Umar Asari

Administrator
Staff member
Amanat ki waapsi par hadiya qabool karna

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi

Romanised By: Umar Asari

✵Sawaal✵

Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu
Mu’azzaz ulamaa e kiraam khusoosan Shaikh Maqbool Ahmed Salafi saheb se ek sawaal hai ke Zaid ne Bakr ko 100000 rupees amaanat ke taur par rakhne ke liye diya ab jab Bakr ne 100000 rupees jo Zaid ki amanat thi wapas kar di to hadiya ke taur par Zaid ne Bakr ko 500 rupees diye to kya yeh hadiya Bakr le sakta hai ya nahi? Ulamaa e kiraam jald se jald jawab den.

الجواب بعون اللہ الوھاب
Walaikum Assalam Warehmatullahi Wabarakatuhu
Alhamdulillah:
Amaanat ki hifazat karna aur amanat waale ko sahih salamat us ka samaan lauta dena ehsaan o sulook ke zumre mein aata hai. Is ehsaan ka badla amaanat sonpne waale ko dua ya koyi hadiya ki shakl mein chukana chahiye.
“Jazakallahu Khairan” kehna bahut behtareen dua hai, Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
مَنْ صُنِعَ إِلَيْهِ مَعْرُوفٌ فَقَالَ لِفَاعِلِهِ جَزَاكَ اللَّهُ خَيْرًا فَقَدْ أَبْلَغَ فِي الثَّنَاءِ​
Tarjumah: Jis shakhs ke saath koyi bhalaayi ki gayi aur us ne bhalaayi karne waale se “Jazakallahu Khairan” «جَزَاكَ اللَّهُ خَيْرًا» (Allah Taala tum ko behtar badla de) kaha, us ne us ki poori poori tareef kar di.
(Tirmizi: 2035)
❗ Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai.

Amaanat ki wapsi ehsaan hone ke sabab apni pasand se mohsin (ehsaan karne waale) ko koyi hadiya bhi pesh kar sakte hain jaisa ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
مَنِ اسْتَعَاذَ بِاللَّهِ فَأَعِيذُوهُ وَمَنْ سَأَلَ بِاللَّهِ فَأَعْطُوهُ وَمَنْ دَعَاكُمْ فَأَجِيبُوهُ وَمَنْ صَنَعَ إِلَيْكُمْ مَعْرُوفًا فَكَافِئُوهُ فَإِنْ لَمْ تَجِدُوا مَا تُكَافِئُونَهُ فَادْعُوا لَهُ حَتَّى تَرَوْا أَنَّكُمْ قَدْ كَافَأْتُمُوهُ​
Tarjumah: Jo shakhs Allah ke waaste se panaah mange us ko panaah do aur jo shakhs Allah ke naam se sawal kare us ko do aur jo tumhari dawat kare us ki dawat qabool karo aur jo tumhaare saath ehsaan kare us ka badla do. Agar badla dene ke liye koyi cheez na paao to us ke haq mein dua karo yahan tak ke tum samajh lo ke us (ke ehsaan) ka badla de diya hai.
(Abu Dawood: 1672)
❗ Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai.

Is liye Zaid ka diya huwa 500 rupees ka hadiya Bakr qabool kar sakta hai.
Wallahu A’alam
 
Top