RASOOL ALLAAH KE AZWAAJ e MUTAHHARAAT KO GAALI DENE KA HUKM


RASOOL ALLAAH KE AZWAAJ e MUTAHHARAAT KO GAALI DENE KA HUKM

بسم الله الرحمن الرحيم

اتَّفَقَ الْفُقَهَاءُ عَلَى أَنَّ مَنْ قَذَفَ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا، فَقَدْ كَذَّبَ صَرِيحَ الْقُرْآنِ الَّذِي نَزَل بِحَقِّهَا، وَهُوَ بِذَلِكَ كَافِرٌ. قَال تَعَالَى فِي حَدِيثِ الإِْفْكِ بَعْدَ أَنْ بَرَّأَهَا اللَّهُ مِنْهُ: {يَعِظُكُمُ اللَّهُ أَنْ تَعُودُوا لِمِثْلِهِ أَبَدًا إِنْ كُنْتُمْ مُؤْمِنِينَ} . فَمَنْ عَادَ لِذَلِكَ فَلَيْسَ بِمُؤْمِنٍ
• Is par Fuqahaa ka ittefaaq hai ke jo shakhs 'Aa'ishah (Raziyallaahu 'Anhaa) par tohmat lagaaye woh Qur'aan e Kareem ki un wazeh aayaton ko jhutlaayega jo unke haqq mein naazil hui hain, is liye woh Kaafir hoga [1]. Ifk ke waaqi'ah mein Allaah (تعالى) ne unko baree qaraar dene ke ba'd irshaad farmaaya: "Allaah tumhein naseehat karta hai ke phir is qism ki harkat bhi na karna agar tum Eemaan waale ho." [2] Is liye ke jo shakhs aisa kaam karega woh Mumin nahin rahega. [3]

وَهَل تُعْتَبَرُ مِثْلَهَا سَائِرُ زَوْجَاتِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَرَضِيَ اللَّهُ عَنْهُنَّ؟ قَال الْحَنَفِيَّةُ وَالْحَنَابِلَةُ فِي الصَّحِيحِ وَاخْتَارَهُ ابْنُ تَيْمِيَّةَ: إِنَّهُنَّ مِثْلُهَا فِي ذَلِكَ. وَاسْتَدَل لِذَلِكَ بِقَوْلِهِ تَعَالَى: {الْخَبِيثَاتُ لِلْخَبِيثِينَ وَالْخَبِيثُونَ لِلْخَبِيثَاتِ وَالطَّيِّبَاتُ لِلطَّيِّبِينَ وَالطَّيِّبُونَ لِلطَّيِّبَاتِ أُولَئِكَ مُبَرَّءُونَ مِمَّا يَقُولُونَ لَهُمْ مَغْفِرَةٌ وَرِزْقٌ كَرِيمٌ}
• Kya Nabi Kareem (ﷺ) ki deegar Azwaaj e Mutahharaat ka bhi yahi hukm hoga? Toh Hanafiyyah ka qaul aur Hanaabilah ka saheeh maz'hab jisey Ibn e Taymiyyah ne ikhtiyaar kiya hai, ye hai ke is silsile mein un sabka bhi yahi hukm hai [4], uska istedlaal Allaah (تعالى) ke is irshaad se hai: "Naapaak Auratein naapaak Mardon ke laayeq hoti hain aur Naapaak mard naapaak auraton ke, aur Paakeezah auratein paakbaaz mardon ke laayeq hoti hain aur paakbaaz mard paakeezah auraton ke, ye log is baat se paak hain jo ye (munaafiq) kehte phirte hain, unke liye maghrifat hai aur izzat ki rozi." [5]

وَالطَّعْنُ بِهِنَّ يَلْزَمُ مِنْهُ الطَّعْنُ بِالرَّسُول صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَالْعَارُ عَلَيْهِ، وَذَلِكَ مَمْنُوعٌ. وَالْقَوْل الآْخَرُ وَهُوَ مَذْهَبٌ لِلشَّافِعِيَّةِ وَالرِّوَايَةُ الأُْخْرَى لِلْحَنَابِلَةِ: إِنَّهُنَّ - سِوَى عَائِشَةَ - كَسَائِرِ الصَّحَابَةِ، وَسَابُّهُنَّ يُجْلَدُ، لأَِنَّهُ قَاذِفٌ . أَمَّا سَابُّ الْخُلَفَاءِ فَهُوَ لاَ يَكْفُرُ، وَتَوْبَتُهُ مَقْبُولَةٌ
• Azwaaj e Mutahharaat par ta'n wa tashnee' se Rasool Allaah (ﷺ) par ta'n wa tashnee' aur Rasool Allaah (ﷺ) par 'aar laazim aati hai jo mamnoo' hai, aur doosra qaul jo Shaafi'iyyah ka maz'hab aur Hanaabilah ki doosri riwaayat hai, ye hai ke ('Aa'ishah ke alaawah) tamaam Azwaaj e Mutahharaat doosre tamaam sahaabah ki tarah hain, aur unhen gaali dene waale ko kodey lagaaye jaayenge, is liye ke woh tohmat lagaane waala hai. [6], Aur Khulafaa' ko gaali dene waale ki Takfeer nahin kee jaayegi aur uski tawbah qubool kee jaayegi. [7]

ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)

____________

References:


(1) ابن عابدين 4 / 237، وفتاوى السبكي 2 / 552، والإقناع 4 / 299، والخرشي 8 / 74، والصارم المسلول 571.

(2) سورة النور / 17.

(3) الصارم المسلول / 571.

(4) السيف المشهور ورقة (2) ، والسيف المسلول ورقة 82، والصارم المسلول 571.

(5) سورة النور / 26.

(6) أسنى المطالب 4 / 117، وانظر المراجع السابقة.

(7) ابن عابدين 4 / 236 - 237.
 
Last edited by a moderator:
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Abul Husayn Difaa’ 0

Similar threads


Top