samjhaana chaahiye kyunke hum jisey chaahte hain usey Hidaayat nahin dey sakte, Hamaara toh sawaal hi paida nahin hota balke Anbiyaa wa Rusul ka bhi nahin hota hattaa ke Muhammad (ﷺ) bhi jisey chaahe unhen Hidaayat nahin dey sakte kyunke Hidaayat dena sirf aur sirf Allaah ke haath mein hai jaisa ke Allaah (تعالى) ka farmaan hai:

إِنَّكَ لَا تَهْدِي مَنْ أَحْبَبْتَ وَلَٰكِنَّ اللَّهَ يَهْدِي مَن يَشَاءُ

"(Aye Paighambar) Aap jisey chaahein Hidaayat nahin dey sakte balke Allaah (تعالى) hi jisey chaahta hai Hidaayat deta hai." (12)

• Doosri jagah farmaaya:

مَنۡ یَّهْدِ اللّٰہُ فَهُوَ الۡمُهْتَدِ

"Jisey Allaah Hidaayat dey, wohi Hidaayat paa sakta hai." (13)


Allaah (تعالى) ne Qur'aan e Majeed jisey saari Insaaniyat ke liye Hidaayat ka zariya banaaya hai us mein kahin bhi ye nahin kaha ke jab tak jisey da'wat dee jaarahi hai woh samajhne tak da'wat dete raho balke sirf achche andaaz aur saaf wa waazeh taur par Allaah ka paighaam pohnchaane ka hukm diya hai. Irshaad e Baaree (تعالى) hai:

وَاَنۡزَلۡنَاۤ اِلَیۡكَ الذِّکۡرَ لِتُبَیِّنَ لِلنَّاسِ مَا نُزِّلَ اِلَیۡهِمۡ

"Humne Aapki taraf Zikr naazil kiya hai taake Aap logon ko unki taraf naazil kardah ki khoob wazaahat kardein." (14)


Aur farmaaya:

فَاِذَا قَرَاۡنٰهُ فَاتَّبِعۡ قُرۡاٰنَهٗ ثُمَّ اِنَّ عَلَیۡنَا بَیَانَهٗ

"Jab hum usko pardhlein tab Aap uski Qiraa'at karein, phir uski Wazaahat hamaare zimme hai." (15)


• Allaah ka paighaam logon tak pohnchaana ye tamaam Anbiya wa Rusul ki aur hamaari zimmahdaari hai taake logon par Allaah ki hujjat tamaam hojaaye, aage waala samajhna shart wa zaroori nahin warnah tamaam Rusul wa Anbiyaa apni qaumon ko samjha diya hota, Nooh (عليه السلام) ne apni qaum ko 950 saal da'wat dee, Ek Rasool ke liye unke hunar ke hisaab se dekha jaaye toh ye waqt kaafi hai agar aage waale ko samjhaane ki shart lagaayi jaaye toh, kyunke Rasoolon se behtareen Daa'ee kaun hai ?

• Irshaad e Baaree (تعالى) hai:

رُسُلًا مُّبَشِّرِیۡنَ وَ مُنۡذِرِیۡنَ لِئَلَّا یَکُوۡنَ لِلنَّاسِ عَلَی اللّٰہِ حُجَّةٌ بَعۡدَ الرُّسُلِ

"Humne unhen Rasool Khushkhabriyaan sunaane waala aur Daraane waala banaaya hai taake logon ki koi hujjat aur ilzaam Rasoolon ke bhejne ke ba'd Allaah (تعالى) par na rahjaaye." (16)


• Doosri jagah farmaaya:

لِّیُنۡذِرَ مَنۡ کَانَ حَیًّا وَّ یَحِقَّ الۡقَوۡلُ عَلَی الۡکٰفِرِیۡنَ

"Taake woh har us shakhs ko daraaye jo zindah hai aur Kaafiron par hujjat saabit hojaaye." (17)


• Agar samajh mein aaye tak samjhaana hota toh Nooh (عليه السلام) ko jo waqt mila us mein woh apne bete ko samjhaa lete, Ibraaheem (عليه السلام) apne waalid ko samjha lete, Muhammad (ﷺ) Abu Taalib aur deegar Sardaaraan e Quraysh ko samjha liya hota.

• Toh zara sochiye sab se behtareen Dua'aat Rusul aur Anbiyaa hai unka pyaara tareeqah aur unke behtareen akhlaaq ke baawajood unke zamaane ke logon ne nahin samjha kyunke Hidaayat Allaah ke haath mein hai na ke Rasoolon aur Anbiyaa ke.

• Unka kaam aur hamaara kaam bhi yahi hai ke behtareen andaaz mein saaf aur wazaahat ke saath hum Deen ka paighaam logo tak pohnchaaye jab hum aisa karenge toh hum par jo zimmahdaari thi usko poora karliya, ab Allaah ke haath mein hai Hidaayat dena.

Toh Dunya mein aisey log bilkul hai jinhe Islaam ki khoobsoorti dikhaayi nahin degi aur agar dikhaayi bhi degi toh Takabbur ki bina par qubool nahin karenge jaisa ke Abu Jahl waghairah the toh aisey logon ke peeche apna waqt barbaad na keejiye jiske paas Allaah ka paighaam pohnchaane ke ba'd bhi apni Gumraahi mein hi rehna pasand karte hain bus unhen achche andaaz mein wazaahat ke saath Allaah ke paighaam ko pohnchaaiye, yahi kaafi hai. Allaah ne hum par itni hi zimmahdaari daali hai.

من يهده الله فلا مضل له ومن يضلل فلا هادي له‏

وما عليّ إلا البلاغ، ولله الحمد والمنة و أعلم


《 Muharrir: Abd Al Mudhill Hafizahullah》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)
_____________
References:
(1) Soorah No. 5, Al-Maa'idah, Aayah: 67.
(2) Soorah No. 6, Al-An'aam, Aayah: 19.
(3) Soorah No. 7, Al-A'raaf, Aayah: 62.
(4) Soorah No. 7, Al-A'raaf, Aayah: 68.
(5) Soorah No. 7, Al-A'raaf, Aayah: 79.
(6) Soorah No. 7, Al-A'raaf, Aayah: 93.
(7) Soorah No. 11, Hood, Aayah: 57.
(8) Soorah No. 33, Al-Ahzaab, Aayah: 39.
(9) Soorah No. 46, Al-Ahqaaf, Aayah: 23.
(10) Soorah No. 72, Al-Jinn, Aayah: 28.
(11) Soorah No. 24, Al-Noor, Aayah: 54.
(12) Soorah No. 28, Al-Qasas, Aayah: 56.
(13) Soorah No. 18, Al-Kahf, Aayah: 17.
(14) Soorah No. 16, Al-Nahl, Aayah: 44.
(15) Soorah No. 75, Al-Qiyaamah, Aayaat: 18, 19.
(16) Soorah No. 4, Al-Nisaa, Aayah: 165.

(17) Soorah No. 36, YaaSeen, Aayah: 70.
 

Similar threads


Top