Amazon Par Affiliate Marketing Ki Sharai Haisiyat.


Abdul Mussavir

New member
Amazon Par Affiliate Marketing Ki Sharai Haisiyat

Tehreer:- Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah.
Islamic Da'wa Centre, Taaif

Pehle Amazon Aur Affiliate Marketing Do Alfaaz Ko Samjh Len Fir Unki Sharai Haisiyat Bataunga. Amazon Internet Par Mabni Barqi (Electronic) Tijarat Hai Jo Aalami Satah (International Level) Par America Ki Sab Se Badi Barqi Tijarat Hai. Amazon Ke Zariye Online Ham Apni Khaas Cheezein Bech Sakte Hain Ya Us Website Par Jin Cheezon Ke Ishtihaaraat (Advertisements) Hain Unhein Online Ordar Kar Sakte Hain Ya Mukhtalif Delevary Par Cash Back Haasil Kar Sakte Hai, Koi Chahe To Bagair Sarmaya Kaari (Paisa Invest) Kiye Amazon Se Jud Kar Mukhtalif Tariqe Se Paise Kama Sakta Hai.

Affiliate Marketing Me Aaj Kal Nawjavaan Bahut Dilchaspi Le Rahe Hain Aur Is Ke Zariye Ghar Bethe Paisa Kama Rahe Hain. Affiliate Marketing Ka Matlab Yah Hai Ke Amazon Ya Us Jaisi Barqi Tijarati Company Me Online Register Ho Kar Us Company Ki Cheezon Ki Tashheer (Advertisement) Kar Ke Paisa Kamana. Misaal Ke Taur Par Amazon Par Jaa Kar Paisa Kamane Ki List Me Ek Option Affiliate Marketing Hai Use Join Kare, Fir Jin Product Ki Tashheer (Advertisement) Karna Chahate Hain Company Uska Web Link Faraham Karti Hai Is Link Ko Copy Kar Ke Apne Kisi Social Network Maslan Whatsapp, You Tube, Face Book, Blog Ya Website Par Share Karen, Us Link Se Jo Bhi Customer Woh Product Kharidega Uske Profit Ka Kuch Hissa Link Share Karne Wale Ko Bhi Milega Yaha Sawal Paida Hota Hai Ke Kya Amazon Se Jud Kar Affiliate Marketing Ke Zariya Paisa Kamana Halaal Hai? Is Sawaal Ka Jawaab Yah Hai Ke Ham Amazon Par Affiliate Marketing Kar Sakte Hain Albatta Mundarja Zail Baton Ka Khayaal Rakhna Zaroori Hai:
◈ Sirf Unhien Product Ki Tashheer (Advertisement) Ki Jaaye Jo Islaam Ki Nazar Me Halaal Hon, Jo Products Islaam Me Haraam Hain Unki Tashheer (Advertisement) Kar Ke Paisa Kamana Jaaiz Nahi Hai.

◈ Company Ki Taraf Se Product Ki Haqiqi Mawasifaat (Detailing), Qeemat Aur Costumer Ko Product Dene Ka Process Wazeh Taur Par Maujood Ho.

◈ Company Ne Product Ke Jin Sifaat Aur Detailing Ka Zikr Kiya Hai Samaan Ki Delivery Hone Par Woh Sifaat Aur Details Na Hone Ki Soorat Me Product Wapis Karne Ka Ikhtiyaar Diya Gaya Ho.

◈ Order Karne Ke Baad Muqarrarah (Fixed) Date Tak Product Na Milne Par Ya Ziyadah Taakhir Hone Ki Soorat Me Order Cancel Karne Ka Bhi Ikhtiyaar Ho.

◈ Samaan Na Milne Ya Dhoka Aur Khayanat Ho Jane Ki Soorat Me Product Ki Khareed Ke Liye Jama Ki Gayi Raqam Wapas Hone Ki Zamaanat Di Gayi Ho.

◈ Online Tijarat Karne Wale Ayse Bhi Afraad Hain Jin Ke Yaha Product Nahi Hote Sirf Advertisement Hoti Hai Aur Jab Koi Online Samaan Order Karta Hai To Kisi Dusri Company Se Sasta Saman Kharid Kar Aage Order Karne Wale Shakhs Ko Bech Diya Jaata Hai, Is Tariqe Me Kai Sharai Qabahatein (Kharabiyaan) Hain Masalan Aysi Cheez Ko Bechna Jo Uski Milkiyat Me Nahi Hai Aur Isi Tarah Saman Par Qabza Karne Se Pehle Hi Dusre Ko Bech Dena, Is Liye Is Baat Ko Yaqeeni Banaya Jaaye Ke Product Ka Haqeeqi Wajood Hai.

◈ Amazon Par Order Karne Ke Waqt Hi Shayad Payment Karna Padta Hai Is Me Koi Harj Nahi Hai Albatta Online Khareed o Farokhat Me Cash On Delivery Ziyadah Mehfooz Tariqah Hai Taaki Saman Gaban Ho Jaaye To Bila Wajah Khasarah Nahi Uthana Padhega Ya Matloobah (Mangaayi Gayi) Sifaat Par Mabni Samaan Delivery Na Ho To Aasani Se Wapas Kar Sakega.

Affiliate Marketing Karne Walo Ko Me Ek Nasihat Karna Chahta Hu Ki Is Marketing Me Faidah Kam Aur Waqt Ki Barbaadi Bahut Ziyadah Hai, Aap Ki Apni Online Tijarat Hai To Uski Alag Baat Hai Lekin Dusron Ki Tijarat Ki Tashheer (Advertisement) Kar Ke Paisa Kamana Dar Asal Bahut Sare Qeemti Awqaat Ka Khasara Hai. Main Jaha Tak Samajhta Hun Ke Yahi Waqt Hard Working Par Kharch Kar Ke Paisa Kamaya Jaaye To Internet Se Kai Ziyadah Profit Hasil Hoga.

Internet Ke Ziyadah Istimaal Ne Nawjavan Nasl Ki Aysi Tarbiyat Ki Ke Usko Waqt Ki Barbaadi Ka Bilkul Ehsaas Nahi Hai, Use Bas Is Baat Ki Khushi Hai Ke Ghar Se Nikle Bagair Bethe Bethe Paisa Aa Raha Hai Jabke Yah Paisa Mehnat Aur Waqt Ke Badle Kuch Bhi Nahi Hai.
 

Similar threads


Top