AMAL EEMAAN SE JUDA NAHI BALKE EEMAAN MEIN DAAKHIL HAI


AMAL EEMAAN SE JUDA NAHI BALKE EEMAAN MEIN DAAKHIL HAI

1. Nadr Bin Shumayl رحمه الله (d. 204AH) se irja ke baarey mein poocha gaya tou unho ne jawaab diya:

"Yeh ek Deen hai jo Baadshahon ke khwaahishon ki razamandi mein hai jis se Murji'ah Baadshah ki kuch dunya (ya'ni Daulat wa Shohrat) haasil karte hain aur unke kuch Deen ko (dunya ke faaedey ki khaatir) khodetey hain."

[Al-Bidāyah Wan-Nihāyah]

2. Fudayl Ibn ‘Iyād رحمه الله (d. 187AH) ne kaha:

"Allaah ta'aalā farmaata hai: "Allaah ne tumhare liye wahi Deen muqarrar kardiya hai jis ke qaayam karne ka usne Nooh (عليه السلام) ko hukm diya tha, aur jo (Vahee ke zariye) hum ne teri taraf bhejdi hai, aur jis ka taakīdi Hukm hum ne Ibraahīm aur Mūsā aur Eesā (عليهم السلام) ko diya tha ke Deen qaayam rakhna aur usme phoot (ikhtelaaf) na daalna.."
[Ash-Shoorā:13]

Tou (maloom hua ke) Deen, AMAL SE (Eemān ka) Iqraar Karne ka naam hai jis tarah Allaah ne bayaan kiya aur jis tarah usne Anbiyā aur Rasoolon ko Deen qaayam karne ka Hukm diya.

(AAYAT MEIN) 'phoot (ikhtelaaf) na daalne' se MURAAD AMAL KO TARK KARDENA HAI AUR QAUL WA AMAL MEIN FARQ KARNA HAI.

Allaah ta'aalā ne kaha: "..Aur agar woh tawbah karlein, aur Namaaz qaayam karein, aur zakaat adaa Karein tab woh tumhare Deeni bhai hain." [At-Tawbah: 11]

Pas Allaah ne Shirk se TAWBAH KARNE KE SILSILEY MEIN QAUL WA AMAL KA HONA - Namaaz qaayam karne aur zakaat adaa karne ke zariye - ZAROORI QARAAR DIYA HAI.

Ahle Raaye (yahaan muraad baatil raaye waale hai) kehte hain: 'Namaaz Eemaan mein daakhil nahi hai aur na hi Zakaat aur NA HI koi aur Waajibaat (daakhil hai).'

Aisa kehne se woh log Allaah par jhoot baandh rahey hai aur uski kitaab (Qur'ān) ki aur uske Nabi ki sunnat (Ahaadîth) ki mukhalifat kar rahey hain. Jo unho ne kaha agar woh sach hota tou phir Abū Bakr (رضي الله عنه) Murtaddeen se (zakaat na deney par) ladaayi na karte."

[As-Sunnah – ‘Abdullāh Bin Imām Ahmad]


NAMAAZ EK AMAL HAI AUR AMAL EEMAAN MEIN DAAKHIL HAI.

3. Imām Ibn Battah (رحمه الله) ne kaha:

"Aur Namaaz qaayam karna ek Amal hai aur woh ek aisa Deen hai jis ke saath Rasoolon ko bheja gaya aur Muminon ko (uska) Hukm diya gaya, tou phir tumhe kis cheez ne yeh gumaan mein daala - Allaah tum par raham Kare - jo yeh kehta hai ke:

"Beshak Namaaz Eemaan mein (daakhil) nahi hai jabke Allaah (عز وجل) kehta hai: (Logon!) Allaah ta'aalā ki taraf waapas lautkar usse dartey raho aur Namaaz qaayam rakho aur Mushrikīn mein se na hojaao." [30:31]

Jo shakhs Namaaz ko chhordta hai, Pas Allaah ne usko Mushrik banadiya, Eemaan ke daaerey se khaarij (baahar) kardiya hai, choonke yeh khitaab Mumineen ke liye dhamki hai ke agar woh Namaaz ko chhordengey tou woh Eemaan ke daaerey se khaarij hojaengey aur Mushrikīn ki tarah hojaengey.

Aur Allaah (عز وجل) ne kaha: Allaah ki Masjidon ko Raunaq wa Aabaad tou sirf unhi ke hissey mein hai jo Allaah par aur qiyaamat ke din par Eemaan rakhte ho, Namaazon ke paaband ho, aur zakaat adaa karte ho, aur Allaah ke siwa kisi se nahi dartey ho. Tawaqqo' hai ke yahi log Hidaayat yaafta logon mein se ho." [9:18]

Tou (Imām Ibn Battah) ne kaha: '..Jo Allaah aur Aakhirat ke din par Eemaan rakhta ho, Namaaz qaayam karta ho aur zakaat adaa karta ho..' pas Allaah ne Eemaan ke darmiyaan aur Namaaz wa Zakaat ke darmiyaan mein Farq nahi kiya,

tou jo shakhs Eemaan nahi laata, usey uski Namaaz koi faaedah nahi pohanchayegi, aur aisey hi jo shakhs Namaaz nahi padhta usey uska Eemaan bhi koi faaedah nahi pohanchayega."

[Al-Ibaanah : 1258]


Romanized by
« Abu Zahid Mudhakkir حفظہ اللہ »
 

Similar threads


Top