ALWIDAAI JUM'A KA TASAWWUR AUR QAZAAE UMARI KI HAQEEQAT


ALWIDAAI JUM'A KA TASAWWUR AUR QAZAAE UMARI KI HAQEEQAT

SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAH /JEDDAH DA'WA CENTRE HAIYYIS SALAMA,SAUDI ARABIA
Romanised By Khadija Muhammadi
Ramazanul Mubarak Ka Aakhri Juma Awaam Me Alwidaai Ke Naam Se Mashhoor Hai Aur Is Juma Ko Woh Ahmiyat Di Jati Hai, Jo Ahmiyat Eid Ko Haasil Hai. Waqt Se Pehle Amal Kar Ke Umdah Se Umdah Libaas Me Sajh Dhaj Kar Aur Khushbu Laga Kar Bade Tazk Aur Ahtisham Se Juma Me Haazri Di Jati Hai.
Haqeeqat Yah Hai Ke Ramazan Ka Aakhri Juma Ko Alwidaai Juma Kehna Kahi Se Saabit Nahi Hai Hatta Ke Is Bare Me Koi Zaeef Hadees Bhi Marwi Nahi Hai Aur Aqal Ke Bhi Yah Baat Galat Hai Kuy Ke Saal Ke 12 Mahine Hai Aur Har Hafta Juma Ka Din Aata Hai Aur Har Maah Ke Ikhtitaam Par Bhi Juma Aata Hai Fir Ramazan Ka Aakhri Juma Hi Alwidaai Juma Kuy Kehlaae Ga?
Dar Asal Is Aakhri Juma Ko Mashhoor Karne Ka Sabab Yah Hai Ke Logo Ne Zindagi Bhar Ki Chhodi Hui Namaaz Maaf Karane Ka Bidati Tareeqah Iyjaad Kiya Hua Hai Jis Ko Qazaae Umari Ka Naam Diya Jata Hai. Qazaae Umari Se Mutalliq Chand Qism Ki Jhuti Baate Ghadi Gai.
*Qazaae Umari Se Mutalliq Ek Baat Yah Phailaai Gai Hai Ke Ramazan Me Aakhri Juma Ko Ek Din 5 Namaaze Witr Ke Sath Parh Li Jaae To Umar Bhar Ki Chhodi Hui Namaaze Ada Ho Jaaegi Yah Logo Ka Jhut Hai,Is Baat Ka Shariat Se Koi Talluq Nahi Hai.
* Qazaae Umari Se Mutalliq Ek Dusri Baat Yah Phelaai Gai Hai Ke Ramazan Ke Aakhri Juma Me 4 Nafil Ek Salaam Se Parh Le Namaaz Ki Har Rak'at Me Surah Fatiha Ke Baad 7 Martaba Aayatul Kursi Aur 15 Martaba Surah Ikhlaas Parh Le(Kisi Ne Surah Ikhlaas Ki Bajaae Surah Kausar Bhi Bataya Hai) To Tamam Umar Ki Qazao Ka Kaffarah Ho Jaane Ka Agarcha 7 Saal Ki Namaaz Qaza Ho Tab Bhi Yah 4 Rakat Namaaz Kaffarah Ke Liye Kaafi Hai.
Haqeeqat Yah Hai Ke Aysi Koi Rivaayat Mustanad Hadees Ki Kitaab Me Nahi He Albatta Ek Jhuti Aur Baatil Rivaayat Ka Tazkirah Mulla Ali Qari Ne Apni Kitaab Almauzuaatul Kubra Me Karte Hai Ke Jo Shakhas Ramazan Ke Aakhri Juma Me Ek Farz Namaaz Bataur E Qaza Parh Le To Iski Saal Ki Chuti Hui Namaazo Ki Talaafi Ho Jaaegi. Is Rivaayat Ka Zikr Kar Ke Mulla Ali Qari Khud Farmate Hai Ke Yah Baatil Rivaayat Hai Balke Is Waqt Ulma e Ahnaaf Bhi Qazaae Umari Ke Naam Se Is Murawwijah 4 Rakat Wali Namaaz Ko Baatil Qaraar Dete Hai. Barelwi Ulma Bhi Is Murawwijah Qazaae Umari Ko Be Asal Aur Bid'at Qarar Dete Hai.
Jab Haqeeqat Yah Hai Ke Ramazan Ke Aakhri Juma Me Qazaae Umari Ki Niyyat Se Parhe Jane Wali Namaaz Ko Dewbandi Aur Barelwi Dono Tabaqaat Me Beasal Aur Bid'at Hai To Fir Inke Maanne Walo Me Yah Namaaz Abhi Bhi Kuy Raaij Hai? Aur Is Juma Ko Kuy Dusri Juma Par Fauqiyat Di Jati Hai,Sochne Waali Baat Hai.
Aur Kalaam Ke Taur Par 3 Baate Arz Karta Hu.
(1) Yah Hai Ke Ramazanul Mubarak Ke Aakhri Juma Ko Alwidaai Kehna Galat Hai, Is Juma Ka Bhi Wahi Naam Hai Jo Ramazan Ke Pehle,Dusre Aur Teesre Juma Ka Naam Hai, Yah Alag Baat Hai Ke Ramazan Ka Aakhri Ashra Khususan Uski Raate Pehle Dono Ashro Se Afzal Hai Kuy Ke Isme Shabe Qadr Hai Magar Aakhri Ashra Ke Sirf Ek Din Yani Juma Ko Fauqiyat Dena Kisi Daleel Se Saabit Nahi Hai.
(2) Yah Hai Ke Ramazan Ka Aakhri Juma Ko Qazaae Umari Ki Niyyat Se Koi Namaaz Parhna Bid'at Aur Mardood Hai Is Namaaz Se Umar Bhar Kiya Ek Din Ki Namaaz Ki Talaafi Nahi Hogi Aur Deen Me Bid'at Anjaam Dene Ki Wajah Se Gunaah Alag Se Hoga.
(3) Yah Ke Me Ulmaae Ahnaaf Se Bhi Guzaarish Hai Ke Aap Log Zor Aur Shor Se Murawwijah Qazaae Umari Ki Bid'at Ko Awaam Me Waazeh Kare Balke Amali Shakl Me Puri Quwwat Se Isko Mitaane Ki Koshish Kare Kuy Ke Yah Bid'at Aap Ke Yaha Paai Jaati Hai.
 
Top