AMAL EEMAAN MEIN SE HAI AUR EEMAAN AMAL MEIN SE


AMAL EEMAAN MEIN SE HAI AUR EEMAAN AMAL MEIN SE

Abdul Rahmān Bin 'Amr Al-'Awzā'ī (رحمه الله M.107H) ne kaha:


وكان من مضى من سلفنا لا يفرقون بين الإيمان والعمل. العمل من الإيمان، والإيمان من العمل...فمن آمن بلسانه، وعرف بقلبه، وصدق ذلك بعمله ؛ فتلك العروة الوثقى التي لا انفصام لها. ومن قال بلسانه، ولم يعرف بقلبه، ولم يصدقه بعمله؛ لم يقبل منه، وكان في الآخرة من الخاسرين .
[الإبانة الكبریه (۱۱۸۳)]

"..Hum se pehle jo hamaare Salaf mein se guzre hain woh Eemaan aur Amal ke darmiyaan farq nahi karte the.

Amal Eemaan mein se hai aur Eemaan Amal mein se.

..So jo shakhs apni zabaan se Eemaan laaya, aur apne dil se uski marifat haasil kee, aur apne Amal se uski tasdeeq kee tou woh aisa mazboot kada hai jo kabhi na tootega.

Aur jo shakhs apni zabaan se kaha (Eemaan tou laaya) lekin apne dil se uski marifat haasil NAHI kee, aur apne Amal se uski tasdeeq NAHI kee tou usse uska (Eemaan qubool) nahi kiya jaayega aur aakhirat mein woh nuqsaan paane waalon mein se hoga."


[Al-Ibaanah Al-Kubrā : 1183]

Mutarjim: « Abu Zahid Mudhakkir حفظہ اللہ »
 

Similar threads


Top